Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 21
Job UrduGeoR 21:2  “Dhyān se mere alfāz suno! Yihī karne se mujhe tasallī do!
Job UrduGeoR 21:3  Jab tak maiṅ apnī bāt pesh na karūṅ mujhe bardāsht karo, is ke bād agar chāho to merā mazāq uṛāo.
Job UrduGeoR 21:4  Kyā maiṅ kisī insān se ehtijāj kar rahā hūṅ? Hargiz nahīṅ! To phir kyā ajab ki merī rūh itnī tang ā gaī hai.
Job UrduGeoR 21:5  Mujh par nazar ḍālo to tumhāre roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge aur tum hairānī se apnā hāth muṅh par rakhoge.
Job UrduGeoR 21:6  Jab kabhī mujhe wuh ḳhayāl yād ātā hai jo maiṅ pesh karnā chāhtā hūṅ to maiṅ dahshatzadā ho jātā hūṅ, mere jism par thartharāhaṭ tārī ho jātī hai.
Job UrduGeoR 21:7  Ḳhayāl yih hai ki bedīn kyoṅ jīte rahte haiṅ? Na sirf wuh umrrasīdā ho jāte balki un kī tāqat baṛhtī rahtī hai.
Job UrduGeoR 21:8  Un ke bachche un ke sāmne qāym ho jāte, un kī aulād un kī āṅkhoṅ ke sāmne mazbūt ho jātī hai.
Job UrduGeoR 21:9  Un ke ghar mahfūz haiṅ. Na koī chīz unheṅ ḍarātī, na Allāh kī sazā un par nāzil hotī hai.
Job UrduGeoR 21:10  Un kā sānḍ nasl baṛhāne meṅ kabhī nākām nahīṅ hotā, un kī gāy waqt par janm detī, aur us ke bachche kabhī zāe nahīṅ hote.
Job UrduGeoR 21:11  Wuh apne bachchoṅ ko bāhar khelne ke lie bhejte haiṅ to wuh bheṛ-bakriyoṅ ke rewaṛ kī tarah ghar se nikalte haiṅ. Un ke laṛke kūdte phāṅdte nazar āte haiṅ.
Job UrduGeoR 21:12  Wuh daf aur sarod bajā kar gīt gāte aur bāṅsrī kī surīlī āwāz nikāl kar apnā dil bahlāte haiṅ.
Job UrduGeoR 21:13  Un kī zindagī ḳhushhāl rahtī hai, wuh har din se pūrā lutf uṭhāte aur āḳhirkār baṛe sukūn se Pātāl meṅ utar jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 21:14  Aur yih wuh log haiṅ jo Allāh se kahte haiṅ, ‘Ham se dūr ho jā, ham terī rāhoṅ ko jānanā nahīṅ chāhte.
Job UrduGeoR 21:15  Qādir-e-mutlaq kaun hai ki ham us kī ḳhidmat kareṅ? Us se duā karne se hameṅ kyā fāydā hogā?’
Job UrduGeoR 21:16  Kyā un kī ḳhushhālī un ke apne hāth meṅ nahīṅ hotī? Kyā bedīnoṅ ke mansūbe Allāh se dūr nahīṅ rahte?
Job UrduGeoR 21:17  Aisā lagtā hai ki bedīnoṅ kā charāġh kabhī nahīṅ bujhtā. Kyā un par kabhī musībat ātī hai? Kyā Allāh kabhī qahr meṅ ā kar un par wuh tabāhī nāzil kartā hai jo un kā munāsib hissā hai?
Job UrduGeoR 21:18  Kyā hawā ke jhoṅke kabhī unheṅ bhūse kī tarah aur āṅdhī kabhī unheṅ tūṛī kī tarah uṛā le jātī hai? Afsos, aisā nahīṅ hotā.
Job UrduGeoR 21:19  Shāyad tum kaho, ‘Allāh unheṅ sazā dene ke bajāe un ke bachchoṅ ko sazā degā.’ Lekin maiṅ kahtā hūṅ ki use bāp ko hī sazā denī chāhie tāki wuh apne gunāhoṅ kā natījā ḳhūb jān le.
Job UrduGeoR 21:20  Us kī apnī hī āṅkheṅ us kī tabāhī dekheṅ, wuh ḳhud Qādir-e-mutlaq ke ġhazab kā pyālā pī le.
Job UrduGeoR 21:21  Kyoṅki jab us kī zindagī ke muqarrarā din iḳhtitām tak pahuṅcheṅ to use kyā parwā hogī ki mere bād ghar wāloṅ ke sāth kyā hogā.
Job UrduGeoR 21:22  Lekin kaun Allāh ko ilm sikhā saktā hai? Wuh to bulandiyoṅ par rahne wāloṅ kī bhī adālat kartā hai.
Job UrduGeoR 21:23  Ek shaḳhs wafāt pāte waqt ḳhūb tandurust hotā hai. Jīte-jī wuh baṛe sukūn aur itmīnān se zindagī guzār sakā.
Job UrduGeoR 21:24  Us ke bartan dūdh se bhare rahe, us kī haḍḍiyoṅ kā gūdā tar-o-tāzā rahā.
Job UrduGeoR 21:25  Dūsrā shaḳhs shikastā hālat meṅ mar jātā hai aur use kabhī ḳhushhālī kā lutf nasīb nahīṅ huā.
Job UrduGeoR 21:26  Ab donoṅ mil kar ḳhāk meṅ paṛe rahte haiṅ, donoṅ kīṛe-makoṛoṅ se ḍhāṅpe rahte haiṅ.
Job UrduGeoR 21:27  Suno, maiṅ tumhāre ḳhayālāt aur un sāzishoṅ se wāqif hūṅ jin se tum mujh par zulm karnā chāhte ho.
Job UrduGeoR 21:28  Kyoṅki tum kahte ho, ‘Raīs kā ghar kahāṅ hai? Wuh ḳhaimā kidhar gayā jis meṅ bedīn baste the? Wuh apne gunāhoṅ ke sabab se hī tabāh ho gae haiṅ.’
Job UrduGeoR 21:29  Lekin un se pūchh lo jo idhar-udhar safr karte rahte haiṅ. Tumheṅ un kī gawāhī taslīm karnī chāhie
Job UrduGeoR 21:30  ki āfat ke din sharīr ko sahīh-salāmat chhoṛā jātā hai, ki ġhazab ke din use rihāī miltī hai.
Job UrduGeoR 21:31  Kaun us ke rūbarū us ke chāl-chalan kī malāmat kartā, kaun use us ke ġhalat kām kā munāsib ajr detā hai?
Job UrduGeoR 21:32  Log us ke janāze meṅ sharīk ho kar use qabr tak le jāte haiṅ. Us kī qabr par chaukīdār lagāyā jātā hai.
Job UrduGeoR 21:33  Wādī kī miṭṭī ke ḍhele use mīṭhe lagte haiṅ. Janāze ke pīchhe pīchhe tamām duniyā, us ke āge āge anginat hujūm chaltā hai.
Job UrduGeoR 21:34  Chunāṅche tum mujhe abas bātoṅ se kyoṅ tasallī de rahe ho? Tumhāre jawāboṅ meṅ tumhārī bewafāī hī nazar ātī hai.”