Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 22
Job UrduGeoR 22:2  “Kyā Allāh insān se fāydā uṭhā saktā hai? Hargiz nahīṅ! Us ke lie dānishmand bhī fāyde kā bāis nahīṅ.
Job UrduGeoR 22:3  Agar tū rāstbāz ho bhī to kyā wuh is se apne lie nafā uṭhā saktā hai? Hargiz nahīṅ! Agar tū be'ilzām zindagī guzāre to kyā use kuchh hāsil hotā hai?
Job UrduGeoR 22:4  Allāh tujhe terī ḳhudātars zindagī ke sabab se malāmat nahīṅ kar rahā. Yih na soch ki wuh isī lie adālat meṅ tujh se jawāb talab kar rahā hai.
Job UrduGeoR 22:5  Nahīṅ, wajah terī baṛī badkārī, tere lā-mahdūd gunāh haiṅ.
Job UrduGeoR 22:6  Jab tere bhāiyoṅ ne tujh se qarz liyā to tū ne bilāwajah wuh chīzeṅ apnā lī hoṅgī jo unhoṅ ne tujhe zamānat ke taur par dī thīṅ, tū ne unheṅ un ke kapṛoṅ se mahrūm kar diyā hogā.
Job UrduGeoR 22:7  Tū ne thakemāndoṅ ko pānī pilāne se aur bhūke marne wāloṅ ko khānā khilāne se inkār kiyā hogā.
Job UrduGeoR 22:8  Beshak terā rawaiyā is ḳhayāl par mabnī thā ki pūrā mulk tāqatwaroṅ kī milkiyat hai, ki sirf baṛe log us meṅ rah sakte haiṅ.
Job UrduGeoR 22:9  Tū ne bewāoṅ ko ḳhālī hāth moṛ diyā hogā, yatīmoṅ kī tāqat pāsh pāsh kī hogī.
Job UrduGeoR 22:10  Isī lie tū phandoṅ se ghirā rahtā hai, achānak hī tujhe dahshatnāk wāqiyāt ḍarāte haiṅ.
Job UrduGeoR 22:11  Yihī wajah hai ki tujh par aisā andherā chhā gayā hai ki tū dekh nahīṅ saktā, ki sailāb ne tujhe ḍubo diyā hai.
Job UrduGeoR 22:12  Kyā Allāh āsmān kī bulandiyoṅ par nahīṅ hotā? Wuh to sitāroṅ par nazar ḍāltā hai, ḳhāh wuh kitne hī ūṅche kyoṅ na hoṅ.
Job UrduGeoR 22:13  To bhī tū kahtā hai, ‘Allāh kyā jāntā hai? Kyā wuh kāle bādaloṅ meṅ se dekh kar adālat kar saktā hai?
Job UrduGeoR 22:14  Wuh ghane bādaloṅ meṅ chhupā rahtā hai, is lie jab wuh āsmān ke gumbad par chaltā hai to use kuchh nazar nahīṅ ātā.’
Job UrduGeoR 22:15  Kyā tū us qadīm rāh se bāz nahīṅ āegā jis par badkār chalte rahe haiṅ?
Job UrduGeoR 22:16  Wuh to apne muqarrarā waqt se pahle hī sukaṛ gae. Un kī buniyādeṅ sailāb se hī uṛā lī gaīṅ.
Job UrduGeoR 22:17  Unhoṅ ne Allāh se kahā, ‘Ham se dūr ho jā,’ aur ‘Qādir-e-mutlaq hamāre lie kyā kuchh kar saktā hai?’
Job UrduGeoR 22:18  Lekin Allāh hī ne un ke gharoṅ ko bharpūr ḳhushhālī se nawāzā, go bedīnoṅ ke bure mansūbe us se dūr hī dūr rahte haiṅ.
Job UrduGeoR 22:19  Rāstbāz un kī tabāhī dekh kar ḳhush hue, bequsūroṅ ne un kī haṅsī uṛā kar kahā,
Job UrduGeoR 22:20  ‘Lo, yih dekho, un kī jāydād kis tarah miṭ gaī, un kī daulat kis tarah bhasm ho gaī hai!’
Job UrduGeoR 22:21  Ai Ayyūb, Allāh se sulah karke salāmatī hāsil kar, tab hī tū ḳhushhālī pāegā.
Job UrduGeoR 22:22  Allāh ke muṅh kī hidāyat apnā le, us ke farmān apne dil meṅ mahfūz rakh.
Job UrduGeoR 22:23  Agar tū Qādir-e-mutlaq ke pās wāpas āe to bahāl ho jāegā, aur tere ḳhaime se badī dūr hī rahegī.
Job UrduGeoR 22:24  Sone ko ḳhāk ke barābar, Ofīr kā ḳhālis sonā wādī ke patthar ke barābar samajh le
Job UrduGeoR 22:25  to Qādir-e-mutlaq ḳhud terā sonā hogā, wuhī tere lie chāṅdī kā ḍher hogā.
Job UrduGeoR 22:26  Tab tū Qādir-e-mutlaq se lutfandoz hogā aur Allāh ke huzūr apnā sar uṭhā sakegā.
Job UrduGeoR 22:27  Tū us se iltijā karegā to wuh terī sunegā aur tū apnī mannateṅ baṛhā sakegā.
Job UrduGeoR 22:28  Jo kuchh bhī tū karne kā irādā rakhe us meṅ tujhe kāmyābī hogī, terī rāhoṅ par raushnī chamkegī.
Job UrduGeoR 22:29  Kyoṅki jo sheḳhī baghārtā hai use Allāh past kartā jabki jo pasthāl hai use wuh najāt detā hai.
Job UrduGeoR 22:30  Wuh bequsūr ko chhuṛātā hai, chunāṅche agar tere hāth pāk hoṅ to wuh tujhe chhuṛāegā.”