JOB
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
Chapter 13
Job | UrduGeoR | 13:1 | Yih sab kuchh maiṅ ne apnī āṅkhoṅ se dekhā, apne kānoṅ se sun kar samajh liyā hai. | |
Job | UrduGeoR | 13:3 | Lekin maiṅ Qādir-e-mutlaq se hī bāt karnā chāhtā hūṅ, Allāh ke sāth hī mubāhasā karne kī ārzū rakhtā hūṅ. | |
Job | UrduGeoR | 13:4 | Jahāṅ tak tumhārā tālluq hai, tum sab farebdeh lep lagāne wāle aur bekār ḍākṭar ho. | |
Job | UrduGeoR | 13:5 | Kāsh tum sarāsar ḳhāmosh rahte! Aisā karne se tumhārī hikmat kahīṅ zyādā zāhir hotī. | |
Job | UrduGeoR | 13:7 | Kyā tum Allāh kī ḳhātir kajrau bāteṅ pesh karte ho, kyā usī kī ḳhātir jhūṭ bolte ho? | |
Job | UrduGeoR | 13:9 | Soch lo, agar wuh tumhārī jāṅch kare to kyā tumhārī bāt banegī? Kyā tum use yoṅ dhokā de sakte ho jis tarah insān ko dhokā diyā jātā hai? | |
Job | UrduGeoR | 13:10 | Agar tum ḳhufiyā taur par bhī jānibdārī dikhāo to wuh tumheṅ zarūr saḳht sazā degā. | |
Job | UrduGeoR | 13:11 | Kyā us kā rob tumheṅ ḳhaufzadā nahīṅ karegā? Kyā tum us se saḳht dahshat nahīṅ khāoge? | |
Job | UrduGeoR | 13:12 | Phir jin kahāwatoṅ kī yād tum dilāte rahte ho wuh rākh kī amsāl sābit hoṅgī, patā chalegā ki tumhārī bāteṅ miṭṭī ke alfāz haiṅ. | |
Job | UrduGeoR | 13:13 | Ḳhāmosh ho kar mujh se bāz āo! Jo kuchh bhī mere sāth ho jāe, maiṅ bāt karnā chāhtā hūṅ. | |
Job | UrduGeoR | 13:15 | Shāyad wuh mujhe mār ḍāle. Koī bāt nahīṅ, kyoṅki merī ummīd jātī rahī hai. Jo kuchh bhī ho meṅ usī ke sāmne apnī rāhoṅ kā difā karūṅga. | |
Job | UrduGeoR | 13:18 | Tumheṅ patā chalegā ki maiṅ ne ehtiyāt aur tartīb se apnā muāmalā taiyār kiyā hai. Mujhe sāf mālūm hai ki maiṅ haq par hūṅ! | |
Job | UrduGeoR | 13:19 | Agar koī mujhe mujrim sābit kar sake to maiṅ chup ho jāūṅgā, dam chhoṛne tak ḳhāmosh rahūṅgā. | |
Job | UrduGeoR | 13:20 | Ai Allāh, merī sirf do darḳhāsteṅ manzūr kar tāki mujhe tujh se chhup jāne kī zarūrat na ho. | |
Job | UrduGeoR | 13:22 | Dūsre, is ke bād mujhe bulā tāki maiṅ jawāb dūṅ, yā mujhe pahle bolne de aur tū hī is kā jawāb de. | |
Job | UrduGeoR | 13:23 | Mujh se kitne gunāh aur ġhaltiyāṅ huī haiṅ? Mujh par merā jurm aur merā gunāh zāhir kar! | |
Job | UrduGeoR | 13:24 | Tū apnā chehrā mujh se chhupāe kyoṅ rakhtā hai? Tū mujhe kyoṅ apnā dushman samajhtā hai? | |
Job | UrduGeoR | 13:25 | Kyā tū hawā ke jhoṅkoṅ ke uṛāe hue patte ko dahshat khilānā chāhtā, ḳhushk bhūse kā tāqqub karnā chāhtā hai? | |
Job | UrduGeoR | 13:26 | Yih terā hī faislā hai ki maiṅ talḳh tajraboṅ se guzarūṅ, terī hī marzī hai ki maiṅ apnī jawānī ke gunāhoṅ kī sazā pāūṅ. | |
Job | UrduGeoR | 13:27 | Tū mere pāṅwoṅ ko kāṭh meṅ ṭhoṅk kar merī tamām rāhoṅ kī pahrādārī kartā hai. Tū mere har ek naqsh-e-qadam par dhyān detā hai, | |