Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 31
Job UrduGeoR 31:1  Maiṅ ne apnī āṅkhoṅ se ahd bāndhā hai. To phir maiṅ kis tarah kisī kuṅwārī par nazar ḍāl saktā hūṅ?
Job UrduGeoR 31:2  Kyoṅki insān ko āsmān par rahne wāle Ḳhudā kī taraf se kyā nasīb hai, use bulandiyoṅ par basne wāle Qādir-e-mutlaq se kyā wirāsat pānā hai?
Job UrduGeoR 31:3  Kyā aisā nahīṅ hai ki nārāst shaḳhs ke lie āfat aur badkār ke lie tabāhī muqarrar hai?
Job UrduGeoR 31:4  Merī rāheṅ to Allāh ko nazar ātī haiṅ, wuh merā har qadam gin letā hai.
Job UrduGeoR 31:5  Na maiṅ kabhī dhoke se chalā, na mere pāṅwoṅ ne kabhī fareb dene ke lie phurtī kī. Agar is meṅ zarā bhī shak ho
Job UrduGeoR 31:6  to Allāh mujhe insāf ke tarāzū meṅ tol le, Allāh merī be'ilzām hālat mālūm kare.
Job UrduGeoR 31:7  Agar mere qadam sahīh rāh se haṭ gae. Merī āṅkheṅ mere dil ko ġhalat rāh par le gaīṅ yā mere hāth dāġhdār hue
Job UrduGeoR 31:8  to phir jo bīj maiṅ ne boyā us kī paidāwār koī aur khāe, jo fasleṅ maiṅ ne lagāīṅ unheṅ ukhāṛā jāe.
Job UrduGeoR 31:9  Agar merā dil kisī aurat se nājāyz tālluqāt rakhne par uksāyā gayā aur maiṅ is maqsad se apne paṛosī ke darwāze par tāk lagāe baiṭhā
Job UrduGeoR 31:10  to phir Allāh kare ki merī bīwī kisī aur ādmī kī gandum pīse, ki koī aur us par jhuk jāe.
Job UrduGeoR 31:11  Kyoṅki aisī harkat sharmnāk hotī, aisā jurm sazā ke lāyq hotā hai.
Job UrduGeoR 31:12  Aise gunāh kī āg Pātāl tak sab kuchh bhasm kar detī hai. Agar wuh mujh se sarzad hotā to merī tamām fasal jaṛoṅ tak rākh kar detā.
Job UrduGeoR 31:13  Agar merā naukar-naukarāniyoṅ ke sāth jhagaṛā thā aur maiṅ ne un kā haq mārā
Job UrduGeoR 31:14  to maiṅ kyā karūṅ jab Allāh adālat meṅ khaṛā ho jāe? Jab wuh merī pūchh-gachh kare to maiṅ use kyā jawāb dūṅ?
Job UrduGeoR 31:15  Kyoṅki jis ne mujhe merī māṅ ke peṭ meṅ banāyā us ne unheṅ bhī banāyā. Ek hī ne unheṅ bhī aur mujhe bhī rahm meṅ tashkīl diyā.
Job UrduGeoR 31:16  Kyā maiṅ ne pasthāloṅ kī zarūriyāt pūrī karne se inkār kiyā yā bewā kī āṅkhoṅ ko bujhne diyā? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:17  Kyā maiṅ ne apnī roṭī akele hī khāī aur yatīm ko us meṅ sharīk na kiyā?
Job UrduGeoR 31:18  Hargiz nahīṅ, balki apnī jawānī se le kar maiṅ ne us kā bāp ban kar us kī parwarish kī, apnī paidāish se hī bewā kī rāhnumāī kī.
Job UrduGeoR 31:19  Jab kabhī maiṅ ne dekhā ki koī kapṛoṅ kī kamī ke bāis halāk ho rahā hai, ki kisī ġharīb ke pās kambal tak nahīṅ
Job UrduGeoR 31:20  to maiṅ ne use apnī bheṛoṅ kī kuchh ūn dī tāki wuh garm ho sake. Aise log mujhe duā dete the.
Job UrduGeoR 31:21  Maiṅ ne kabhī bhī yatīmoṅ ke ḳhilāf hāth nahīṅ uṭhāyā, us waqt bhī nahīṅ jab shahr ke darwāze meṅ baiṭhe buzurg mere haq meṅ the.
Job UrduGeoR 31:22  Agar aisā na thā to Allāh kare ki merā shānā kandhe se nikal kar gir jāe, ki merā bāzū joṛ se phāṛā jāe!
Job UrduGeoR 31:23  Aisī harkateṅ mere lie nāmumkin thīṅ, kyoṅki agar maiṅ aisā kartā to maiṅ Allāh se dahshat khātā rahtā, maiṅ us se ḍar ke māre qāym na rah saktā.
Job UrduGeoR 31:24  Kyā maiṅ ne sone par apnā pūrā bharosā rakhā yā ḳhālis sone se kahā, ‘Tujh par hī merā etamād hai’? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:25  Kyā maiṅ is lie ḳhush thā ki merī daulat zyādā hai aur mere hāth ne bahut kuchh hāsil kiyā hai? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:26  Kyā sūraj kī chamak-damak aur chāṅd kī purwaqār rawish dekh kar
Job UrduGeoR 31:27  mere dil ko kabhī chupke se ġhalat rāh par lāyā gayā? Kyā maiṅ ne kabhī un kā ehtirām kiyā?
Job UrduGeoR 31:28  Hargiz nahīṅ, kyoṅki yih bhī sazā ke lāyq jurm hai. Agar maiṅ aisā kartā to bulandiyoṅ par rahne wāle Ḳhudā kā inkār kartā.
Job UrduGeoR 31:29  Kyā maiṅ kabhī ḳhush huā jab mujh se nafrat karne wālā tabāh huā? Kyā maiṅ bāġh bāġh huā jab us par musībat āī? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:30  Maiṅ ne apne muṅh ko ijāzat na dī ki gunāh karke us kī jān par lānat bheje.
Job UrduGeoR 31:31  Balki mere ḳhaime ke ādmiyoṅ ko taslīm karnā paṛā, ‘Koī nahīṅ hai jo Ayyūb ke gosht se ser na huā.’
Job UrduGeoR 31:32  Ajnabī ko bāhar galī meṅ rāt guzārnī nahīṅ paṛtī thī balki merā darwāzā musāfiroṅ ke lie khulā rahtā thā.
Job UrduGeoR 31:33  Kyā maiṅ ne kabhī Ādam kī tarah apnā gunāh chhupā kar apnā qusūr dil meṅ poshīdā rakhā,
Job UrduGeoR 31:34  is lie ki hujūm se ḍartā aur apne rishtedāroṅ se dahshat khātā thā? Hargiz nahīṅ! Maiṅ ne kabhī bhī aisā kām na kiyā jis ke bāis mujhe ḍar ke māre chup rahnā paṛtā aur ghar se nikal nahīṅ saktā thā.
Job UrduGeoR 31:35  Kāsh koī merī sune! Dekho, yahāṅ merī bāt par mere dastḳhat haiṅ, ab Qādir-e-mutlaq mujhe jawāb de. Kāsh mere muḳhālif likh kar mujhe wuh ilzāmāt batāeṅ jo unhoṅ ne mujh par lagāe haiṅ!
Job UrduGeoR 31:36  Agar ilzāmāt kā kāġhaz miltā to maiṅ use uṭhā kar apne kandhe par rakhtā, use pagaṛī kī tarah apne sar par bāndh letā.
Job UrduGeoR 31:37  Maiṅ Allāh ko apne qadmoṅ kā pūrā hisāb-kitāb de kar ra'īs kī tarah us ke qarīb pahuṅchtā.
Job UrduGeoR 31:38  Kyā merī zamīn ne madad ke lie pukār kar mujh par ilzām lagāyā hai? Kyā us kī reghāriyāṅ mere sabab se mil kar ro paṛī haiṅ?
Job UrduGeoR 31:39  Kyā maiṅ ne us kī paidāwār ajr die baġhair khāī, us par mehnat-mashaqqat karne wāloṅ ke lie āheṅ bharne kā bāis ban gayā? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:40  Agar maiṅ is meṅ qusūrwār ṭhahrūṅ to gandum ke bajāe ḳhārdār jhāṛiyāṅ aur jau ke bajāe dhatūrā uge.” Yoṅ Ayyūb kī bāteṅ iḳhtitām ko pahuṅch gaīṅ.