Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 9
Job UrduGeoR 9:2  “Maiṅ ḳhūb jāntā hūṅ ki terī bāt durust hai. Lekin Allāh ke huzūr insān kis tarah rāstbāz ṭhahar saktā hai?
Job UrduGeoR 9:3  Agar wuh adālat meṅ Allāh ke sāth laṛnā chāhe to us ke hazār sawālāt par ek kā bhī jawāb nahīṅ de sakegā.
Job UrduGeoR 9:4  Allāh kā dil dānishmand aur us kī qudrat azīm hai. Kaun kabhī us se bahs-mubāhasā karke kāmyāb rahā hai?
Job UrduGeoR 9:5  Allāh pahāṛoṅ ko khiskā detā hai, aur unheṅ patā hī nahīṅ chaltā. Wuh ġhusse meṅ ā kar unheṅ ulṭā detā hai.
Job UrduGeoR 9:6  Wuh zamīn ko hilā detā hai to wuh laraz kar apnī jagah se haṭ jātī hai, us ke buniyādī satūn kāṅp uṭhte haiṅ.
Job UrduGeoR 9:7  Wuh sūraj ko hukm detā hai to tulū nahīṅ hotā, sitāroṅ par muhr lagātā hai to un kī chamak-damak band ho jātī hai.
Job UrduGeoR 9:8  Allāh hī āsmān ko ḳhaime kī tarah tān detā, wuhī samundarī azhdahe kī pīṭh ko pāṅwoṅ tale kuchal detā hai.
Job UrduGeoR 9:9  Wuhī Dubb-e-Akbar, Jauze, Ḳhoshā-e-Parwīn aur junūbī sitāroṅ ke jhurmaṭoṅ kā Ḳhāliq hai.
Job UrduGeoR 9:10  Wuh itne azīm kām kartā hai ki koī un kī tah tak nahīṅ pahuṅch saktā, itne mojize kartā hai ki koī unheṅ gin nahīṅ saktā.
Job UrduGeoR 9:11  Jab wuh mere sāmne se guzare to maiṅ use nahīṅ deḳhtā, jab wuh mere qarīb se phire to mujhe mālūm nahīṅ hotā.
Job UrduGeoR 9:12  Agar wuh kuchh chhīn le to kaun use rokegā? Kaun us se kahegā, ‘Tū kyā kar rahā hai?’
Job UrduGeoR 9:13  Allāh to apnā ġhazab nāzil karne se bāz nahīṅ ātā. Us ke rob tale Rahab azhdahe ke madadgār bhī dabak gae.
Job UrduGeoR 9:14  To phir maiṅ kis tarah use jawāb dūṅ, kis tarah us se bāt karne ke munāsib alfāz chun lūṅ?
Job UrduGeoR 9:15  Agar maiṅ haq par hotā bhī to apnā difā na kar saktā. Is muḳhālif se maiṅ iltijā karne ke alāwā aur kuchh nahīṅ kar saktā.
Job UrduGeoR 9:16  Agar wuh merī chīḳhoṅ kā jawāb detā bhī to mujhe yaqīn na ātā ki wuh merī bāt par dhyān degā.
Job UrduGeoR 9:17  Thoṛī-sī ġhaltī ke jawāb meṅ wuh mujhe pāsh pāsh kartā, bilāwajah mujhe bār bār zaḳhmī kartā hai.
Job UrduGeoR 9:18  Wuh mujhe sāṅs bhī nahīṅ lene detā balki kaṛwe zahr se ser kar detā hai.
Job UrduGeoR 9:19  Jahāṅ tāqat kī bāt hai to wuhī qawī hai, jahāṅ insāf kī bāt hai to kaun use peshī ke lie bulā saktā hai?
Job UrduGeoR 9:20  Go maiṅ begunāh hūṅ to bhī merā apnā muṅh mujhe qusūrwār ṭhahrāegā, go be'ilzām hūṅ to bhī wuh mujhe mujrim qarār degā.
Job UrduGeoR 9:21  Jo kuchh bhī ho, maiṅ be'ilzām hūṅ! Maiṅ apnī jān kī parwā hī nahīṅ kartā, apnī zindagī haqīr jāntā hūṅ.
Job UrduGeoR 9:22  Ḳhair, ek hī bāt hai, is lie maiṅ kahtā hūṅ, ‘Allāh be'ilzām aur bedīn donoṅ ko hī halāk kar detā hai.’
Job UrduGeoR 9:23  Jab kabhī achānak koī āfat insān ko maut ke ghāṭ utāre to Allāh begunāh kī pareshānī par haṅstā hai.
Job UrduGeoR 9:24  Agar koī mulk bedīn ke hawāle kiyā jāe to Allāh us ke qāziyoṅ kī āṅkheṅ band kar detā hai. Agar yih us kī taraf se nahīṅ to phir kis kī taraf se hai?
Job UrduGeoR 9:25  Mere din dauṛne wāle ādmī se kahīṅ zyādā tezī se bīt gae. Ḳhushī dekhe baġhair bhāg nikle haiṅ.
Job UrduGeoR 9:26  Wuh sarkanḍe ke bahrī jahāzoṅ kī tarah guzar gae haiṅ, us uqāb kī tarah jo apne shikār par jhapaṭṭā mārtā hai.
Job UrduGeoR 9:27  Agar maiṅ kahūṅ, ‘Āo maiṅ apnī āheṅ bhūl jāūṅ, apne chehre kī udāsī dūr karke ḳhushī kā izhār karūṅ’
Job UrduGeoR 9:28  to phir bhī maiṅ un tamām takālīf se ḍartā hūṅ jo mujhe bardāsht karnī haiṅ. Kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki tū mujhe begunāh nahīṅ ṭhahrātā.
Job UrduGeoR 9:29  Jo kuchh bhī ho mujhe qusūrwār hī qarār diyā gayā hai, chunāṅche is kā kyā fāydā ki maiṅ bemānī tag-o-dau meṅ masrūf rahūṅ?
Job UrduGeoR 9:30  Go maiṅ sābun se nahā lūṅ aur apne hāth soḍe se dho lūṅ
Job UrduGeoR 9:31  tāham tū mujhe gaṛhe kī kīchaṛ meṅ yoṅ dhaṅsne detā hai ki mujhe apne kapṛoṅ se ghin ātī hai.
Job UrduGeoR 9:32  Allāh to mujh jaisā insān nahīṅ ki maiṅ jawāb meṅ us se kahūṅ, ‘Āo ham adālat meṅ jā kar ek dūsre kā muqābalā kareṅ.’
Job UrduGeoR 9:33  Kāsh hamāre darmiyān sālis ho jo ham donoṅ par hāth rakhe,
Job UrduGeoR 9:34  jo merī pīṭh par se Allāh kā ḍanḍā haṭāe tāki us kā ḳhauf mujhe dahshatzadā na kare.
Job UrduGeoR 9:35  Tab maiṅ Allāh se ḳhauf khāe baġhair boltā, kyoṅki fitrī taur par maiṅ aisā nahīṅ hūṅ.