Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 29
Job UrduGeoR 29:2  “Kāsh maiṅ dubārā māzī ke wuh din guzār sakūṅ jab Allāh merī dekh-bhāl kartā thā,
Job UrduGeoR 29:3  jab us kī shamā mere sar ke ūpar chamaktī rahī aur maiṅ us kī raushnī kī madad se andhere meṅ chaltā thā.
Job UrduGeoR 29:4  Us waqt merī jawānī urūj par thī aur merā ḳhaimā Allāh ke sāy meṅ rahtā thā.
Job UrduGeoR 29:5  Qādir-e-mutlaq mere sāth thā, aur maiṅ apne beṭoṅ se ghirā rahtā thā.
Job UrduGeoR 29:6  Kasrat ke bāis mere qadam dahī se dhoe rahte aur chaṭān se tel kī nadiyāṅ phūṭ kar nikaltī thīṅ.
Job UrduGeoR 29:7  Jab kabhī maiṅ shahr ke darwāze se nikal kar chauk meṅ apnī kursī par baiṭh jātā
Job UrduGeoR 29:8  to jawān ādmī mujhe dekh kar pīchhe haṭ kar chhup jāte, buzurg uṭh kar khaṛe rahte,
Job UrduGeoR 29:9  ra'īs bolne se bāz ā kar muṅh par hāth rakhte,
Job UrduGeoR 29:10  shurafā kī āwāz dab jātī aur un kī zabān tālū se chipak jātī thī.
Job UrduGeoR 29:11  Jis kān ne merī bāteṅ sunīṅ us ne mujhe mubārak kahā, jis āṅkh ne mujhe dekhā us ne mere haq meṅ gawāhī dī.
Job UrduGeoR 29:12  Kyoṅki jo musībat meṅ ā kar āwāz detā use maiṅ bachātā, besahārā yatīm ko chhuṭkārā detā thā.
Job UrduGeoR 29:13  Tabāh hone wāle mujhe barkat dete the. Mere bāis bewāoṅ ke diloṅ se ḳhushī ke nāre ubhar āte the.
Job UrduGeoR 29:14  Maiṅ rāstbāzī se mulabbas aur rāstbāzī mujh se mulabbas rahtī thī, insāf merā choġhā aur pagaṛī thā.
Job UrduGeoR 29:15  Andhoṅ ke lie maiṅ āṅkheṅ, langaṛoṅ ke lie pāṅw banā rahtā thā.
Job UrduGeoR 29:16  Maiṅ ġharīboṅ kā bāp thā, aur jab kabhī ajnabī ko muqaddamā laṛnā paṛā to maiṅ ġhaur se us ke muāmale kā muāynā kartā thā tāki us kā haq mārā na jāe.
Job UrduGeoR 29:17  Maiṅ ne bedīn kā jabṛā toṛ kar us ke dāṅtoṅ meṅ se shikār chhuṛāyā.
Job UrduGeoR 29:18  Us waqt merā ḳhayāl thā, ‘Maiṅ apne hī ghar meṅ wafāt pāūṅgā, sīmurġh kī tarah apnī zindagī ke dinoṅ meṅ izāfā karūṅga.
Job UrduGeoR 29:19  Merī jaṛeṅ pānī tak phailī aur merī shāḳheṅ os se tar raheṅgī.
Job UrduGeoR 29:20  Merī izzat har waqt tāzā rahegī, aur mere hāth kī kamān ko naī taqwiyat miltī rahegī.’
Job UrduGeoR 29:21  Log merī sun kar ḳhāmoshī se mere mashwaroṅ ke intazār meṅ rahte the.
Job UrduGeoR 29:22  Mere bāt karne par wuh jawāb meṅ kuchh na kahte balki mere alfāz halkī-sī būṅdā-bāṅdī kī tarah un par ṭapakte rahte.
Job UrduGeoR 29:23  Jis tarah insān shiddat se bārish ke intazār meṅ rahtā hai usī tarah wuh mere intazār meṅ rahte the. Wuh muṅh pasār kar bahār kī bārish kī tarah mere alfāz ko jazb kar lete the.
Job UrduGeoR 29:24  Jab maiṅ un se bāt karte waqt muskurātā to unheṅ yaqīn nahīṅ ātā thā, merī un par mehrbānī un ke nazdīk nihāyat qīmtī thī.
Job UrduGeoR 29:25  Maiṅ un kī rāh un ke lie chun kar un kī qiyādat kartā, un ke darmiyān yoṅ bastā thā jis tarah bādshāh apne dastoṅ ke darmiyān. Maiṅ us kī mānind thā jo mātam karne wāloṅ ko tasallī detā hai.