Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LUKE
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 17
Luke UrduGeoR 17:1  Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Āzmāishoṅ ko to ānā hī ānā hai, lekin us par afsos jis kī mārifat wuh āeṅ.
Luke UrduGeoR 17:2  Agar wuh in chhoṭoṅ meṅ se kisī ko gunāh karne par uksāe to us ke lie behtar hai ki us ke gale meṅ baṛī chakkī kā pāṭ bāndhā jāe aur use samundar meṅ phaiṅk diyā jāe.
Luke UrduGeoR 17:3  Ḳhabardār raho! Agar tumhārā bhāī gunāh kare to use samjhāo. Agar wuh is par taubā kare to use muāf kar do.
Luke UrduGeoR 17:4  Ab farz karo ki wuh ek din ke andar sāt bār tumhārā gunāh kare, lekin har dafā wāpas ā kar taubā kā izhār kare, to bhī use har dafā muāf kar do.”
Luke UrduGeoR 17:5  Rasūloṅ ne Ḳhudāwand se kahā, “Hamāre īmān ko baṛhā deṅ.”
Luke UrduGeoR 17:6  Ḳhudāwand ne jawāb diyā, “Agar tumhārā īmān rāī ke dāne jaisā chhoṭā bhī ho to tum shahtūt ke is daraḳht ko kah sakte ho, ‘Ukhaṛ kar samundar meṅ jā lag’ to wuh tumhārī bāt par amal karegā.
Luke UrduGeoR 17:7  Farz karo ki tum meṅ se kisī ne hal chalāne yā jānwar charāne ke lie ek ġhulām rakhā hai. Jab yih ġhulām khet se ghar āegā to kyā us kā mālik kahegā, ‘Idhar āo, khāne ke lie baiṭh jāo?’
Luke UrduGeoR 17:8  Hargiz nahīṅ, balki wuh yih kahegā, ‘Merā khānā taiyār karo, ḍyūṭī ke kapṛe pahan kar merī ḳhidmat karo jab tak maiṅ khā-pī na lūṅ. Is ke bād tum bhī khā aur pī sakoge.’
Luke UrduGeoR 17:9  Aur kyā wuh apne ġhulām kī us ḳhidmat kā shukriyā adā karegā jo us ne use karne ko kahā thā? Hargiz nahīṅ!
Luke UrduGeoR 17:10  Isī tarah jab tum sab kuchh jo tumheṅ karne ko kahā gayā hai kar chuko tab tum ko yih kahnā chāhie, ‘Ham nālāyq naukar haiṅ. Ham ne sirf apnā farz adā kiyā hai.’”
Luke UrduGeoR 17:11  Aisā huā ki Yarūshalam kī taraf safr karte karte Īsā Sāmariya aur Galīl meṅ se guzarā.
Luke UrduGeoR 17:12  Ek din wuh kisī gāṅw meṅ dāḳhil ho rahā thā ki koṛh ke das marīz us ko milne āe. Wuh kuchh fāsile par khaṛe ho kar
Luke UrduGeoR 17:13  ūṅchī āwāz se kahne lage, “Ai Īsā, ustād, ham par rahm kareṅ.”
Luke UrduGeoR 17:14  Us ne unheṅ dekhā to kahā, “Jāo, apne āp ko imāmoṅ ko dikhāo tāki wuh tumhārā muāynā kareṅ.” Aur aisā huā ki wuh chalte chalte apnī bīmārī se pāk-sāf ho gae.
Luke UrduGeoR 17:15  Un meṅ se ek ne jab dekhā ki shifā mil gaī hai to wuh muṛ kar ūṅchī āwāz se Allāh kī tamjīd karne lagā,
Luke UrduGeoR 17:16  aur Īsā ke sāmne muṅh ke bal gir kar shukriyā adā kiyā. Yih ādmī Sāmariya kā bāshindā thā.
Luke UrduGeoR 17:17  Īsā ne pūchhā, “Kyā das ke das ādmī apnī bīmārī se pāk-sāf nahīṅ hue? Bāqī nau kahāṅ haiṅ?
Luke UrduGeoR 17:18  Kyā is ġhairmulkī ke alāwā koī aur wāpas ā kar Allāh kī tamjīd karne ke lie taiyār nahīṅ thā?”
Luke UrduGeoR 17:19  Phir us ne us se kahā, “Uṭh kar chalā jā. Tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.”
Luke UrduGeoR 17:20  Kuchh Farīsiyoṅ ne Īsā se pūchhā, “Allāh kī bādshāhī kab āegī?” Us ne jawāb diyā, “Allāh kī bādshāhī yoṅ nahīṅ ā rahī ki use zāhirī nishānoṅ se pahchānā jāe.
Luke UrduGeoR 17:21  Log yih bhī nahīṅ kah sakeṅge, ‘Wuh yahāṅ hai’ yā ‘Wuh wahāṅ hai’ kyoṅki Allāh kī bādshāhī tumhāre darmiyān hai.”
Luke UrduGeoR 17:22  Phir us ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Aise din āeṅge ki tum Ibn-e-Ādam kā kam az kam ek din deḳhne kī tamannā karoge, lekin nahīṅ dekhoge.
Luke UrduGeoR 17:23  Log tum ko batāeṅge, ‘Wuh wahāṅ hai’ yā ‘Wuh yahāṅ hai.’ Lekin mat jānā aur un ke pīchhe na lagnā.
Luke UrduGeoR 17:24  Kyoṅki jab Ibn-e-Ādam kā din āegā to wuh bijlī kī mānind hogā jis kī chamak āsmān ko ek sire se le kar dūsre sire tak raushan kar detī hai.
Luke UrduGeoR 17:25  Lekin pahle lāzim hai ki wuh bahut dukh uṭhāe aur is nasl ke hāthoṅ radd kiyā jāe.
Luke UrduGeoR 17:26  Jab Ibn-e-Ādam kā waqt āegā to hālāt Nūh ke dinoṅ jaise hoṅge.
Luke UrduGeoR 17:27  Log us din tak khāne-pīne aur shādī karne karwāne meṅ lage rahe jab tak Nūh kashtī meṅ dāḳhil na ho gayā. Phir sailāb ne ā kar un sab ko tabāh kar diyā.
Luke UrduGeoR 17:28  Bilkul yihī kuchh Lūt ke aiyām meṅ huā. Log khāne-pīne, ḳharīd-o-faroḳht, kāshtkārī aur tāmīr ke kām meṅ lage rahe.
Luke UrduGeoR 17:29  Lekin jab Lūt Sadūm ko chhoṛ kar niklā to āg aur gandhak ne āsmān se baras kar un sab ko tabāh kar diyā.
Luke UrduGeoR 17:30  Ibn-e-Ādam ke zuhūr ke waqt aise hī hālāt hoṅge.
Luke UrduGeoR 17:31  Jo shaḳhs us din chhat par ho wuh ghar kā sāmān sāth le jāne ke lie nīche na utre. Isī tarah jo khet meṅ ho wuh apne pīchhe paṛī chīzoṅ ko sāth le jāne ke lie ghar na lauṭe.
Luke UrduGeoR 17:33  Jo apnī jān bachāne kī koshish karegā wuh use kho degā, aur jo apnī jān kho degā wuhī use bachāe rakhegā.
Luke UrduGeoR 17:34  Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki us rāt do afrād ek bistar meṅ soe hoṅge, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsre ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā.
Luke UrduGeoR 17:35  Do ḳhawātīn chakkī par gandum pīs rahī hoṅgī, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsrī ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā.
Luke UrduGeoR 17:36  [Do afrād khet meṅ hoṅge, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsre ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā.]”
Luke UrduGeoR 17:37  Unhoṅ ne pūchhā, “Ḳhudāwand, yih kahāṅ hogā?” Us ne jawāb diyā, “Jahāṅ lāsh paṛī ho wahāṅ giddh jamā ho jāeṅge.”