Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
MALACHI
Up
1 2 3 4
Toggle notes
Chapter 1
Mala UrduGeoR 1:1  Zail meṅ Isrāīl ke lie Rab kā wuh kalām hai jo us ne Malākī par nāzil kiyā.
Mala UrduGeoR 1:2  Rab farmātā hai, “Tum mujhe pyāre ho.” Lekin tum kahte ho, “Kis tarah? Terī ham se muhabbat kahāṅ zāhir huī hai?” Suno Rab kā jawāb! “Kyā Esau aur Yāqūb sage bhāī nahīṅ the? To bhī sirf Yāqūb mujhe pyārā thā
Mala UrduGeoR 1:3  jabki Esau se maiṅ mutanaffir rahā. Us ke pahāṛī ilāqe Adom ko maiṅ ne wīrān-o-sunsān kar diyā, us kī maurūsī zamīn ko registān ke gīdaṛoṅ ke hawāle kar diyā hai.”
Mala UrduGeoR 1:4  Adomī kahte haiṅ, “Go ham chaknāchūr ho gae haiṅ to bhī khanḍarāt kī jagah nae ghar banā leṅge.” Lekin Rabbul-afwāj farmātā hai, “Beshak tāmīr kā kām karte jāo, lekin maiṅ sab kuchh dubārā ḍhā dūṅgā. Un kā mulk ‘Bedīnī kā Mulk’ aur un kī qaum ‘Wuh Qaum Jis par Rab kī Abadī Lānat Hai’ kahlāegī.
Mala UrduGeoR 1:5  Tum Isrāīlī apnī āṅkhoṅ se yih dekhoge. Tab tum kahoge, ‘Rab apnī azmat Isrāīl kī sarhaddoṅ se bāhar bhī zāhir kartā hai.’”
Mala UrduGeoR 1:6  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Ai imāmo, beṭā apne bāp kā aur naukar apne mālik kā ehtirām kartā hai. Lekin merā ehtirām kaun kartā hai, go maiṅ tumhārā bāp hūṅ? Merā ḳhauf kaun māntā hai, go maiṅ tumhārā mālik hūṅ? Haqīqat yih hai ki tum mere nām ko haqīr jānte ho. Lekin tum etarāz karte ho, ‘Ham kis tarah tere nām ko haqīr jānte haiṅ?’
Mala UrduGeoR 1:7  Is meṅ ki tum merī qurbāngāh par nāpāk ḳhurāk rakh dete ho. Tum pūchhte ho, ‘Ham ne tujhe kis bāt meṅ nāpāk kiyā hai?’ Is meṅ ki tum Rab kī mez ko qābil-e-tahqīr qarār dete ho.
Mala UrduGeoR 1:8  Kyoṅki go andhe jānwaroṅ ko qurbān karnā saḳht manā hai, to bhī tum yih bāt nazarandāz karke aise jānwaroṅ ko qurbān karte ho. Langaṛe yā bīmār jānwar chaṛhānā bhī mamnūs hai, to bhī tum kahte ho, ‘Koī bāt nahīṅ’ aur aise hī jānwaroṅ ko pesh karte ho.” Rabbul-afwāj farmātā hai, “Agar wāqaī is kī koī bāt nahīṅ to apne mulk ke gawarnar ko aise jānwaroṅ ko pesh karo. Kyā wuh tum se ḳhush hogā? Kyā wuh tumheṅ qabūl karegā? Hargiz nahīṅ!
Mala UrduGeoR 1:9  Chunāṅche ab Allāh se iltamās karo ki ham par mehrbānī kar.” Rabbul-afwāj farmātā hai, “Ḳhud soch lo, kyā hamāre hāthoṅ se aisī qurbāniyāṅ milne par Allāh hameṅ qabūl karegā?
Mala UrduGeoR 1:10  Kāsh tum meṅ se koī mere ghar ke darwāzoṅ ko band kare tāki merī qurbāngāh par befāydā āg na lagā sako! Maiṅ tum se ḳhush nahīṅ, aur tumhāre hāthoṅ se qurbāniyāṅ mujhe bilkul pasand nahīṅ.” Yih Rabbul-afwāj kā farmān hai.
Mala UrduGeoR 1:11  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Pūrī duniyā meṅ mashriq se maġhrib tak merā nām azīm hai. Har jagah mere nām ko baḳhūr aur pāk qurbāniyāṅ pesh kī jātī haiṅ. Kyoṅki dīgar aqwām meṅ merā nām azīm hai.
Mala UrduGeoR 1:12  Lekin tum apnī harkatoṅ se mere nām kī behurmatī karte ho. Tum kahte ho, ‘Rab kī mez ko nāpāk kiyā jā saktā hai, us kī qurbāniyoṅ ko haqīr jānā jā saktā hai.’
Mala UrduGeoR 1:13  Tum shikāyat karte ho, ‘Hāy, yih ḳhidmat kitnī taklīfdeh hai!’ Aur qurbānī kī āg ko hiqārat kī nazaroṅ se deḳhte hue tez karte ho. Har qism kā jānwar pesh kiyā jātā hai, ḳhāh wuh zaḳhmī, langaṛā yā bīmār kyoṅ na ho.” Rabbul-afwāj farmātā hai, “Kyā maiṅ tumhāre hāthoṅ se aisī qurbāniyāṅ qabūl kar saktā hūṅ? Hargiz nahīṅ!
Mala UrduGeoR 1:14  Us dhokebāz par lānat jo mannat mān kar kahe, ‘Maiṅ Rab ko apne rewaṛ kā achchhā menḍhā qurbān karūṅga’ lekin is ke bajāe nāqis jānwar pesh kare.” Kyoṅki Rabbul-afwāj farmātā hai, “Maiṅ azīm Bādshāh hūṅ, aur aqwām meṅ mere nām kā ḳhauf mānā jātā hai.
Chapter 2
Mala UrduGeoR 2:2  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Merī suno, pūre dil se mere nām kā ehtirām karo, warnā maiṅ tum par lānat bhejūṅgā, maiṅ tumhārī barkatoṅ ko lānatoṅ meṅ tabdīl kar dūṅgā. Balki maiṅ yih kar bhī chukā hūṅ, kyoṅki tum ne pūre dil se mere nām kā ehtirām nahīṅ kiyā.
Mala UrduGeoR 2:3  Tumhāre chāl-chalan ke sabab se maiṅ tumhārī aulād ko ḍānṭūṅgā. Maiṅ tumhārī īd kī qurbāniyoṅ kā gobar tumhāre muṅh par phaiṅk dūṅgā, aur tumheṅ us ke samet bāhar phaiṅkā jāegā.”
Mala UrduGeoR 2:4  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Tab tum jān loge ki maiṅ ne tum par yih faislā kiyā hai tāki merā Lāwī ke qabīle ke sāth ahd qāym rahe.
Mala UrduGeoR 2:5  Kyoṅki maiṅ ne ahd bāndh kar Lāwiyoṅ se zindagī aur salāmatī kā wādā kiyā thā, aur maiṅ ne wāde ko pūrā bhī kiyā. Us waqt Lāwī merā ḳhauf mānte balki mere nām se dahshat khāte the.
Mala UrduGeoR 2:6  Wuh qābil-e-etamād tālīm dete the, aur un kī zabān par jhūṭ nahīṅ hotā thā. Wuh salāmatī se aur sīdhī rāh par mere sāth chalte the, aur bahut-se log un ke bāis gunāh se dūr ho gae.
Mala UrduGeoR 2:7  Imāmoṅ kā farz hai ki wuh sahīh tālīm mahfūz rakheṅ, aur logoṅ ko un se hidāyat hāsil karnī chāhie. Kyoṅki imām Rabbul-afwāj kā paiġhambar hai.
Mala UrduGeoR 2:8  Lekin tum sahīh rāh se haṭ gae ho. Tumhārī tālīm bahutoṅ ke lie ṭhokar kā bāis ban gaī hai.” Rabbul-afwāj farmātā hai, “Tum ne Lāwiyoṅ ke sāth mere ahd ko ḳhāk meṅ milā diyā hai.
Mala UrduGeoR 2:9  Is lie maiṅ ne tumheṅ tamām qaum ke sāmne zalīl kar diyā hai, sab tumheṅ haqīr jānte haiṅ. Kyoṅki tum merī rāhoṅ par nahīṅ rahte balki tālīm dete waqt jānibdārī dikhāte ho.”
Mala UrduGeoR 2:10  Kyā ham sab kā ek hī bāp nahīṅ? Ek hī Ḳhudā ne hameṅ ḳhalaq kiyā hai. To phir ham ek dūsre se bewafāī karke apne bāpdādā ke ahd kī behurmatī kyoṅ kar rahe haiṅ?
Mala UrduGeoR 2:11  Yahūdāh bewafā ho gayā hai. Isrāīl aur Yarūshalam meṅ makrūh harkateṅ sarzad huī haiṅ, kyoṅki Yahūdāh ke ādmiyoṅ ne Rab ke ghar kī behurmatī kī hai, us maqdis kī jo Rab ko pyārā hai. Kis tarah? Unhoṅ ne dīgar aqwām kī butparast auratoṅ se shādī kī hai.
Mala UrduGeoR 2:12  Lekin jis ne bhī aisā kiyā hai use Rab jaṛ se Yāqūb ke ḳhaimoṅ se nikāl phaiṅkegā, ḳhāh wuh Rabbul-afwāj ko kitnī qurbāniyāṅ pesh kyoṅ na kare.
Mala UrduGeoR 2:13  Tum se ek aur ḳhatā bhī sarzad hotī hai. Beshak Rab kī qurbāngāh ko apne āṅsuoṅ se tar karo, beshak rote aur karāhte raho ki Rab na hamārī qurbāniyoṅ par tawajjuh detā, na unheṅ ḳhushī se hamāre hāth se qabūl kartā hai. Lekin yih karne se koī farq nahīṅ paṛegā.
Mala UrduGeoR 2:14  Tum pūchhte ho, “Kyoṅ?” Is lie ki shādī karte waqt Rab ḳhud gawāh hotā hai. Aur ab tū apnī bīwī se bewafā ho gayā hai, go wuh terī jīwansāthī hai jis se tū ne shādī kā ahd bāndhā thā.
Mala UrduGeoR 2:15  Kyā Rab ne shauhar aur bīwī ko ek nahīṅ banāyā, ek jism jis meṅ rūh hai? Aur yih ek jism kyā chāhtā hai? Allāh kī taraf se aulād. Chunāṅche apnī rūh meṅ ḳhabardār raho! Apnī bīwī se bewafā na ho jā!
Mala UrduGeoR 2:16  Kyoṅki Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Maiṅ talāq se nafrat kartā hūṅ aur us se mutanaffir hūṅ jo zulm se mulabbas hotā hai. Chunāṅche apnī rūh meṅ ḳhabardār rah kar is tarah kā bewafā rawaiyā iḳhtiyār na karo!”
Mala UrduGeoR 2:17  Tumhārī bātoṅ ko sun sun kar Rab thak gayā hai. Tum pūchhte ho, “Ham ne use kis tarah thakā diyā hai?” Is meṅ ki tum dāwā karte ho, “Badī karne wālā Rab kī nazar meṅ ṭhīk hai, wuh aise logoṅ ko pasand kartā hai.” Tum yih bhī kahte ho, “Allāh kahāṅ hai? Wuh insāf kyoṅ nahīṅ kartā?”
Chapter 3
Mala UrduGeoR 3:1  Rabbul-afwāj jawāb meṅ farmātā hai, “Dekh, maiṅ apne paiġhambar ko bhej detā hūṅ jo mere āge āge chal kar merā rāstā taiyār karegā. Tab jis Rab ko tum talāsh kar rahe ho wuh achānak apne ghar meṅ ā maujūd hogā. Hāṅ, ahd kā paiġhambar jis kī tum shiddat se ārzū karte ho wuh āne wālā hai!”
Mala UrduGeoR 3:2  Lekin jab wuh āe to kaun yih bardāsht kar sakegā? Kaun qāym rah sakegā jab wuh ham par zāhir ho jāegā? Wuh to dhāt ḍhālne wāle kī āg yā dhobī ke tez sābun kī mānind hogā.
Mala UrduGeoR 3:3  Wuh baiṭh kar chāṅdī ko pighlā kar pāk-sāf karegā. Jis tarah sone-chāṅdī ko pighlā kar pāk-sāf kiyā jātā hai usī tarah wuh Lāwī ke qabīle ko pāk-sāf karegā. Tab wuh Rab ko rāst qurbāniyāṅ pesh kareṅge.
Mala UrduGeoR 3:4  Phir Yahūdāh aur Yarūshalam kī qurbāniyāṅ qadīm zamāne kī tarah dubārā Rab ko qabūl hoṅgī.
Mala UrduGeoR 3:5  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Maiṅ tumhārī adālat karne ke lie tumhāre pās āūṅgā. Jald hī maiṅ un ke ḳhilāf gawāhī dūṅgā jo merā ḳhauf nahīṅ mānte, jo jādūgar aur zinākār haiṅ, jo jhūṭī qasam khāte, mazdūroṅ kā haq mārte, bewāoṅ aur yatīmoṅ par zulm karte aur ajnabiyoṅ kā haq mārte haiṅ.
Mala UrduGeoR 3:6  Maiṅ, Rab tabdīl nahīṅ hotā, lekin tum ab tak Yāqūb kī aulād rahe ho.
Mala UrduGeoR 3:7  Apne bāpdādā ke zamāne se le kar āj tak tum ne mere ahkām se dūr rah kar un par dhyān nahīṅ diyā. Rabbul-afwāj farmātā hai ki mere pās wāpas āo! Tab maiṅ bhī tumhāre pās wāpas āūṅgā. Lekin tum etarāz karte ho, ‘Ham kyoṅ wāpas āeṅ, ham se kyā sarzad huā hai?’
Mala UrduGeoR 3:8  Kyā munāsib hai ki insān Allāh ko ṭhage? Hargiz nahīṅ! Lekin tum log yihī kuchh kar rahe ho. Tum pūchhte ho, ‘Ham kis tarah tujhe ṭhagte haiṅ?’ Is meṅ ki tum mujhe apnī paidāwār kā daswāṅ hissā nahīṅ dete. Nīz, tum imāmoṅ ko qurbāniyoṅ kā wuh hissā nahīṅ dete jo un kā haq bantā hai.
Mala UrduGeoR 3:9  Pūrī qaum mujhe ṭhagtī rahtī hai, is lie maiṅ ne tum par lānat bhejī hai.”
Mala UrduGeoR 3:10  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Mere ghar ke godām meṅ apnī paidāwār kā pūrā daswāṅ hissā jamā karo tāki is meṅ ḳhurāk dastyāb ho. Mujhe is meṅ āzmā kar dekho ki maiṅ apne wāde ko pūrā kartā hūṅ ki nahīṅ. Kyoṅki maiṅ tum se wādā kartā hūṅ ki jawāb meṅ maiṅ āsmān ke darīche khol kar tum par had se zyādā barkat barsā dūṅgā.”
Mala UrduGeoR 3:11  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Maiṅ kīṛoṅ ko tumhārī fasloṅ se dūr rakhūṅgā tāki tumhāre khetoṅ kī paidāwār aur tumhāre angūr ḳharāb na ho jāeṅ balki pak jāeṅ.
Mala UrduGeoR 3:12  Tab tumhārā mulk itnā rāhatbaḳhsh hogā ki tamām aqwām tumheṅ mubārak kaheṅgī.” Yih Rabbul-afwāj kā farmān hai.
Mala UrduGeoR 3:13  Rab farmātā hai, “Tum mere bāre meṅ kufr bakte ho. Tum kahte ho, ‘Ham kyoṅkar kufr bakte haiṅ?’
Mala UrduGeoR 3:14  Is meṅ ki tum kahte ho, ‘Allāh kī ḳhidmat karnā abas hai. Kyoṅki Rabbul-afwāj kī hidāyāt par dhyān dene aur muṅh laṭkā kar us ke huzūr phirne se hameṅ kyā fāydā huā hai?
Mala UrduGeoR 3:15  Chunāṅche gustāḳh logoṅ ko mubārak ho, kyoṅki bedīn phalte-phūlte aur Allāh ko āzmāne wāle hī bache rahte haiṅ.’”
Mala UrduGeoR 3:16  Lekin phir Rab kā ḳhauf mānane wāle āpas meṅ bāt karne lage, aur Rab ne ġhaur se un kī sunī. Us ke huzūr yādgārī kī kitāb likhī gaī jis meṅ un ke nām darj haiṅ jo Rab kā ḳhauf mānte aur us ke nām kā ehtirām karte haiṅ.
Mala UrduGeoR 3:17  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Jis din maiṅ harkat meṅ āūṅgā us din wuh merī ḳhās milkiyat hoṅge. Maiṅ un par yoṅ rahm karūṅga, jis tarah bāp apne us beṭe par tars khātā hai jo us kī ḳhidmat kartā hai.
Mala UrduGeoR 3:18  Us waqt tumheṅ rāstbāz aur bedīn kā farq dubārā nazar āegā. Sāf zāhir ho jāegā ki Allāh kī ḳhidmat karne wāloṅ aur dūsroṅ meṅ kyā farq hai.”
Chapter 4
Mala UrduGeoR 4:1  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Yaqīnan wuh din āne wālā hai jab merā ġhazab bhaṛaktī bhaṭṭī kī tarah nāzil ho kar har gustāḳh aur bedīn shaḳhs ko bhūse kī tarah bhasm kar degā. Wuh jaṛ se le kar shāḳh tak miṭ jāeṅge.
Mala UrduGeoR 4:2  Lekin tum par jo mere nām kā ḳhauf mānte ho rāstī kā sūraj tulū hogā, aur us ke paroṅ tale shifā hogī. Tab tum bāhar nikal kar khule chhoṛe hue bachhṛoṅ kī tarah ḳhushī se kūdte phāṅdte phiroge.
Mala UrduGeoR 4:3  Jis din maiṅ yih kuchh karūṅga us din tum bedīnoṅ ko yoṅ kuchal ḍāloge ki wuh pāṅwoṅ tale kī ḳhāk ban jāeṅge.” Yih Rabbul-afwāj kā farmān hai.
Mala UrduGeoR 4:4  “Mere ḳhādim Mūsā kī sharīat ko yād rakho yānī wuh tamām ahkām aur hidāyāt jo maiṅ ne use Horib yānī Sīnā Pahāṛ par Isrāīlī qaum ke lie dī thīṅ.
Mala UrduGeoR 4:5  Rab ke us azīm aur haulnāk din se pahle maiṅ tumhāre pās Iliyās Nabī ko bhejūṅgā.
Mala UrduGeoR 4:6  Jab wuh āegā to bāp kā dil beṭe aur beṭe kā dil bāp kī taraf māyl karegā tāki maiṅ ā kar mulk ko apne lie maḳhsūs karke nest-o-nābūd na karūṅ.”