Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOHN
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 10
John UrduGeoR 10:1  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo darwāze se bheṛoṅ ke bāṛe meṅ dāḳhil nahīṅ hotā balki phalāṅg kar andar ghus ātā hai wuh chor aur ḍākū hai.
John UrduGeoR 10:2  Lekin jo darwāze se dāḳhil hotā hai wuh bheṛoṅ kā charwāhā hai.
John UrduGeoR 10:3  Chaukīdār us ke lie darwāzā khol detā hai aur bheṛeṅ us kī āwāz suntī haiṅ. Wuh apnī har ek bheṛ kā nām le kar unheṅ bulātā aur bāhar le jātā hai.
John UrduGeoR 10:4  Apne pūre galle ko bāhar nikālne ke bād wuh un ke āge āge chalne lagtā hai aur bheṛeṅ us ke pīchhe pīchhe chal paṛtī haiṅ, kyoṅki wuh us kī āwāz pahchāntī haiṅ.
John UrduGeoR 10:5  Lekin wuh kisī ajnabī ke pīchhe nahīṅ chaleṅgī balki us se bhāg jāeṅgī, kyoṅki wuh us kī āwāz nahīṅ pahchāntīṅ.”
John UrduGeoR 10:6  Īsā ne unheṅ yih tamsīl pesh kī, lekin wuh na samjhe ki wuh unheṅ kyā batānā chāhtā hai.
John UrduGeoR 10:7  Is lie Īsā dubārā is par bāt karne lagā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki bheṛoṅ ke lie darwāzā maiṅ hūṅ.
John UrduGeoR 10:8  Jitne bhī mujh se pahle āe wuh chor aur ḍākū haiṅ. Lekin bheṛoṅ ne un kī na sunī.
John UrduGeoR 10:9  Maiṅ hī darwāzā hūṅ. Jo bhī mere zariye andar āe use najāt milegī. Wuh ātā jātā aur harī charāgāheṅ pātā rahegā.
John UrduGeoR 10:10  Chor to sirf chorī karne, zabah karne aur tabāh karne ātā hai. Lekin maiṅ is lie āyā hūṅ ki wuh zindagī pāeṅ, balki kasrat kī zindagī pāeṅ.
John UrduGeoR 10:11  Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Achchhā charwāhā apnī bheṛoṅ ke lie apnī jān detā hai.
John UrduGeoR 10:12  Mazdūr charwāhe kā kirdār adā nahīṅ kartā, kyoṅki bheṛeṅ us kī apnī nahīṅ hotīṅ. Is lie jyoṅ hī koī bheṛiyā ātā hai to mazdūr use deḳhte hī bheṛoṅ ko chhoṛ kar bhāg jātā hai. Natīje meṅ bheṛiyā kuchh bheṛeṅ pakaṛ letā aur bāqiyoṅ ko muntashir kar detā hai.
John UrduGeoR 10:13  Wajah yih hai ki wuh mazdūr hī hai aur bheṛoṅ kī fikr nahīṅ kartā.
John UrduGeoR 10:14  Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Maiṅ apnī bheṛoṅ ko jāntā hūṅ aur wuh mujhe jāntī haiṅ,
John UrduGeoR 10:15  bilkul usī tarah jis tarah Bāp mujhe jāntā hai aur maiṅ Bāp ko jāntā hūṅ. Aur maiṅ bheṛoṅ ke lie apnī jān detā hūṅ.
John UrduGeoR 10:16  Merī aur bhī bheṛeṅ haiṅ jo is bāṛe meṅ nahīṅ haiṅ. Lāzim hai ki unheṅ bhī le āūṅ. Wuh bhī merī āwāz suneṅgī. Phir ek hī gallā aur ek hī gallābān hogā.
John UrduGeoR 10:17  Merā Bāp mujhe is lie pyār kartā hai ki maiṅ apnī jān detā hūṅ tāki use phir le lūṅ.
John UrduGeoR 10:18  Koī merī jān mujh se chhīn nahīṅ saktā balki maiṅ use apnī marzī se de detā hūṅ. Mujhe use dene kā iḳhtiyār hai aur use wāpas lene kā bhī. Yih hukm mujhe apne Bāp kī taraf se milā hai.”
John UrduGeoR 10:19  In bātoṅ par Yahūdiyoṅ meṅ dubārā phūṭ paṛ gaī.
John UrduGeoR 10:20  Bahutoṅ ne kahā, “Yih badrūh kī girift meṅ hai, yih dīwānā hai. Is kī kyoṅ suneṅ!”
John UrduGeoR 10:21  Lekin auroṅ ne kahā, “Yih aisī bāteṅ nahīṅ haiṅ jo badrūh-giriftā shaḳhs kar sake. Kyā badrūheṅ andhoṅ kī āṅkheṅ bahāl kar saktī haiṅ?”
John UrduGeoR 10:22  Sardiyoṅ kā mausam thā aur Īsā Baitul-muqaddas kī Maḳhsūsiyat kī Īd banām Hanūkā ke daurān Yarūshalam meṅ thā.
John UrduGeoR 10:23  Wuh Baitul-muqaddas ke us barāmde meṅ phir rahā thā jis kā nām Sulemān kā barāmdā thā.
John UrduGeoR 10:24  Yahūdī use gher kar kahne lage, “Āp hameṅ kab tak uljhan meṅ rakheṅge? Agar āp Masīh haiṅ to hameṅ sāf sāf batā deṅ.”
John UrduGeoR 10:25  Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko batā chukā hūṅ, lekin tum ko yaqīn nahīṅ āyā. Jo kām maiṅ apne Bāp ke nām se kartā hūṅ wuh mere gawāh haiṅ.
John UrduGeoR 10:26  Lekin tum īmān nahīṅ rakhte kyoṅki tum merī bheṛeṅ nahīṅ ho.
John UrduGeoR 10:27  Merī bheṛeṅ merī āwāz suntī haiṅ. Maiṅ unheṅ jāntā hūṅ aur wuh mere pīchhe chaltī haiṅ.
John UrduGeoR 10:28  Maiṅ unheṅ abadī zindagī detā hūṅ, is lie wuh kabhī halāk nahīṅ hoṅgī. Koī unheṅ mere hāth se chhīn na legā,
John UrduGeoR 10:29  kyoṅki mere Bāp ne unheṅ mere sapurd kiyā hai aur wuhī sab se baṛā hai. Koī unheṅ Bāp ke hāth se chhīn nahīṅ saktā.
John UrduGeoR 10:31  Yih sun kar Yahūdī dubārā patthar uṭhāne lage tāki Īsā ko sangsār kareṅ.
John UrduGeoR 10:32  Us ne un se kahā, “Maiṅ ne tumheṅ Bāp kī taraf se kaī ilāhī nishān dikhāe haiṅ. Tum mujhe in meṅ se kis nishān kī wajah se sangsār kar rahe ho?”
John UrduGeoR 10:33  Yahūdiyoṅ ne jawāb diyā, “Ham tum ko kisī achchhe kām kī wajah se sangsār nahīṅ kar rahe balki kufr bakne kī wajah se. Tum jo sirf insān ho Allāh hone kā dāwā karte ho.”
John UrduGeoR 10:34  Īsā ne kahā, “Kyā yih tumhārī sharīat meṅ nahīṅ likhā hai ki Allāh ne farmāyā, ‘Tum Ḳhudā ho’?
John UrduGeoR 10:35  Unheṅ ‘Ḳhudā’ kahā gayā jin tak Allāh kā yih paiġhām pahuṅchāyā gayā. Aur ham jānte haiṅ ki kalām-e-muqaddas ko mansūḳh nahīṅ kiyā jā saktā.
John UrduGeoR 10:36  To phir tum kufr bakne kī bāt kyoṅ karte ho jab maiṅ kahtā hūṅ ki maiṅ Allāh kā Farzand hūṅ? Āḳhir Bāp ne ḳhud mujhe maḳhsūs karke duniyā meṅ bhejā hai.
John UrduGeoR 10:37  Agar maiṅ apne Bāp ke kām na karūṅ to merī bāt na māno.
John UrduGeoR 10:38  Lekin agar us ke kām karūṅ to beshak merī bāt na māno, lekin kam az kam un kāmoṅ kī gawāhī to māno. Phir tum jān loge aur samajh jāoge ki Bāp mujh meṅ hai aur maiṅ Bāp meṅ hūṅ.”
John UrduGeoR 10:39  Ek bār phir unhoṅ ne use giriftār karne kī koshish kī, lekin wuh un ke hāth se nikal gayā.
John UrduGeoR 10:40  Phir Īsā dubārā Dariyā-e-Yardan ke pār us jagah chalā gayā jahāṅ Yahyā shurū meṅ baptismā diyā kartā thā. Wahāṅ wuh kuchh der ṭhahrā.
John UrduGeoR 10:41  Bahut-se log us ke pās āte rahe. Unhoṅ ne kahā, “Yahyā ne kabhī koī ilāhī nishān na dikhāyā, lekin jo kuchh us ne is ke bāre meṅ bayān kiyā, wuh bilkul sahīh niklā.”