Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOHN
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 9
John UrduGeoR 9:1  Chalte chalte Īsā ne ek ādmī ko dekhā jo paidāish kā andhā thā.
John UrduGeoR 9:2  Us ke shāgirdoṅ ne us se pūchhā, “Ustād, yih ādmī andhā kyoṅ paidā huā? Kyā is kā koī gunāh hai yā is ke wālidain kā?”
John UrduGeoR 9:3  Īsā ne jawāb diyā, “Na is kā koī gunāh hai aur na is ke wālidain kā. Yih is lie huā ki is kī zindagī meṅ Allāh kā kām zāhir ho jāe.
John UrduGeoR 9:4  Abhī din hai. Lāzim hai ki ham jitnī der tak din hai us kā kām karte raheṅ jis ne mujhe bhejā hai. Kyoṅki rāt āne wālī hai, us waqt koī kām nahīṅ kar sakegā.
John UrduGeoR 9:5  Lekin jitnī der tak maiṅ duniyā meṅ hūṅ utnī der tak maiṅ duniyā kā nūr hūṅ.”
John UrduGeoR 9:6  Yih kah kar us ne zamīn par thūk kar miṭṭī sānī aur us kī āṅkhoṅ par lagā dī.
John UrduGeoR 9:7  Us ne us se kahā, “Jā, Shiloḳh ke hauz meṅ nahā le.” (Shiloḳh kā matlab ‘bhejā huā’ hai.) Andhe ne jā kar nahā liyā. Jab wāpas āyā to wuh dekh saktā thā.
John UrduGeoR 9:8  Us ke hamsāe aur wuh jinhoṅ ne pahle use bhīk māṅgte dekhā thā pūchhne lage, “Kyā yih wuhī nahīṅ jo baiṭhā bhīk māṅgā kartā thā?”
John UrduGeoR 9:9  Bāz ne kahā, “Hāṅ, wuhī hai.” Auroṅ ne inkār kiyā, “Nahīṅ, yih sirf us kā hamshakl hai.” Lekin ādmī ne ḳhud isrār kiyā, “Maiṅ wuhī hūṅ.”
John UrduGeoR 9:10  Unhoṅ ne us se sawāl kiyā, “Terī āṅkheṅ kis tarah bahāl huīṅ?”
John UrduGeoR 9:11  Us ne jawāb diyā, “Wuh ādmī jo Īsā kahlātā hai us ne miṭṭī sān kar merī āṅkhoṅ par lagā dī. Phir us ne mujhe kahā, ‘Shiloḳh ke hauz par jā aur nahā le.’ Maiṅ wahāṅ gayā aur nahāte hī merī āṅkheṅ bahāl ho gaīṅ.”
John UrduGeoR 9:12  Unhoṅ ne pūchhā, “Wuh kahāṅ hai?” Us ne jawāb diyā, “Mujhe nahīṅ mālūm.”
John UrduGeoR 9:13  Tab wuh shifāyāb andhe ko Farīsiyoṅ ke pās le gae.
John UrduGeoR 9:14  Jis din Īsā ne miṭṭī sān kar us kī āṅkhoṅ ko bahāl kiyā thā wuh Sabat kā din thā.
John UrduGeoR 9:15  Is lie Farīsiyoṅ ne bhī us se pūchh-gachh kī ki use kis tarah basārat mil gaī. Ādmī ne jawāb diyā, “Us ne merī āṅkhoṅ par miṭṭī lagā dī, phir maiṅ ne nahā liyā aur ab dekh saktā hūṅ.”
John UrduGeoR 9:16  Farīsiyoṅ meṅ se bāz ne kahā, “Yih shaḳhs Allāh kī taraf se nahīṅ hai, kyoṅki Sabat ke din kām kartā hai.” Dūsroṅ ne etarāz kiyā, “Gunāhgār is qism ke ilāhī nishān kis tarah dikhā saktā hai?” Yoṅ un meṅ phūṭ paṛ gaī.
John UrduGeoR 9:17  Phir wuh dubārā us ādmī se muḳhātib hue jo pahle andhā thā, “Tū ḳhud is ke bāre meṅ kyā kahtā hai? Us ne to terī hī āṅkhoṅ ko bahāl kiyā hai.” Us ne jawāb diyā, “Wuh nabī hai.”
John UrduGeoR 9:18  Yahūdiyoṅ ko yaqīn nahīṅ ā rahā thā ki wuh wāqaī andhā thā aur phir bahāl ho gayā hai. Is lie unhoṅ ne us ke wālidain ko bulāyā.
John UrduGeoR 9:19  Unhoṅ ne un se pūchhā, “Kyā yih tumhārā beṭā hai, wuhī jis ke bāre meṅ tum kahte ho ki wuh andhā paidā huā thā? Ab yih kis tarah dekh saktā hai?”
John UrduGeoR 9:20  Us ke wālidain ne jawāb diyā, “Ham jānte haiṅ ki yih hamārā beṭā hai aur ki yih paidā hote waqt andhā thā.
John UrduGeoR 9:21  Lekin hameṅ mālūm nahīṅ ki ab yih kis tarah dekh saktā hai yā ki kis ne is kī āṅkhoṅ ko bahāl kiyā hai. Is se ḳhud patā kareṅ, yih bāliġh hai. Yih ḳhud apne bāre meṅ batā saktā hai.”
John UrduGeoR 9:22  Us ke wālidain ne yih is lie kahā ki wuh Yahūdiyoṅ se ḍarte the. Kyoṅki wuh faislā kar chuke the ki jo bhī Īsā ko Masīh qarār de use Yahūdī jamāt se nikāl diyā jāe.
John UrduGeoR 9:23  Yihī wajah thī ki us ke wālidain ne kahā thā, “Yih bāliġh hai, is se ḳhud pūchh leṅ.”
John UrduGeoR 9:24  Ek bār phir unhoṅ ne shifāyāb andhe ko bulāyā, “Allāh ko jalāl de, ham to jānte haiṅ ki yih ādmī gunāhgār hai.”
John UrduGeoR 9:25  Ādmī ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā hai ki wuh gunāhgār hai yā nahīṅ, lekin ek bāt maiṅ jāntā hūṅ, pahle maiṅ andhā thā, aur ab maiṅ dekh saktā hūṅ!”
John UrduGeoR 9:26  Phir unhoṅ ne us se sawāl kiyā, “Us ne tere sāth kyā kiyā? Us ne kis tarah terī āṅkhoṅ ko bahāl kar diyā?”
John UrduGeoR 9:27  Us ne jawāb diyā, “Maiṅ pahle bhī āp ko batā chukā hūṅ aur āp ne sunā nahīṅ. Kyā āp bhī us ke shāgird bananā chāhte haiṅ?”
John UrduGeoR 9:28  Is par unhoṅ ne use burā-bhalā kahā, “Tū hī us kā shāgird hai, ham to Mūsā ke shāgird haiṅ.
John UrduGeoR 9:29  Ham to jānte haiṅ ki Allāh ne Mūsā se bāt kī hai, lekin is ke bāre meṅ ham yih bhī nahīṅ jānte ki wuh kahāṅ se āyā hai.”
John UrduGeoR 9:30  Ādmī ne jawāb diyā, “Ajīb bāt hai, us ne merī āṅkhoṅ ko shifā dī hai aur phir bhī āp nahīṅ jānte ki wuh kahāṅ se hai.
John UrduGeoR 9:31  Ham jānte haiṅ ki Allāh gunāhgāroṅ kī nahīṅ suntā. Wuh to us kī suntā hai jo us kā ḳhauf māntā aur us kī marzī ke mutābiq chaltā hai.
John UrduGeoR 9:32  Ibtidā hī se yih bāt sunane meṅ nahīṅ āī ki kisī ne paidāishī andhe kī āṅkhoṅ ko bahāl kar diyā ho.
John UrduGeoR 9:33  Agar yih ādmī Allāh kī taraf se na hotā to kuchh na kar saktā.”
John UrduGeoR 9:34  Jawāb meṅ unhoṅ ne use batāyā, “Tū jo gunāhālūdā hālat meṅ paidā huā hai kyā tū hamārā ustād bananā chāhtā hai?” Yih kah kar unhoṅ ne use jamāt meṅ se nikāl diyā.
John UrduGeoR 9:35  Jab Īsā ko patā chalā ki use nikāl diyā gayā hai to wuh us ko milā aur pūchhā, “Kyā tū Ibn-e-Ādam par īmān rakhtā hai?”
John UrduGeoR 9:36  Us ne kahā, “Ḳhudāwand, wuh kaun hai? Mujhe batāeṅ tāki maiṅ us par īmān lāūṅ.”
John UrduGeoR 9:37  Īsā ne jawāb diyā, “Tū ne use dekh liyā hai balki wuh tujh se bāt kar rahā hai.”
John UrduGeoR 9:38  Us ne kahā, “Ḳhudāwand, maiṅ īmān rakhtā hūṅ” aur use sijdā kiyā.
John UrduGeoR 9:39  Īsā ne kahā, “Maiṅ adālat karne ke lie is duniyā meṅ āyā hūṅ, is lie ki andhe dekheṅ aur deḳhne wāle andhe ho jāeṅ.”
John UrduGeoR 9:40  Kuchh Farīsī jo sāth khaṛe the yih kuchh sun kar pūchhne lage, “Achchhā, ham bhī andhe haiṅ?”
John UrduGeoR 9:41  Īsā ne un se kahā, “Agar tum andhe hote to tum qusūrwār na ṭhaharte. Lekin ab chūṅki tum dāwā karte ho ki ham dekh sakte haiṅ is lie tumhārā gunāh qāym rahtā hai.