Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
MATTHEW
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 14
Matt UrduGeoR 14:1  Us waqt Galīl ke hukmrān Herodes Antipās ko Īsā ke bāre meṅ ittalā milī.
Matt UrduGeoR 14:2  Is par us ne apne darbāriyoṅ se kahā, “Yih Yahyā baptismā dene wālā hai jo murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai, is lie us kī mojizānā tāqateṅ is meṅ nazar ātī haiṅ.”
Matt UrduGeoR 14:3  Wajah yih thī ki Herodes ne Yahyā ko giriftār karke jel meṅ ḍālā thā. Yih Herodiyās kī ḳhātir huā thā jo pahle Herodes ke bhāī Filippus kī bīwī thī.
Matt UrduGeoR 14:4  Yahyā ne Herodes ko batāyā thā, “Herodiyās se terī shādī nājāyz hai.”
Matt UrduGeoR 14:5  Herodes Yahyā ko qatl karnā chāhtā thā, lekin awām se ḍartā thā kyoṅki wuh use nabī samajhte the.
Matt UrduGeoR 14:6  Herodes kī sālgirah ke mauqe par Herodiyās kī beṭī un ke sāmne nāchī. Herodes ko us kā nāchnā itnā pasand āyā
Matt UrduGeoR 14:7  ki us ne qasam khā kar us se wādā kiyā, “Jo bhī tū māṅgegī maiṅ tujhe dūṅgā.”
Matt UrduGeoR 14:8  Apnī māṅ ke sikhāne par beṭī ne kahā, “Mujhe Yahyā baptismā dene wāle kā sar ṭre meṅ mangwā deṅ.”
Matt UrduGeoR 14:9  Yih sun kar bādshāh ko dukh huā. Lekin apnī qasmoṅ aur mehmānoṅ kī maujūdagī kī wajah se us ne use dene kā hukm de diyā.
Matt UrduGeoR 14:10  Chunāṅche Yahyā kā sar qalam kar diyā gayā.
Matt UrduGeoR 14:11  Phir ṭre meṅ rakh kar andar lāyā gayā aur laṛkī ko de diyā gayā. Laṛkī use apnī māṅ ke pās le gaī.
Matt UrduGeoR 14:12  Bād meṅ Yahyā ke shāgird āe aur us kī lāsh le kar use dafnāyā. Phir wuh Īsā ke pās gae aur use ittalā dī.
Matt UrduGeoR 14:13  Yih ḳhabar sun kar Īsā logoṅ se alag ho kar kashtī par sawār huā aur kisī wīrān jagah chalā gayā. Lekin hujūm ko us kī ḳhabar milī. Log paidal chal kar shahroṅ se nikal āe aur us ke pīchhe lag gae.
Matt UrduGeoR 14:14  Jab Īsā ne kashtī par se utar kar baṛe hujūm ko dekhā to use logoṅ par baṛā tars āyā. Wahīṅ us ne un ke marīzoṅ ko shifā dī.
Matt UrduGeoR 14:15  Jab din ḍhalne lagā to us ke shāgird us ke pās āe aur kahā, “Yih jagah wīrān hai aur din ḍhalne lagā hai. In ko ruḳhsat kar deṅ tāki yih irdgird ke dehātoṅ meṅ jā kar khāne ke lie kuchh ḳharīd leṅ.”
Matt UrduGeoR 14:16  Īsā ne jawāb diyā, “Inheṅ jāne kī zarūrat nahīṅ, tum ḳhud inheṅ khāne ko do.”
Matt UrduGeoR 14:17  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Hamāre pās sirf pāṅch roṭiyāṅ aur do machhliyāṅ haiṅ.”
Matt UrduGeoR 14:18  Us ne kahā, “Unheṅ yahāṅ mere pās le āo,”
Matt UrduGeoR 14:19  aur logoṅ ko ghās par baiṭhne kā hukm diyā. Īsā ne un pāṅch roṭiyoṅ aur do machhliyoṅ ko le kar āsmān kī taraf dekhā aur shukrguzārī kī duā kī. Phir us ne roṭiyoṅ ko toṛ toṛ kar shāgirdoṅ ko diyā, aur shāgirdoṅ ne yih roṭiyāṅ logoṅ meṅ taqsīm kar dīṅ.
Matt UrduGeoR 14:20  Sab ne jī bhar kar khāyā. Jab shāgirdoṅ ne bache hue ṭukṛe jamā kie to bārah ṭokre bhar gae.
Matt UrduGeoR 14:21  Ḳhawātīn aur bachchoṅ ke alāwā khāne wāle taqrīban 5,000 mard the.
Matt UrduGeoR 14:22  Is ke ain bād Īsā ne shāgirdoṅ ko majbūr kiyā ki wuh kashtī par sawār ho kar āge nikleṅ aur jhīl ke pār chale jāeṅ. Itne meṅ wuh hujūm ko ruḳhsat karnā chāhtā thā.
Matt UrduGeoR 14:23  Unheṅ ḳhairbād kahne ke bād wuh duā karne ke lie akelā pahāṛ par chaṛh gayā. Shām ke waqt wuh wahāṅ akelā thā
Matt UrduGeoR 14:24  jabki kashtī kināre se kāfī dūr ho gaī thī. Lahreṅ kashtī ko bahut tang kar rahī thīṅ kyoṅki hawā us ke ḳhilāf chal rahī thī.
Matt UrduGeoR 14:25  Taqrīban tīn baje rāt ke waqt Īsā pānī par chalte hue un ke pās āyā.
Matt UrduGeoR 14:26  Jab shāgirdoṅ ne use jhīl kī satah par chalte hue dekhā to unhoṅ ne dahshat khāī. “Yih koī bhūt hai,” unhoṅ ne kahā aur ḍar ke māre chīḳheṅ mārne lage.
Matt UrduGeoR 14:27  Lekin Īsā fauran un se muḳhātib ho kar bolā, “Hauslā rakho! Maiṅ hī hūṅ. Mat ghabrāo.”
Matt UrduGeoR 14:28  Is par Patras bol uṭhā, “Ḳhudāwand, agar āp hī haiṅ to mujhe pānī par apne pās āne kā hukm deṅ.”
Matt UrduGeoR 14:29  Īsā ne jawāb diyā, “Ā.” Patras kashtī par se utar kar pānī par chalte chalte Īsā kī taraf baṛhne lagā.
Matt UrduGeoR 14:30  Lekin jab us ne tez hawā par ġhaur kiyā to wuh ghabrā gayā aur ḍūbne lagā. Wuh chillā uṭhā, “Ḳhudāwand, mujhe bachāeṅ!”
Matt UrduGeoR 14:31  Īsā ne fauran apnā hāth baṛhā kar use pakaṛ liyā. Us ne kahā, “Ai kam-etaqād! Tū shak meṅ kyoṅ paṛ gayā thā?”
Matt UrduGeoR 14:32  Donoṅ kashtī par sawār hue to hawā tham gaī.
Matt UrduGeoR 14:33  Phir kashtī meṅ maujūd shāgirdoṅ ne use sijdā karke kahā, “Yaqīnan āp Allāh ke Farzand haiṅ!”
Matt UrduGeoR 14:34  Jhīl ko pār karke wuh Gannesarat Shahr ke pās pahuṅch gae.
Matt UrduGeoR 14:35  Jab us jagah ke logoṅ ne Īsā ko pahchān liyā to unhoṅ ne irdgird ke pūre ilāqe meṅ is kī ḳhabar phailāī. Unhoṅ ne apne tamām marīzoṅ ko us ke pās lā kar
Matt UrduGeoR 14:36  us se minnat kī ki wuh unheṅ sirf apne libās ke dāman ko chhūne de. Aur jis ne bhī use chhuā use shifā milī.