Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LEVITICUS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 26
Levi UrduGeoR 26:1  Apne lie but na banānā. Na apne lie dewatā ke mujassame yā patthar ke maḳhsūs kie hue satūn khaṛe karnā, na sijdā karne ke lie apne mulk meṅ aise patthar rakhnā jin meṅ dewatā kī taswīr kandā kī gaī ho. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 26:2  Sabat kā din manānā aur mere maqdis kī tāzīm karnā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 26:3  Agar tum merī hidāyāt par chalo aur mere ahkām mān kar un par amal karo
Levi UrduGeoR 26:4  to maiṅ waqt par bārish bhejūṅgā, zamīn apnī paidāwār degī aur daraḳht apne apne phal lāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:5  Kasrat ke bāis anāj kī fasal kī kaṭāī angūr toṛte waqt tak jārī rahegī aur angūr kī fasal us waqt tak toṛī jāegī jab tak bīj bone kā mausam āegā. Itnī ḳhurāk milegī ki tum kabhī bhūke nahīṅ hoge. Aur tum apne mulk meṅ mahfūz rahoge.
Levi UrduGeoR 26:6  Maiṅ mulk ko amn-o-amān baḳhshūṅgā. Tum ārām se leṭ jāoge, kyoṅki kisī ḳhatre se ḍarne kī zarūrat nahīṅ hogī. Maiṅ wahshī jānwar mulk se dūr kar dūṅgā, aur wuh talwār kī qatl-o-ġhārat se bachā rahegā.
Levi UrduGeoR 26:7  Tum apne dushmanoṅ par ġhālib ā kar un kā tāqqub karoge, aur wuh tumhārī talwār se māre jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:8  Tumhāre pāṅch ādmī sau dushmanoṅ kā pīchhā kareṅge, aur tumhāre sau ādmī un ke das hazār ādmiyoṅ ko bhagā deṅge. Tumhāre dushman tumhārī talwār se māre jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:9  Merī nazar-e-karm tum par hogī. Maiṅ tumhārī aulād kī tādād baṛhāūṅgā aur tumhāre sāth apnā ahd qāym rakhūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:10  Ek sāl itnī fasal hogī ki jab aglī fasal kī kaṭāī hogī to nae anāj ke lie jagah banāne kī ḳhātir purāne anāj ko phaiṅk denā paṛegā.
Levi UrduGeoR 26:11  Maiṅ tumhāre darmiyān apnā maskan qāym karūṅga aur tum se ghin nahīṅ khāūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:12  Maiṅ tum meṅ phirūṅga, aur tum merī qaum hoge.
Levi UrduGeoR 26:13  Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ jo tumheṅ Misr se nikāl lāyā tāki tumhārī ġhulāmī kī hālat ḳhatm ho jāe. Maiṅ ne tumhāre jue ko toṛ ḍālā, aur ab tum āzād aur sīdhe ho kar chal sakte ho.
Levi UrduGeoR 26:14  Lekin agar tum merī nahīṅ sunoge aur in tamām ahkām par nahīṅ chaloge,
Levi UrduGeoR 26:15  agar tum merī hidāyāt ko radd karke mere ahkām se ghin khāoge aur un par amal na karke merā ahd toṛoge
Levi UrduGeoR 26:16  to maiṅ jawāb meṅ tum par achānak dahshat tārī kar dūṅgā. Jism ko ḳhatm karne wālī bīmāriyoṅ aur buḳhār se tumhārī āṅkheṅ zāe ho jāeṅgī aur tumhārī jān chhin jāegī. Jab tum bīj bo'oge to befāydā, kyoṅki dushman us kī fasal khā jāegā.
Levi UrduGeoR 26:17  Maiṅ tumhāre ḳhilāf ho jāūṅgā, is lie tum apne dushmanoṅ ke hāth se shikast khāoge. Tum se nafrat rakhne wāle tum par hukūmat kareṅge. Us waqt bhī jab koī tumhārā tāqqub nahīṅ karegā tum bhāg jāoge.
Levi UrduGeoR 26:18  Agar tum is ke bād bhī merī na suno to maiṅ tumhāre gunāhoṅ ke sabab se tumheṅ sāt gunā zyādā sazā dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:19  Maiṅ tumhārā saḳht ġhurūr ḳhāk meṅ milā dūṅgā. Tumhāre ūpar āsmān lohe jaisā aur tumhāre nīche zamīn pītal jaisī hogī.
Levi UrduGeoR 26:20  Jitnī bhī mehnat karoge wuh befāydā hogī, kyoṅki tumhāre khetoṅ meṅ fasleṅ nahīṅ pakeṅgī aur tumhāre daraḳht phal nahīṅ lāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:21  Agar tum phir bhī merī muḳhālafat karoge aur merī nahīṅ sunoge to maiṅ in gunāhoṅ ke jawāb meṅ tumheṅ is se bhī sāt gunā zyādā sazā dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:22  Maiṅ tumhāre ḳhilāf janglī jānwar bhej dūṅgā jo tumhāre bachchoṅ ko phāṛ khāeṅge aur tumhāre maweshī barbād kar deṅge. Āḳhir meṅ tumhārī tādād itnī kam ho jāegī ki tumhārī saṛakeṅ wīrān ho jāeṅgī.
Levi UrduGeoR 26:23  Agar tum phir bhī merī tarbiyat qabūl na karo balki mere muḳhālif raho
Levi UrduGeoR 26:24  to maiṅ ḳhud tumhāre ḳhilāf ho jāūṅgā. In gunāhoṅ ke jawāb meṅ maiṅ tumheṅ sāt gunā zyādā sazā dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:25  Maiṅ tum par talwār chalā kar is kā badlā lūṅgā ki tum ne mere ahd ko toṛā hai. Jab tum apnī hifāzat ke lie shahroṅ meṅ bhāg kar jamā hoge to maiṅ tumhāre darmiyān wabāī bīmāriyāṅ phailāūṅgā aur tumheṅ dushmanoṅ ke hāth meṅ de dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:26  Anāj kī itnī kamī hogī ki das aurateṅ tumhārī pūrī roṭī ek hī tanūr meṅ pakā sakeṅgī, aur wuh use baṛī ehtiyāt se tol tol kar taqsīm kareṅgī. Tum khā kar bhī bhūke rahoge.
Levi UrduGeoR 26:27  Agar tum phir bhī merī nahīṅ sunoge balki mere muḳhālif rahoge
Levi UrduGeoR 26:28  to merā ġhussā bhaṛkegā aur maiṅ tumhāre ḳhilāf ho kar tumhāre gunāhoṅ ke jawāb meṅ tumheṅ sāt gunā zyādā sazā dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:29  Tum musībat ke bāis apne beṭe-beṭiyoṅ kā gosht khāoge.
Levi UrduGeoR 26:30  Maiṅ tumhārī ūṅchī jaghoṅ kī qurbāngāheṅ aur tumhārī baḳhūr kī qurbāngāheṅ barbād kar dūṅgā. Maiṅ tumhārī lāshoṅ ke ḍher tumhāre bejān butoṅ par lagāūṅgā aur tum se ghin khāūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:31  Maiṅ tumhāre shahroṅ ko khanḍarāt meṅ badal kar tumhāre mandiroṅ ko barbād karūṅga. Tumhārī qurbāniyoṅ kī ḳhushbū mujhe pasand nahīṅ āegī.
Levi UrduGeoR 26:32  Maiṅ tumhāre mulk kā satyānās yoṅ karūṅga ki jo dushman us meṅ ābād ho jāeṅge un ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:33  Maiṅ tumheṅ muḳhtalif mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā, lekin wahāṅ bhī apnī talwār ko hāth meṅ lie tumhārā pīchhā karūṅga. Tumhārī zamīn wīrān hogī aur tumhāre shahr khanḍarāt ban jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:34  Us waqt jab tum apne dushmanoṅ ke mulk meṅ rahoge tumhārī zamīn wīrān hālat meṅ ārām ke wuh sāl manā sakegī jin se wuh mahrūm rahī hai.
Levi UrduGeoR 26:35  Un tamām dinoṅ meṅ jab wuh barbād rahegī use wuh ārām milegā jo use na milā jab tum mulk meṅ rahte the.
Levi UrduGeoR 26:36  Tum meṅ se jo bach kar apne dushmanoṅ ke mamālik meṅ raheṅge un ke diloṅ par maiṅ dahshat tārī karūṅga. Wuh hawā ke jhoṅkoṅ se girne wāle patte kī āwāz se chaunk kar bhāg jāeṅge. Wuh farār hoṅge goyā koī hāth meṅ talwār lie un kā tāqqub kar rahā ho. Aur wuh gir kar mar jāeṅge hālāṅki koī un kā pīchhā nahīṅ kar rahā hogā.
Levi UrduGeoR 26:37  Wuh ek dūsre se ṭakrā kar laṛkhaṛāeṅge goyā koī talwār le kar un ke pīchhe chal rahā ho hālāṅki koī nahīṅ hai. Chunāṅche tum apne dushmanoṅ kā sāmnā nahīṅ kar sakoge.
Levi UrduGeoR 26:38  Tum dīgar qaumoṅ meṅ muntashir ho kar halāk ho jāoge, aur tumhāre dushmanoṅ kī zamīn tumheṅ haṛap kar legī.
Levi UrduGeoR 26:39  Tum meṅ se bāqī log apne aur apne bāpdādā ke qusūr ke bāis apne dushmanoṅ ke mamālik meṅ gal saṛ jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:40  Lekin ek waqt āegā ki wuh apne aur apne bāpdādā kā qusūr mān leṅge. Wuh mere sāth apnī bewafāī aur wuh muḳhālafat taslīm kareṅge
Levi UrduGeoR 26:41  jis ke sabab se maiṅ un ke ḳhilāf huā aur unheṅ un ke dushmanoṅ ke mulk meṅ dhakel diyā thā. Pahle un kā ḳhatnā sirf zāhirī taur par huā thā, lekin ab un kā dil ājiz ho jāegā aur wuh apne qusūr kī qīmat adā kareṅge.
Levi UrduGeoR 26:42  Phir maiṅ Ibrāhīm ke sāth apnā ahd, Is'hāq ke sāth apnā ahd aur Yāqūb ke sāth apnā ahd yād karūṅga. Maiṅ Mulk-e-Kanān bhī yād karūṅga.
Levi UrduGeoR 26:43  Lekin pahle wuh zamīn ko chhoṛeṅge tāki wuh un kī ġhairmaujūdagī meṅ wīrān ho kar ārām ke sāl manāe. Yoṅ Isrāīlī apne qusūr ke natīje bhugteṅge, is sabab se ki unhoṅ ne mere ahkām radd kie aur merī hidāyāt se ghin khāī.
Levi UrduGeoR 26:44  Is ke bāwujūd bhī maiṅ unheṅ dushmanoṅ ke mulk meṅ chhoṛ kar radd nahīṅ karūṅga, na yahāṅ tak un se ghin khāūṅgā ki wuh bilkul tabāh ho jāeṅ. Kyoṅki maiṅ un ke sāth apnā ahd nahīṅ toṛne kā. Maiṅ Rab un kā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 26:45  Maiṅ un kī ḳhātir un ke bāpdādā ke sāth bandhā huā ahd yād karūṅga, un logoṅ ke sāth ahd jinheṅ maiṅ dūsrī qaumoṅ ke deḳhte deḳhte Misr se nikāl lāyā tāki un kā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ Rab hūṅ.”
Levi UrduGeoR 26:46  Rab ne Mūsā ko Isrāīliyoṅ ke lie yih tamām hidāyāt aur ahkām Sīnā Pahāṛ par die.