Toggle notes
Chapter 1
II P | UrduGeoR | 1:1 | Yih ḳhat Īsā Masīh ke ḳhādim aur rasūl Shamāūn Patras kī taraf se hai. Maiṅ un sab ko likh rahā hūṅ jinheṅ hamāre Ḳhudā aur Najātdahindā Īsā Masīh kī rāstbāzī ke wasīle se wuhī beshqīmat īmān baḳhshā gayā hai jo hameṅ bhī milā. | |
II P | UrduGeoR | 1:2 | Ḳhudā kare ki āp use aur hamāre Ḳhudāwand Īsā ko jānane meṅ taraqqī karte karte kasrat se fazl aur salāmatī pāte jāeṅ. | |
II P | UrduGeoR | 1:3 | Allāh ne apnī ilāhī qudrat se hameṅ wuh sab kuchh atā kiyā hai jo ḳhudātars zindagī guzārne ke lie zarūrī hai. Aur hameṅ yih use jān lene se hāsil huā hai. Kyoṅki us ne hameṅ apne zātī jalāl aur qudrat ke zariye bulāyā hai. | |
II P | UrduGeoR | 1:4 | Is jalāl aur qudrat se us ne hameṅ wuh azīm aur beshqīmat chīzeṅ dī haiṅ jin kā wādā us ne kiyā thā. Kyoṅki wuh chāhtā thā ki āp in se duniyā kī burī ḳhāhishāt se paidā hone wāle fasād se bach kar us kī ilāhī zāt meṅ sharīk ho jāeṅ. | |
II P | UrduGeoR | 1:5 | Yih sab kuchh pesh-e-nazar rakh kar pūrī lagan se koshish kareṅ ki āp ke īmān se aḳhlāq paidā ho jāe, aḳhlāq se ilm, | |
II P | UrduGeoR | 1:7 | ḳhudātars zindagī se barādarānā shafqat aur barādarānā shafqat se sab ke lie muhabbat. | |
II P | UrduGeoR | 1:8 | Kyoṅki jitnā hī āp in ḳhūbiyoṅ meṅ baṛhte jāeṅge utnā hī yih āp ko is se mahfūz rakheṅgī ki āp hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ko jānane meṅ sust aur bephal raheṅ. | |
II P | UrduGeoR | 1:9 | Lekin jis meṅ yih khūbiyāṅ nahīṅ haiṅ us kī nazar itnī kamzor hai ki wuh andhā hai. Wuh bhūl gayā hai ki use us ke guzare gunāhoṅ se pāk-sāf kiyā gayā hai. | |
II P | UrduGeoR | 1:10 | Chunāṅche bhāiyo, mazīd lagan se apne bulāwe aur chunāo kī tasdīq karne meṅ koshāṅ raheṅ. Kyoṅki yih karne se āp gir jāne se bacheṅge | |
II P | UrduGeoR | 1:11 | aur Allāh baṛī ḳhushī se āp ko hamāre Ḳhudāwand aur Najātdahindā Īsā Masīh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone kī ijāzat degā. | |
II P | UrduGeoR | 1:12 | Is lie maiṅ hameshā āp ko in bātoṅ kī yād dilātā rahūṅgā, hālāṅki āp in se wāqif haiṅ aur mazbūtī se us sachchāī par qāym haiṅ jo āp ko milī hai. | |
II P | UrduGeoR | 1:13 | Balki maiṅ apnā farz samajhtā hūṅ ki jitnī aur der maiṅ jism kī is jhoṅpṛī meṅ rahtā hūṅ āp ko in bātoṅ kī yād dilāne se ubhārtā rahūṅ. | |
II P | UrduGeoR | 1:14 | Kyoṅki mujhe mālūm hai ki ab merī yih jhoṅpṛī jald hī ḍhā dī jāegī. Hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ne bhī mujh par yih zāhir kiyā thā. | |
II P | UrduGeoR | 1:15 | Lekin maiṅ pūrī koshish karūṅga ki mere kūch kar jāne ke bād bhī āp har waqt in bātoṅ ko yād rakh sakeṅ. | |
II P | UrduGeoR | 1:16 | Kyoṅki jab ham ne āp ko apne aur āp ke Ḳhudāwand Masīh kī qudrat aur āmad ke bāre meṅ batāyā to ham chālākī se ghaṛe qisse-kahāniyoṅ par inhisār nahīṅ kar rahe the balki ham ne yih gawāhoṅ kī haisiyat se batāyā. Kyoṅki ham ne apnī hī āṅkhoṅ se us kī azmat dekhī thī. | |
II P | UrduGeoR | 1:17 | Ham maujūd the jab use Ḳhudā Bāp se izzat-o-jalāl milā, jab ek āwāz ne Allāh kī purjalāl shān se ā kar kahā, “Yih merā pyārā Farzand hai jis se maiṅ ḳhush hūṅ.” | |
II P | UrduGeoR | 1:18 | Jab ham us ke sāth muqaddas pahāṛ par the to ham ne ḳhud yih āwāz āsmān se ātī sunī. | |
II P | UrduGeoR | 1:19 | Is tajrabe kī binā par hamārā nabiyoṅ ke paiġhām par etamād zyādā mazbūt hai. Āp achchhā kareṅge agar is par ḳhūb dhyān deṅ. Kyoṅki yih kisī tārīk jagah meṅ raushnī kī mānind hai jo us waqt tak chamaktī rahegī jab tak pau phaṭ kar subah kā sitārā āp ke diloṅ meṅ tulū na ho jāe. | |
II P | UrduGeoR | 1:20 | Sab se baṛh kar āp ko yih samajhne kī zarūrat hai ki kalām-e-muqaddas kī koī bhī peshgoī nabī kī apnī hī tafsīr se paidā nahīṅ hotī. | |
Chapter 2
II P | UrduGeoR | 2:1 | Lekin jis tarah māzī meṅ Isrāīl qaum meṅ jhūṭe nabī bhī the, usī tarah āp meṅ se bhī jhūṭe ustād khaṛe ho jāeṅge. Yih Ḳhudā kī jamātoṅ meṅ mohlak tālīmāt phailāeṅge balki apne mālik ko jānane se inkār bhī kareṅge jis ne unheṅ ḳharīd liyā thā. Aisī harkatoṅ se yih jald hī apne āp par halākat lāeṅge. | |
II P | UrduGeoR | 2:2 | Bahut-se log un kī aiyāsh harkatoṅ kī pairawī kareṅge, aur is wajah se dūsre sachchāī kī rāh par kufr bakeṅge. | |
II P | UrduGeoR | 2:3 | Lālach ke sabab se yih ustād āp ko farzī kahāniyāṅ sunā kar āp kī lūṭ-khasoṭ kareṅge. Lekin Allāh ne baṛī der se unheṅ mujrim ṭhahrāyā, aur us kā faislā sustraftār nahīṅ hai. Hāṅ, un kā munsif ūṅgh nahīṅ rahā balki unheṅ halāk karne ke lie taiyār khaṛā hai. | |
II P | UrduGeoR | 2:4 | Dekheṅ, Allāh ne un farishtoṅ ko bachne na diyā jinhoṅ ne gunāh kiyā balki unheṅ tārīkī kī zanjīroṅ meṅ bāndh kar jahannum meṅ ḍāl diyā jahāṅ wuh adālat ke din tak mahfūz raheṅge. | |
II P | UrduGeoR | 2:5 | Isī tarah us ne qadīm duniyā ko bachne na diyā balki us ke bedīn bāshindoṅ par sailāb ko āne diyā. Us ne sirf rāstbāzī ke paiġhambar Nūh ko sāt aur jānoṅ samet bachāyā. | |
II P | UrduGeoR | 2:6 | Aur us ne Sadūm aur Amūrā ke shahroṅ ko mujrim qarār de kar rākh kar diyā. Yoṅ Allāh ne unheṅ ibrat banā kar dikhāyā ki bedīnoṅ ke sāth kyā kuchh kiyā jāegā. | |
II P | UrduGeoR | 2:7 | Sāth sāth us ne Lūt ko bachāyā jo rāstbāz thā aur be'usūl logoṅ ke gande chāl-chalan dekh dekh kar pistā rahā. | |
II P | UrduGeoR | 2:8 | Kyoṅki yih rāstbāz ādmī un ke darmiyān bastā thā, aur us kī rāstbāz jān roz baroz un kī sharīr harkateṅ dekh aur sun kar saḳht azāb meṅ phaṅsī rahī. | |
II P | UrduGeoR | 2:9 | Yoṅ zāhir hai ki Rab dīndār logoṅ ko āzmāish se bachānā aur bedīnoṅ ko adālat ke din tak sazā ke taht rakhnā jāntā hai, | |
II P | UrduGeoR | 2:10 | ḳhāskar unheṅ jo apne jism kī gandī ḳhāhishāt ke pīchhe lage rahte aur Ḳhudāwand ke iḳhtiyār ko haqīr jānte haiṅ. Yih log gustāḳh aur maġhrūr haiṅ aur jalālī hastiyoṅ par kufr bakne se nahīṅ ḍarte. | |
II P | UrduGeoR | 2:11 | Is ke muqābale meṅ farishte bhī jo kahīṅ zyādā tāqatwar aur qawī haiṅ Rab ke huzūr aisī hastiyoṅ par buhtān aur ilzāmāt lagāne kī jurrat nahīṅ karte. | |
II P | UrduGeoR | 2:12 | Lekin yih jhūṭe ustād beaql jānwaroṅ kī mānind haiṅ, jo fitrī taur par is lie paidā hue haiṅ ki unheṅ pakaṛā aur ḳhatm kiyā jāe. Jo kuchh wuh nahīṅ samajhte us par wuh kufr bakte haiṅ. Aur janglī jānwaroṅ kī tarah wuh bhī halāk ho jāeṅge. | |
II P | UrduGeoR | 2:13 | Yoṅ jo nuqsān unhoṅ ne dūsroṅ ko pahuṅchāyā wuhī unheṅ ḳhud bhugatnā paṛegā. Un ke nazdīk lutf uṭhāne se murād yih hai ki din ke waqt khul kar aish kareṅ. Wuh dāġh aur dhabbe haiṅ jo āp kī ziyāfatoṅ meṅ sharīk ho kar apnī daġhābaziyoṅ kī rangraliyāṅ manāte haiṅ. | |
II P | UrduGeoR | 2:14 | Un kī āṅkheṅ har waqt kisī badkār aurat se zinā karne kī talāsh meṅ rahtī haiṅ aur gunāh karne se kabhī nahīṅ ruktīṅ. Wuh kamzor logoṅ ko ġhalat kām karne ke lie uksāte aur lālach karne meṅ māhir haiṅ. Un par Allāh kī lānat! | |
II P | UrduGeoR | 2:15 | Wuh sahīh rāh se haṭ kar āwārā phir rahe aur Bilām bin Baor ke naqsh-e-qadam par chal rahe haiṅ, kyoṅki Bilām ne paisoṅ ke lālach meṅ ġhalat kām kiyā. | |
II P | UrduGeoR | 2:16 | Lekin gadhī ne use is gunāh ke sabab se ḍānṭā. Is jānwar ne jo bolne ke qābil nahīṅ thā insān kī-sī āwāz meṅ bāt kī aur nabī ko us kī dīwānagī se rok diyā. | |
II P | UrduGeoR | 2:17 | Yih log sūkhe hue chashme aur āṅdhī se dhakele hue bādal haiṅ. In kī taqdīr andhere kā tārīktarīn hissā hai. | |
II P | UrduGeoR | 2:18 | Yih maġhrūr bāteṅ karte haiṅ jin ke pīchhe kuchh nahīṅ hai aur ġhairaḳhlāqī jismānī shahwatoṅ se aise logoṅ ko uksāte haiṅ jo hāl hī meṅ dhoke kī zindagī guzārne wāloṅ meṅ se bach nikle haiṅ. | |
II P | UrduGeoR | 2:19 | Yih unheṅ āzād karne kā wādā karte haiṅ jabki ḳhud badkārī ke ġhulām haiṅ. Kyoṅki insān usī kā ġhulām hai jo us par ġhālib ā gayā hai. | |
II P | UrduGeoR | 2:20 | Aur jo hamāre Ḳhudāwand aur Najātdahindā Īsā Masīh ko jān lene se is duniyā kī ālūdagī se bach nikalte haiṅ, lekin bād meṅ ek bār phir is meṅ phaṅs kar maġhlūb ho jāte haiṅ un kā anjām pahle kī nisbat zyādā burā ho jātā hai. | |
II P | UrduGeoR | 2:21 | Hāṅ, jin logoṅ ne rāstbāzī kī rāh ko jān liyā, lekin bād meṅ us muqaddas hukm se muṅh pher liyā jo un ke hawāle kiyā gayā thā, un ke lie behtar hotā ki wuh is rāh se kabhī wāqif na hote. | |
Chapter 3
II P | UrduGeoR | 3:1 | Azīzo, yih ab dūsrā ḳhat hai jo maiṅ ne āp ko likh diyā hai. Donoṅ ḳhatoṅ meṅ maiṅ ne kaī bātoṅ kī yād dilā kar āp ke zahnoṅ meṅ pāk soch ubhārne kī koshish kī. | |
II P | UrduGeoR | 3:2 | Maiṅ chāhtā hūṅ ki āp wuh kuchh yād rakheṅ jis kī peshgoī muqaddas nabiyoṅ ne kī thī aur sāth sāth hamāre Ḳhudāwand aur Najātdahindā kā wuh hukm bhī jo āp ko apne rasūloṅ kī mārifat milā. | |
II P | UrduGeoR | 3:3 | Awwal āp ko yih bāt samajhne kī zarūrat hai ki in āḳhirī dinoṅ meṅ aise log āeṅge jo mazāq uṛā kar apnī shahwatoṅ ke qabze meṅ raheṅge. | |
II P | UrduGeoR | 3:4 | Wuh pūchheṅge, “Īsā ne āne kā wādā to kiyā, lekin wuh kahāṅ hai? Hamāre bāpdādā to mar chuke haiṅ, aur duniyā kī taḳhlīq se le kar āj tak sab kuchh waise kā waisā hī hai.” | |
II P | UrduGeoR | 3:5 | Lekin yih log nazarandāz karte haiṅ ki qadīm zamāne meṅ Allāh ke hukm par āsmānoṅ kī taḳhlīq huī aur zamīn pānī meṅ se aur pānī ke zariye wujūd meṅ āī. | |
II P | UrduGeoR | 3:7 | Aur Allāh ke isī hukm ne maujūdā āsmān aur zamīn ko āg ke lie mahfūz kar rakhā hai, us din ke lie jab bedīn logoṅ kī adālat kī jāegī aur wuh halāk ho jāeṅge. | |
II P | UrduGeoR | 3:8 | Lekin mere azīzo, ek bāt āp se poshīdā na rahe. Ḳhudāwand ke nazdīk ek din hazār sāl ke barābar hai aur hazār sāl ek din ke barābar. | |
II P | UrduGeoR | 3:9 | Ḳhudāwand apnā wādā pūrā karne meṅ der nahīṅ kartā jis tarah kuchh log samajhte haiṅ balki wuh to āp kī ḳhātir sabar kar rahā hai. Kyoṅki wuh nahīṅ chāhtā ki koī halāk ho jāe balki yih ki sab taubā kī naubat tak pahuṅcheṅ. | |
II P | UrduGeoR | 3:10 | Lekin Ḳhudāwand kā din chor kī tarah āegā. Āsmān baṛe shor ke sāth ḳhatm ho jāeṅge, ajrām-e-falakī āg meṅ pighal jāeṅge aur zamīn us ke kāmoṅ samet zāhir ho kar adālat meṅ pesh kī jāegī. | |
II P | UrduGeoR | 3:11 | Ab socheṅ, agar sab kuchh is tarah ḳhatm ho jāegā to phir āp kis qism ke log hone chāhieṅ? Āp ko muqaddas aur ḳhudātars zindagī guzārte hue | |
II P | UrduGeoR | 3:12 | Allāh ke din kī rāh deḳhnī chāhie. Hāṅ, āp ko yih koshish karnī chāhie ki wuh din jaldī āe jab āsmān jal jāeṅge aur ajrām-e-falakī āg meṅ pighal jāeṅge. | |
II P | UrduGeoR | 3:13 | Lekin ham un nae āsmānoṅ aur naī zamīn ke intazār meṅ haiṅ jin kā wādā Allāh ne kiyā hai. Aur wahāṅ rāstī sukūnat karegī. | |
II P | UrduGeoR | 3:14 | Chunāṅche azīzo, chūṅki āp is intazār meṅ haiṅ is lie pūrī lagan ke sāth koshāṅ raheṅ ki āp Allāh ke nazdīk bedāġh aur be'ilzām ṭhahreṅ aur āp kī us ke sāth sulah ho. | |
II P | UrduGeoR | 3:15 | Yād rakheṅ ki hamāre Ḳhudāwand kā sabar logoṅ ko najāt pāne kā mauqā detā hai. Hamāre azīz bhāī Paulus ne bhī us hikmat ke mutābiq jo Allāh ne use atā kī hai āp ko yihī kuchh likhā hai. | |
II P | UrduGeoR | 3:16 | Wuh yihī kuchh apne tamām ḳhatoṅ meṅ likhtā hai jab wuh is mazmūn kā zikr kartā hai. Us ke ḳhatoṅ meṅ kuchh aisī bāteṅ haiṅ jo samajhne meṅ mushkil haiṅ aur jinheṅ jāhil aur kamzor log toṛ-maroṛ kar bayān karte haiṅ, bilkul usī tarah jis tarah wuh bāqī sahīfoṅ ke sāth bhī karte haiṅ. Lekin is se wuh apne āp ko hī halāk kar rahe haiṅ. | |
II P | UrduGeoR | 3:17 | Mere azīzo, maiṅ āp ko waqt se pahle in bātoṅ se āgāh kar rahā hūṅ. Is lie ḳhabardār raheṅ tāki be'usūl logoṅ kī ġhalat soch āp ko bahkā kar āp ko mahfūz maqām se haṭā na de. | |