Toggle notes
Chapter 1
Nahu | UrduGeoR | 1:1 | Zail meṅ Nīnwā ke bāre meṅ wuh kalām qalamband hai jo Allāh ne royā meṅ Nāhūm Ilqūshī ko dikhāyā. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:2 | Rab ġhairatmand aur intaqām lene wālā Ḳhudā hai. Intaqām lete waqt Rab apnā pūrā ġhussā utārtā hai. Rab apne muḳhālifoṅ se badlā letā aur apne dushmanoṅ se nārāz rahtā hai. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:3 | Rab tahammul se bharpūr hai, aur us kī qudrat azīm hai. Wuh qusūrwār ko kabhī bhī sazā die baġhair nahīṅ chhoṛtā. Wuh āṅdhī aur tūfān se ghirā huā chaltā hai, aur bādal us ke pāṅwoṅ tale kī gard hote haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:4 | Wuh samundar ko ḍānṭtā to wuh sūkh jātā, us ke hukm par tamām dariyā ḳhushk ho jāte haiṅ. Tab Basan aur Karmil kī shādāb hariyālī murjhā jātī aur Lubnān ke phūl kumlā jāte haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:5 | Us ke sāmne pahāṛ laraz uṭhte, pahāṛiyāṅ pighal jātī haiṅ. Us ke huzūr pūrī zamīn apne bāshindoṅ samet laraz uṭhtī hai. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:6 | Kaun us kī nārāzī aur us ke shadīd qahr kā sāmnā kar saktā hai? Us kā ġhazab āg kī tarah bhaṛak kar zamīn par nāzil hotā hai, us ke āne par patthar phaṭ kar ṭukṛe ṭukṛe ho jāte haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:7 | Rab mehrbān hai. Musībat ke din wuh mazbūt qilā hai, aur jo us meṅ panāh lete haiṅ unheṅ wuh jāntā hai. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:8 | Lekin apne dushmanoṅ par wuh sailāb lāegā jo un ke maqām ko ġharq karegā. Jahāṅ bhī dushman bhāg jāe wahāṅ us par tārīkī chhā jāne degā. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:9 | Rab ke ḳhilāf mansūbā bāndhne kā kyā fāydā? Wuh to tumheṅ ek dam tabāh kar degā, dūsrī bār tum par āfat lāne kī zarūrat hī nahīṅ hogī. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:10 | Kyoṅki go dushman ghanī aur ḳhārdār jhāṛiyoṅ aur nashe meṅ dhut sharābī kī mānind haiṅ, lekin wuh jald hī ḳhushk bhūse kī tarah bhasm ho jāeṅge. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:11 | Ai Nīnwā, tujh se wuh nikal āyā jis ne Rab ke ḳhilāf bure mansūbe bāndhe, jis ne shaitānī mashware die. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:12 | Lekin apnī qaum se Rab farmātā hai, “Go dushman tāqatwar aur beshumār kyoṅ na hoṅ to bhī unheṅ miṭāyā jāegā aur wuh ġhāyb ho jāeṅge. Beshak maiṅ ne tujhe past kar diyā, lekin āindā aisā nahīṅ karūṅga. | |
Nahu | UrduGeoR | 1:13 | Ab maiṅ wuh juā toṛ ḍālūṅgā jo unhoṅ ne terī gardan par rakh diyā thā, maiṅ terī zanjīroṅ ko phāṛ ḍālūṅgā.” | |
Nahu | UrduGeoR | 1:14 | Lekin Nīnwā se Rab farmātā hai, “Āindā terī koī aulād qāym nahīṅ rahegī jo terā nām rakhe. Jitne bhī but aur mujassame tere mandir meṅ paṛe haiṅ un sab ko maiṅ nest-o-nābūd kar dūṅgā. Maiṅ terī qabr taiyār kar rahā hūṅ, kyoṅki tū kuchh bhī nahīṅ hai.” | |
Chapter 2
Nahu | UrduGeoR | 2:1 | Ai Nīnwā, sab kuchh muntashir karne wālā tujh par hamlā karne ā rahā hai, chunāṅche qile kī pahrādārī kar! Rāste par dhyān de, kamarbastā ho jā, jahāṅ tak mumkin hai difā kī taiyāriyāṅ kar! | |
Nahu | UrduGeoR | 2:2 | Go Yāqūb tabāh aur us ke angūroṅ ke bāġh nābūd ho gae haiṅ, lekin ab Rab Isrāīl kī shān-o-shaukat bahāl karegā. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:3 | Wuh dekho, Nīnwā par hamlā karne wāle sūrmāoṅ kī ḍhāleṅ surḳh haiṅ, faujī qirmizī rang kī wardiyāṅ pahne hue haiṅ. Dushman ne apne rathoṅ ko taiyār kar rakhā hai, aur wuh bhaṛaktī mashāloṅ kī tarah chamak rahe haiṅ. Sāth sāth sipāhī apne neze lahrā rahe haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:4 | Ab rath galiyoṅ meṅ se andhā-dhund guzar rahe haiṅ. Chaukoṅ meṅ wuh idhar-udhar bhāg rahe haiṅ. Yoṅ lag rahā hai ki bhaṛaktī mashāleṅ yā bādal kī bijliyāṅ idhar-udhar chamak rahī haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:5 | Hukmrān apne chīdā afsaroṅ ko bulā letā hai, aur wuh ṭhokar khā khā kar āge baṛhte haiṅ. Wuh dauṛ kar fasīl ke pās pahuṅch jāte, jaldī se hifāzatī ḍhāl khaṛī karte haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:7 | Tab dushman malikā ke kapṛe utār kar use le jāte haiṅ. Us kī launḍiyāṅ chhātī pīṭ pīṭ kar kabūtaroṅ kī tarah ġhūṅ ġhūṅ kartī haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:8 | Nīnwā baṛī der se achchhe-ḳhāse tālāb kī mānind thā, lekin ab log us se bhāg rahe haiṅ. Logoṅ ko kahā jātā hai, “Ruk jāo, ruko to sahī!” Lekin koī nahīṅ ruktā. Sab sar par pāṅw rakh kar shahr se bhāg rahe haiṅ, aur koī nahīṅ muṛtā. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:9 | Āo, Nīnwā kī chāṅdī lūṭ lo, us kā sonā chhīn lo! Kyoṅki zaḳhīre kī intahā nahīṅ, us ke ḳhazānoṅ kī daulat lā-mahdūd hai. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:10 | Lūṭne wāle kuchh nahīṅ chhoṛte. Jald hī shahr ḳhālī aur wīrān-o-sunsān ho jātā hai. Har dil hauslā hār jātā, har ghuṭnā kāṅp uṭhtā, har kamr thartharāne lagtī aur har chehre kā rang māṅd paṛ jātā hai. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:11 | Ab Nīnwā Beṭī kī kyā haisiyat rahī? Pahle wuh sherbabar kī mānd thī, aisī jagah jahāṅ jawān sheroṅ ko gosht khilāyā jātā, jahāṅ sher aur shernī apne bachchoṅ samet ṭahalte the. Koī unheṅ ḍarā kar bhagā nahīṅ saktā thā. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:12 | Us waqt sher apne bachchoṅ ke lie bahut kuchh phāṛ letā aur apnī sherniyoṅ ke lie bhī galā ghūṅṭ kar mār ḍāltā thā. Us kī māndeṅ aur chhupne kī jagheṅ phāṛe hue shikār se bharī rahtī thīṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 2:13 | Rabbul-afwāj farmātā hai, “Ai Nīnwā, ab maiṅ tujh se nipaṭ letā hūṅ. Maiṅ tere rathoṅ ko nazar-e-ātish kar dūṅgā, aur tere jawān sher talwār kī zad meṅ ā kar mar jāeṅge. Maiṅ hone dūṅgā ki āindā tujhe zamīn par kuchh na mile jise phāṛ kar khā sake. Āindā tere qāsidoṅ kī āwāz kabhī sunāī nahīṅ degī.” | |
Chapter 3
Nahu | UrduGeoR | 3:1 | Us qātil shahr par afsos jo jhūṭ aur lūṭe hue māl se bharā huā hai. Wuh lūṭ-mār se kabhī bāz nahīṅ ātā. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:2 | Suno! Chābuk kī āwāz, chalte hue rathoṅ kā shor! Ghoṛe sarpā dauṛ rahe, rath bhāg bhāg kar uchhal rahe haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:3 | Ghuṛsawār āge baṛh rahe, sholāzan talwāreṅ aur chamakte neze nazar ā rahe haiṅ. Har taraf maqtūl hī maqtūl, beshumār lāshoṅ ke ḍher paṛe haiṅ. Itnī haiṅ ki log ṭhokar khā khā kar un par se guzarte haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:4 | Yih hogā Nīnwā kā anjām, us dilfareb kasbī aur jādūgarnī kā jis ne apnī jādūgarī aur ismatfaroshī se aqwām aur ummatoṅ ko ġhulāmī meṅ bech ḍālā. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:5 | Rabbul-afwāj farmātā hai, “Ai Nīnwā Beṭī, ab maiṅ tujh se nipaṭ letā hūṅ. Maiṅ terā libās tere sar ke ūpar uṭhāūṅgā ki terā nangāpan aqwām ko nazar āe aur terā muṅh dīgar mamālik ke sāmne kālā ho jāe. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:6 | Maiṅ tujh par kūṛā-karkaṭ phaiṅk kar terī tahqīr karūṅga. Tū dūsroṅ ke lie tamāshā ban jāegī. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:7 | Tab sab tujhe dekh kar bhāg jāeṅge. Wuh kaheṅge, ‘Nīnwā tabāh ho gaī hai!’ Ab us par afsos karne wālā kaun rahā? Ab mujhe kahāṅ se log mileṅge jo tujhe tasallī deṅ?” | |
Nahu | UrduGeoR | 3:8 | Kyā tū Thības Shahr se behtar hai, jo Dariyā-e-Nīl par wāqe thā? Wuh to pānī se ghirā huā thā, aur pānī hī use hamloṅ se mahfūz rakhtā thā. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:9 | Ethopiyā aur Misr ke faujī us ke lie lā-mahdūd tāqat kā bāis the, Fūt aur Libiyā us ke ittahādī the. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:10 | To bhī wuh qaidī ban kar jilāwatan huā. Har galī ke kone meṅ us ke shīrḳhār bachchoṅ ko zamīn par paṭaḳh diyā gayā. Us ke shurafā qurā-andāzī ke zariye taqsīm hue, us ke tamām buzurg zanjīroṅ meṅ jakaṛe gae. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:11 | Ai Nīnwā Beṭī, tū bhī nashe meṅ dhut ho jāegī. Tū bhī hawāsbāḳhtā ho kar dushman se panāh lene kī koshish karegī. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:12 | Tere tamām qile pake phal se lade hue anjīr ke daraḳht haiṅ. Jab unheṅ hilāyā jāe to anjīr fauran khāne wāle ke muṅh meṅ gir jāte haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:13 | Lo, tere tamām daste aurateṅ ban gae haiṅ. Tere mulk ke darwāze dushman ke lie pūre taur par khole gae. Tere kunḍe nazar-e-ātish ho gae haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:14 | Ḳhūb pānī jamā kar tāki muhāsare ke daurān kāfī ho. Apnī qilābandī mazīd mazbūt kar! Gāre ko pāṅwoṅ se latāṛ latāṛ kar īṅṭeṅ banā le! | |
Nahu | UrduGeoR | 3:15 | Tāham āg tujhe bhasm karegī, talwār tujhe mār ḍālegī, hāṅ wuh tujhe ṭiḍḍiyoṅ kī tarah khā jāegī. Bachne kā koī imkān nahīṅ hogā, ḳhāh tū ṭiḍḍiyoṅ kī tarah beshumār kyoṅ na ho jāe. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:16 | Beshak tere tājir sitāroṅ jitne lātādād ho gae haiṅ, lekin achānak wuh ṭiḍḍiyoṅ ke bachchoṅ kī tarah apnī keṅchlī ko utār leṅge aur uṛ kar ġhāyb ho jāeṅge. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:17 | Tere darbārī ṭiḍḍiyoṅ jaise aur tere afsar ṭiḍḍī daloṅ kī mānind haiṅ jo sardiyoṅ ke mausam meṅ dīwāroṅ ke sāth chipak jātī lekin dhūp nikalte hī uṛ kar ojhal ho jātī haiṅ. Kisī ko bhī patā nahīṅ ki wuh kahāṅ chalī gaī haiṅ. | |
Nahu | UrduGeoR | 3:18 | Ai Asūr ke bādshāh, tere charwāhe gahrī nīnd so rahe, tere shurafā ārām kar rahe haiṅ. Terī qaum pahāṛoṅ par muntashir ho gaī hai, aur koī nahīṅ jo unheṅ dubārā jamā kare. | |