Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 2
Prov UrduGeoR 2:1  Mere beṭe, merī bāt qabūl karke mere ahkām apne dil meṅ mahfūz rakh.
Prov UrduGeoR 2:2  Apnā kān hikmat par dhar, apnā dil samajh kī taraf māyl kar.
Prov UrduGeoR 2:3  Basīrat ke lie āwāz de, chillā kar samajh māṅg.
Prov UrduGeoR 2:4  Use yoṅ talāsh kar goyā chāṅdī ho, us kā yoṅ khoj lagā goyā poshīdā ḳhazānā ho.
Prov UrduGeoR 2:5  Agar tū aisā kare to tujhe Rab ke ḳhauf kī samajh āegī aur Allāh kā irfān hāsil hogā.
Prov UrduGeoR 2:6  Kyoṅki Rab hī hikmat atā kartā, usī ke muṅh se irfān aur samajh nikaltī hai.
Prov UrduGeoR 2:7  Wuh sīdhī rāh par chalne wāloṅ ko kāmyābī farāham kartā aur be'ilzām zindagī guzārne wāloṅ kī ḍhāl banā rahtā hai.
Prov UrduGeoR 2:8  Kyoṅki wuh insāf pasandoṅ kī rāhoṅ kī pahrādārī kartā hai. Jahāṅ bhī us ke īmāndār chalte haiṅ wahāṅ wuh un kī hifāzat kartā hai.
Prov UrduGeoR 2:9  Tab tujhe rāstī, insāf, diyānatdārī aur har achchhī rāh kī samajh āegī.
Prov UrduGeoR 2:10  Kyoṅki tere dil meṅ hikmat dāḳhil ho jāegī, aur ilm-o-irfān terī jān ko pyārā ho jāegā.
Prov UrduGeoR 2:11  Tamīz terī hifāzat aur samajh terī chaukīdārī karegī.
Prov UrduGeoR 2:12  Hikmat tujhe ġhalat rāh aur kajrau bāteṅ karne wāle se bachāe rakhegī.
Prov UrduGeoR 2:13  Aise log sīdhī rāh ko chhoṛ dete haiṅ tāki tārīk rāstoṅ par chaleṅ,
Prov UrduGeoR 2:14  wuh burī harkateṅ karne se ḳhush ho jāte haiṅ, ġhalat kām kī kajrawī dekh kar jashn manāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 2:15  Un kī rāheṅ ṭeṛhī haiṅ, aur wuh jahāṅ bhī chaleṅ āwārā phirte haiṅ.
Prov UrduGeoR 2:16  Hikmat tujhe nājāyz aurat se chhuṛātī hai, us ajnabī aurat se jo chiknī-chupṛī bāteṅ kartī,
Prov UrduGeoR 2:17  jo apne jīwansāthī ko tark karke apne Ḳhudā kā ahd bhūl jātī hai.
Prov UrduGeoR 2:18  Kyoṅki us ke ghar meṅ dāḳhil hone kā anjām maut, us kī rāhoṅ kī manzil-e-maqsūd Pātāl hai.
Prov UrduGeoR 2:19  Jo bhī us ke pās jāe wuh wāpas nahīṅ āegā, wuh zindagībaḳhsh rāhoṅ par dubārā nahīṅ pahuṅchegā.
Prov UrduGeoR 2:20  Chunāṅche achchhe logoṅ kī rāh par chal-phir, dhyān de ki tere qadam rāstbāzoṅ ke rāste par raheṅ.
Prov UrduGeoR 2:21  Kyoṅki sīdhī rāh par chalne wāle mulk meṅ ābād hoṅge, āḳhirkār be'ilzām hī us meṅ bāqī raheṅge.
Prov UrduGeoR 2:22  Lekin bedīn mulk se miṭ jāeṅge, aur bewafāoṅ ko ukhāṛ kar mulk se ḳhārij kar diyā jāegā.