Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 4
Prov UrduGeoR 4:1  Ai beṭo, bāp kī nasīhat suno, dhyān do tāki tum sīkh kar samajh hāsil kar sako.
Prov UrduGeoR 4:2  Maiṅ tumheṅ achchhī tālīm detā hūṅ, is lie merī hidāyat ko tark na karo.
Prov UrduGeoR 4:3  Maiṅ abhī apne bāp ke ghar meṅ nāzuk laṛkā thā, apnī māṅ kā wāhid bachchā,
Prov UrduGeoR 4:4  to mere bāp ne mujhe tālīm de kar kahā, “Pūre dil se mere alfāz apnā le aur har waqt mere ahkām par amal kar to tū jītā rahegā.
Prov UrduGeoR 4:5  Hikmat hāsil kar, samajh apnā le! Yih chīzeṅ mat bhūlnā, mere muṅh ke alfāz se dūr na honā.
Prov UrduGeoR 4:6  Hikmat tark na kar to wuh tujhe mahfūz rakhegī. Us se muhabbat rakh to wuh terī dekh-bhāl karegī.
Prov UrduGeoR 4:7  Hikmat is se shurū hotī hai ki tū hikmat apnā le. Samajh hāsil karne ke lie bāqī tamām milkiyat qurbān karne ke lie taiyār ho.
Prov UrduGeoR 4:8  Use azīz rakh to wuh tujhe sarfarāz karegī, use gale lagā to wuh tujhe izzat baḳhshegī.
Prov UrduGeoR 4:9  Tab wuh tere sar ko ḳhūbsūrat sehre se ārāstā karegī aur tujhe shāndār tāj se nawāzegī.”
Prov UrduGeoR 4:10  Mere beṭe, merī sun! Merī bāteṅ apnā le to terī umr darāz hogī.
Prov UrduGeoR 4:11  Maiṅ tujhe hikmat kī rāh par chalne kī hidāyat detā, tujhe sīdhī rāhoṅ par phirne detā hūṅ.
Prov UrduGeoR 4:12  Jab tū chalegā to tere qadmoṅ ko kisī bhī chīz se rokā nahīṅ jāegā, aur dauṛte waqt tū ṭhokar nahīṅ khāegā.
Prov UrduGeoR 4:13  Tarbiyat kā dāman thāme rah! Use na chhoṛ balki mahfūz rakh, kyoṅki wuh terī zindagī hai.
Prov UrduGeoR 4:14  Bedīnoṅ kī rāh par qadam na rakh, sharīroṅ ke rāste par mat jā.
Prov UrduGeoR 4:15  Us se gurez kar, us par safr na kar balki us se katrā kar āge nikal jā.
Prov UrduGeoR 4:16  Kyoṅki jab tak un se burā kām sarzad na ho jāe wuh so hī nahīṅ sakte, jab tak unhoṅ ne kisī ko ṭhokar khilā kar ḳhāk meṅ milā na diyā ho wuh nīnd se mahrūm rahte haiṅ.
Prov UrduGeoR 4:17  Wuh bedīnī kī roṭī khāte aur zulm kī mai pīte haiṅ.
Prov UrduGeoR 4:18  Lekin rāstbāz kī rāh tulū-e-subah kī pahlī raushnī kī mānind hai jo din ke urūj tak baṛhtī rahtī hai.
Prov UrduGeoR 4:19  Is ke muqābale meṅ bedīn kā rāstā gahrī tārīkī kī mānind hai, unheṅ patā hī nahīṅ chaltā ki kis chīz se ṭhokar khā kar gir gae haiṅ.
Prov UrduGeoR 4:20  Mere beṭe, merī bātoṅ par dhyān de, mere alfāz par kān dhar.
Prov UrduGeoR 4:21  Unheṅ apnī nazar se ojhal na hone de balki apne dil meṅ mahfūz rakh.
Prov UrduGeoR 4:22  Kyoṅki jo yih bāteṅ apnāeṅ wuh zindagī aur pūre jism ke lie shifā pāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 4:23  Tamām chīzoṅ se pahle apne dil kī hifāzat kar, kyoṅki yihī zindagī kā sarchashmā hai.
Prov UrduGeoR 4:24  Apne muṅh se jhūṭ aur apne hoṅṭoṅ se kajgoī dūr kar.
Prov UrduGeoR 4:25  Dhyān de ki terī āṅkheṅ sīdhā āge kī taraf dekheṅ, ki terī nazar us rāste par lagī rahe jo sīdhā hai.
Prov UrduGeoR 4:26  Apne pāṅwoṅ kā rāstā chalne ke qābil banā de, dhyān de ki terī rāheṅ mazbūt haiṅ.
Prov UrduGeoR 4:27  Na dāīṅ, na bāīṅ taraf muṛ balki apne pāṅwoṅ ko ġhalat qadam uṭhāne se bāz rakh.