Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 27
Prov UrduGeoR 27:1  Us par sheḳhī na mār jo tū kal karegā, tujhe kyā mālūm ki kal kā din kyā kuchh farāham karegā?
Prov UrduGeoR 27:2  Terā apnā muṅh aur apne hoṅṭ terī tārīf na kareṅ balki wuh jo tujh se wāqif bhī na ho.
Prov UrduGeoR 27:3  Patthar bhārī aur ret waznī hai, lekin jo ahmaq tujhe tang kare wuh zyādā nāqābil-e-bardāsht hai.
Prov UrduGeoR 27:4  Ġhussā zālim hotā aur taish sailāb kī tarah insān par ā jātā hai, lekin kaun hasad kā muqābalā kar saktā hai?
Prov UrduGeoR 27:5  Khulī malāmat chhupī huī muhabbat se behtar hai.
Prov UrduGeoR 27:6  Pyār karne wāle kī zarbeṅ wafā kā sabūt haiṅ, lekin nafrat karne wāle ke muta'addid bosoṅ se ḳhabardār rah.
Prov UrduGeoR 27:7  Jo ser hai wuh shahd ko bhī pāṅwoṅ tale raund detā hai, lekin bhūke ko kaṛwī chīzeṅ bhī mīṭhī lagtī haiṅ.
Prov UrduGeoR 27:8  Jo ādmī apne ghar se nikal kar mārā mārā phire wuh us parinde kī mānind hai jo apne ghoṅsle se bhāg kar kabhī idhar kabhī idhar phaṛphaṛātā rahtā hai.
Prov UrduGeoR 27:9  Tel aur baḳhūr dil ko ḳhush karte haiṅ, lekin dost apne achchhe mashwaroṅ se ḳhushī dilātā hai.
Prov UrduGeoR 27:10  Apne dostoṅ ko kabhī na chhoṛ, na apne zātī dostoṅ ko na apne bāp ke dostoṅ ko. Tab tujhe musībat ke din apne bhāī se madad nahīṅ māṅgnī paṛegī. Kyoṅki qarīb kā paṛosī dūr ke bhāī se behtar hai.
Prov UrduGeoR 27:11  Mere beṭe, dānishmand ban kar mere dil ko ḳhush kar tāki maiṅ apne haqīr jānane wāle ko jawāb de sakūṅ.
Prov UrduGeoR 27:12  Zahīn ādmī ḳhatrā pahle se bhāṅp kar chhup jātā hai, jabki sādālauh āge baṛh kar us kī lapeṭ meṅ ā jātā hai.
Prov UrduGeoR 27:13  Zamānat kā wuh libās wāpas na kar jo kisī ne pardesī kā zāmin ban kar diyā hai. Agar wuh ajnabī aurat kā zāmin ho to us zamānat par zarūr qabzā kar jo us ne dī thī.
Prov UrduGeoR 27:14  Jo subah-sawere buland āwāz se apne paṛosī ko barkat de us kī barkat lānat ṭhahrāī jāegī.
Prov UrduGeoR 27:15  Jhagaṛālū bīwī mūslādhār bārish ke bāis musalsal ṭapakne wālī chhat kī mānind hai.
Prov UrduGeoR 27:16  Use roknā hawā ko rokne yā tel ko pakaṛne ke barābar hai.
Prov UrduGeoR 27:17  Lohā lohe ko aur insān insān ke zahan ko tez kartā hai.
Prov UrduGeoR 27:18  Jo anjīr ke daraḳht kī dekh-bhāl kare wuh us kā phal khāegā, jo apne mālik kī wafādārī se ḳhidmat kare us kā ehtirām kiyā jāegā.
Prov UrduGeoR 27:19  Jis tarah pānī chehre ko mun'akis kartā hai usī tarah insān kā dil insān ko mun'akis kartā hai.
Prov UrduGeoR 27:20  Na maut aur na Pātāl kabhī ser hote haiṅ, na insān kī āṅkheṅ.
Prov UrduGeoR 27:21  Sonā aur chāṅdī kuṭhālī meṅ pighlā kar pāk-sāf kar, lekin insān kā kirdār is se mālūm kar ki log us kī kitnī qadar karte haiṅ.
Prov UrduGeoR 27:22  Agar ahmaq ko anāj kī tarah okhlī aur mūsal se kūṭā bhī jāe to bhī us kī hamāqat dūr nahīṅ ho jāegī.
Prov UrduGeoR 27:23  Ehtiyāt se apnī bheṛ-bakriyoṅ kī hālat par dhyān de, apne rewaṛoṅ par ḳhūb tawajjuh de.
Prov UrduGeoR 27:24  Kyoṅki koī bhī daulat hameshā tak qāym nahīṅ rahtī, koī bhī tāj nasl-dar-nasl barqarār nahīṅ rahtā.
Prov UrduGeoR 27:25  Khule maidān meṅ ghās kāṭ kar jamā kar tāki naī ghās ug sake, chārā pahāṛoṅ se bhī ikaṭṭhā kar.
Prov UrduGeoR 27:26  Tab tū bheṛoṅ kī ūn se kapṛe banā sakegā, bakroṅ kī faroḳht se khet ḳharīd sakegā,
Prov UrduGeoR 27:27  aur bakriyāṅ itnā dūdh deṅgī ki tere, tere ḳhāndān aur tere naukar-chākaroṅ ke lie kāfī hogā.