Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 11
Prov UrduGeoR 11:1  Rab ġhalat tarāzū se ghin khātā hai, wuh sahīh tarāzū hī se ḳhush hotā hai.
Prov UrduGeoR 11:2  Jahāṅ takabbur hai wahāṅ badnāmī bhī qarīb hī rahtī hai, lekin jo halīm hai us ke dāman meṅ hikmat rahtī hai.
Prov UrduGeoR 11:3  Sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī diyānatdārī un kī rāhnumāī kartī jabki bewafāoṅ kī namak-harāmī unheṅ tabāh kartī hai.
Prov UrduGeoR 11:4  Ġhazab ke din daulat kā koī fāydā nahīṅ jabki rāstbāzī logoṅ kī jān ko chhuṛātī hai.
Prov UrduGeoR 11:5  Be'ilzām kī rāstbāzī us kā rāstā hamwār banā detī hai jabki bedīn kī burī harkateṅ use girā detī haiṅ.
Prov UrduGeoR 11:6  Sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī rāstbāzī unheṅ chhuṛā detī jabki bewafāoṅ kā lālach unheṅ phaṅsā detā hai.
Prov UrduGeoR 11:7  Dam toṛte waqt bedīn kī sārī ummīd jātī rahtī hai, jis daulat kī tawaqqo us ne kī wuh jātī rahtī hai.
Prov UrduGeoR 11:8  Rāstbāz kī jān musībat se chhūṭ jātī hai, aur us kī jagah bedīn phaṅs jātā hai.
Prov UrduGeoR 11:9  Kāfir apne muṅh se apne paṛosī ko tabāh kartā hai, lekin rāstbāzoṅ kā ilm unheṅ chhuṛātā hai.
Prov UrduGeoR 11:10  Jab rāstbāz kāmyāb hoṅ to pūrā shahr jashn manātā hai, jab bedīn halāk hoṅ to ḳhushī ke nāre buland ho jāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 11:11  Sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī barkat se shahr taraqqī kartā hai, lekin bedīn ke muṅh se wuh mismār ho jātā hai.
Prov UrduGeoR 11:12  Nāsamajh ādmī apne paṛosī ko haqīr jāntā hai jabki samajhdār ādmī ḳhāmosh rahtā hai.
Prov UrduGeoR 11:13  Tohmat lagāne wālā dūsroṅ ke rāz fāsh kartā hai, lekin qābil-e-etamād shaḳhs wuh bhed poshīdā rakhtā hai jo us ke sapurd kiyā gayā ho.
Prov UrduGeoR 11:14  Jahāṅ qiyādat kī kamī hai wahāṅ qaum kā tanazzul yaqīnī hai, jahāṅ mushīroṅ kī kasrat hai wahāṅ qaum fathyāb rahegī.
Prov UrduGeoR 11:15  Jo ajnabī kā zāmin ho jāe use yaqīnan nuqsān pahuṅchegā, jo zāmin banane se inkār kare wuh mahfūz rahegā.
Prov UrduGeoR 11:16  Nek aurat izzat se aur zālim ādmī daulat se lipṭe rahte haiṅ.
Prov UrduGeoR 11:17  Shafīq kā achchhā sulūk usī ke lie fāydāmand hai jabki zālim kā burā sulūk usī ke lie nuqsāndeh hai.
Prov UrduGeoR 11:18  Jo kuchh bedīn kamātā hai wuh farebdeh hai, lekin jo rāstī kā bīj boe us kā ajr yaqīnī hai.
Prov UrduGeoR 11:19  Rāstbāzī kā phal zindagī hai jabki burāī ke pīchhe bhāgne wāle kā anjām maut hai.
Prov UrduGeoR 11:20  Rab kajdiloṅ se ghin khātā hai, wuh be'ilzām rāh par chalne wāloṅ hī se ḳhush hotā hai.
Prov UrduGeoR 11:21  Yaqīn karo, badkār sazā se nahīṅ bachegā jabki rāstbāzoṅ ke farzand chhūṭ jāeṅge.
Prov UrduGeoR 11:22  Jis tarah suar kī thūthnī meṅ sone kā chhallā khaṭaktā hai usī tarah ḳhūbsūrat aurat kī betamīzī khaṭaktī hai.
Prov UrduGeoR 11:23  Allāh rāstbāzoṅ kī ārzū achchhī chīzoṅ se pūrī kartā hai, lekin us kā ġhazab bedīnoṅ kī ummīd par nāzil hotā hai.
Prov UrduGeoR 11:24  Ek ādmī kī daulat meṅ izāfā hotā hai, go wuh faiyāzdilī se taqsīm kartā hai. Dūsre kī ġhurbat meṅ izāfā hotā hai, go wuh had se zyādā kanjūs hai.
Prov UrduGeoR 11:25  Faiyāzdil ḳhushhāl rahegā, jo dūsroṅ ko tar-o-tāzā kare wuh ḳhud tāzādam rahegā.
Prov UrduGeoR 11:26  Log gandum ke zakhīrā'andoz par lānat bhejte haiṅ, lekin jo gandum ko bāzār meṅ āne detā hai us ke sar par barkat ātī hai.
Prov UrduGeoR 11:27  Jo bhalāī kī talāsh meṅ rahe wuh Allāh kī manzūrī chāhtā hai, lekin jo burāī kī talāsh meṅ rahe wuh ḳhud burāī ke phande meṅ phaṅs jāegā.
Prov UrduGeoR 11:28  Jo apnī daulat par bharosā rakhe wuh gir jāegā, lekin rāstbāz hare-bhare pattoṅ kī tarah phaleṅ-phūleṅge.
Prov UrduGeoR 11:29  Jo apne ghar meṅ gaṛbaṛ paidā kare wuh mīrās meṅ hawā hī pāegā. Ahmaq dānishmand kā naukar banegā.
Prov UrduGeoR 11:30  Rāstbāz kā phal zindagī kā daraḳht hai, aur dānishmand ādmī jāneṅ jīttā hai.
Prov UrduGeoR 11:31  Rāstbāz ko zamīn par hī ajr miltā hai. To phir bedīn aur gunāhgār sazā kyoṅ na pāeṅ?