Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 21
Prov UrduGeoR 21:1  Bādshāh kā dil Rab ke hāth meṅ nahar kī mānind hai. Wuh jidhar chāhe us kā ruḳh pher detā hai.
Prov UrduGeoR 21:2  Har ādmī kī rāh us kī apnī nazar meṅ ṭhīk lagtī hai, lekin Rab hī diloṅ kī jāṅch-paṛtāl kartā hai.
Prov UrduGeoR 21:3  Rāstbāzī aur insāf karnā Rab ko zabah kī qurbāniyoṅ se kahīṅ zyādā pasand hai.
Prov UrduGeoR 21:4  Maġhrūr āṅkheṅ aur mutakabbir dil jo bedīnoṅ kā charāġh haiṅ gunāh haiṅ.
Prov UrduGeoR 21:5  Mehnatī shaḳhs ke mansūbe nafā kā bāis haiṅ, lekin jaldbāzī ġhurbat tak pahuṅchā detī hai.
Prov UrduGeoR 21:6  Farebdeh zabān se jamā kiyā huā ḳhazānā bikhar jāne wālā dhuāṅ aur mohlak phandā hai.
Prov UrduGeoR 21:7  Bedīnoṅ kā zulm hī unheṅ ghasīṭ kar le jātā hai, kyoṅki wuh insāf karne se inkār karte haiṅ.
Prov UrduGeoR 21:8  Qusūrwār kī rāh pechdār hai jabki pāk shaḳhs sīdhī rāh par chaltā hai.
Prov UrduGeoR 21:9  Jhagaṛālū bīwī ke sāth ek hī ghar meṅ rahne kī nisbat chhat ke kisī kone meṅ guzārā karnā behtar hai.
Prov UrduGeoR 21:10  Bedīn ġhalat kām karne ke lālach meṅ rahtā hai aur apne kisī bhī paṛosī par tars nahīṅ khātā.
Prov UrduGeoR 21:11  Tānāzan par jurmānā lagā to sādālauh sabaq sīkhegā, dānishmand ko tālīm de to us ke ilm meṅ izāfā hogā.
Prov UrduGeoR 21:12  Allāh jo rāst hai bedīn ke ghar ko dhyān meṅ rakhtā hai, wuhī bedīn ko ḳhāk meṅ milā detā hai.
Prov UrduGeoR 21:13  Jo kān meṅ unglī ḍāl kar ġharīb kī madad ke lie chīḳheṅ nahīṅ suntā wuh bhī ek din chīḳheṅ māregā, aur us kī bhī sunī nahīṅ jāegī.
Prov UrduGeoR 21:14  Poshīdagī meṅ silā dene se dūsre kā ġhussā ṭhanḍā ho jātā, kisī kī jeb garm karne se us kā saḳht taish dūr ho jātā hai.
Prov UrduGeoR 21:15  Jab insāf kiyā jāe to rāstbāz ḳhush ho jātā, lekin badkār dahshat khāne lagtā hai.
Prov UrduGeoR 21:16  Jo samajh kī rāh se bhaṭak jāe wuh ek din murdoṅ kī jamāt meṅ ārām karegā.
Prov UrduGeoR 21:17  Jo aish-o-ishrat kī zindagī pasand kare wuh ġharīb ho jāegā, jise mai aur tel pyārā ho wuh amīr nahīṅ ho jāegā.
Prov UrduGeoR 21:18  Jab rāstbāz kā fidyā denā hai to bedīn ko diyā jāegā, aur diyānatdār kī jagah bewafā ko diyā jāegā.
Prov UrduGeoR 21:19  Jhagaṛālū aur tang karne wālī bīwī ke sāth basne kī nisbat registān meṅ guzārā karnā behtar hai.
Prov UrduGeoR 21:20  Dānishmand ke ghar meṅ umdā ḳhazānā aur tel hotā hai, lekin ahmaq apnā sārā māl haṛap kar letā hai.
Prov UrduGeoR 21:21  Jo insāf aur shafqat kā tāqqub kartā rahe wuh zindagī, rāstī aur izzat pāegā.
Prov UrduGeoR 21:22  Dānishmand ādmī tāqatwar faujiyoṅ ke shahr par hamlā karke wuh qilābandī ḍhā detā hai jis par un kā pūrā etamād thā.
Prov UrduGeoR 21:23  Jo apne muṅh aur zabān kī pahrādārī kare wuh apnī jān ko musībat se bachāe rakhtā hai.
Prov UrduGeoR 21:24  Maġhrūr aur ghamanḍī kā nām ‘Tānāzan’ hai, har kām wuh behad takabbur ke sāth kartā hai.
Prov UrduGeoR 21:25  Kāhil kā lālach use maut ke ghāṭ utār detā hai, kyoṅki us ke hāth kām karne se inkār karte haiṅ.
Prov UrduGeoR 21:26  Lālchī pūrā din lālach kartā rahtā hai, lekin rāstbāz faiyāzdilī se detā hai.
Prov UrduGeoR 21:27  Bedīnoṅ kī qurbānī qābil-e-ghin hai, ḳhāskar jab use bure maqsad se pesh kiyā jāe.
Prov UrduGeoR 21:28  Jhūṭā gawāh tabāh ho jāegā, lekin jo dūsre kī dhyān se sune us kī bāt hameshā tak qāym rahegī.
Prov UrduGeoR 21:29  Bedīn ādmī gustāḳh andāz se pesh ātā hai, lekin sīdhī rāh par chalne wālā soch-samajhkar apnī rāh par chaltā hai.
Prov UrduGeoR 21:30  Kisī kī bhī hikmat, samajh yā mansūbā Rab kā sāmnā nahīṅ kar saktā.
Prov UrduGeoR 21:31  Ghoṛe ko jang ke din ke lie taiyār to kiyā jātā hai, lekin fatah Rab ke hāth meṅ hai.