PROVERBS
Chapter 25
Prov | UrduGeoR | 25:1 | Zail meṅ Sulemān kī mazīd kahāwateṅ darj haiṅ jinheṅ Yahūdāh ke bādshāh Hizqiyāh ke logoṅ ne jamā kiyā. | |
Prov | UrduGeoR | 25:2 | Allāh kā jalāl is meṅ zāhir hotā hai ki wuh muāmalā poshīdā rakhtā hai, bādshāh kā jalāl is meṅ ki wuh muāmale kī tahqīq kartā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 25:3 | Jitnā āsmān buland aur zamīn gahrī hai utnā hī bādshāhoṅ ke dil kā khoj nahīṅ lagāyā jā saktā. | |
Prov | UrduGeoR | 25:5 | bedīn ko bādshāh ke huzūr se dūr karo to us kā taḳht rāstī kī buniyād par qāym rahegā. | |
Prov | UrduGeoR | 25:6 | Bādshāh ke huzūr apne āp par faḳhr na kar, na izzat kī us jagah par khaṛā ho jā jo buzurgoṅ ke lie maḳhsūs hai. | |
Prov | UrduGeoR | 25:7 | Is se pahle ki shurafā ke sāmne hī terī be'izzatī ho jāe behtar hai ki tū pīchhe khaṛā ho jā aur bād meṅ koī tujh se kahe, “Yahāṅ sāmne ā jāeṅ.” Jo kuchh terī āṅkhoṅ ne dekhā use adālat meṅ pesh karne meṅ | |
Prov | UrduGeoR | 25:8 | jaldbāzī na kar, kyoṅki tū kyā karegā agar terā paṛosī tere muāmale ko jhuṭlā kar tujhe sharmindā kare? | |
Prov | UrduGeoR | 25:9 | Adālat meṅ apne paṛosī se laṛte waqt wuh bāt bayān na kar jo kisī ne poshīdagī meṅ tere sapurd kī, | |
Prov | UrduGeoR | 25:10 | aisā na ho ki sunane wālā terī be'izzatī kare. Tab terī badnāmī kabhī nahīṅ miṭegī. | |
Prov | UrduGeoR | 25:12 | Dānishmand kī nasīhat qabūl karne wāle ke lie sone kī bālī aur ḳhālis sone ke gulūband kī mānind hai. | |
Prov | UrduGeoR | 25:13 | Qābil-e-etamād qāsid bhejne wāle ke lie fasal kāṭte waqt barf kī ṭhanḍak jaisā hai, is tarah wuh apne mālik kī jān ko tar-o-tāzā kar detā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 25:14 | Jo sheḳhī mār kar tohfoṅ kā wādā kare lekin kuchh na de wuh un tūfānī bādaloṅ kī mānind hai jo barse baġhair guzar jāte haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 25:15 | Hukmrān ko tahammul se qāyl kiyā jā saktā, aur narm zabān haḍḍiyāṅ toṛne ke qābil hai. | |
Prov | UrduGeoR | 25:16 | Agar shahd mil jāe to zarūrat se zyādā mat khā, had se zyādā khāne se tujhe qai āegī. | |
Prov | UrduGeoR | 25:17 | Apne paṛosī ke ghar meṅ bār bār jāne se apne qadmoṅ ko rok, warnā wuh tang ā kar tujh se nafrat karne lagegā. | |
Prov | UrduGeoR | 25:18 | Jo apne paṛosī ke ḳhilāf jhūṭī gawāhī de wuh hathauṛe, talwār aur tez tīr jaisā nuqsāndeh hai. | |
Prov | UrduGeoR | 25:19 | Musībat ke waqt bewafā par etibār karnā ḳharāb dāṅt yā ḍagmagāte pāṅwoṅ kī tarah taklīfdeh hai. | |
Prov | UrduGeoR | 25:20 | Dukhte dil ke lie gīt gānā utnā hī ġhairmauzūṅ hai jitnā sardiyoṅ ke mausam meṅ qamīs utārnā yā soḍe par sirkā ḍālnā. | |
Prov | UrduGeoR | 25:22 | Kyoṅki aisā karne se tū us ke sar par jalte hue koeloṅ kā ḍher lagāegā, aur Rab tujhe ajr degā. | |
Prov | UrduGeoR | 25:23 | Jis tarah kāle bādal lāne wālī hawā bārish paidā kartī hai usī tarah bātūnī kī chupke se kī gaī bātoṅ se logoṅ ke muṅh bigaṛ jāte haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 25:24 | Jhagaṛālū bīwī ke sāth ek hī ghar meṅ rahne kī nisbat chhat ke kisī kone meṅ guzārā karnā behtar hai. | |