Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 14
Prov UrduGeoR 14:1  Hikmat bībī apnā ghar tāmīr kartī hai, lekin hamāqat bībī apne hī hāthoṅ se use ḍhā detī hai.
Prov UrduGeoR 14:2  Jo sīdhī rāh par chaltā hai wuh Allāh kā ḳhauf māntā hai, lekin jo ġhalat rāh par chaltā hai wuh use haqīr jāntā hai.
Prov UrduGeoR 14:3  Ahmaq kī bātoṅ se wuh ḍanḍā nikaltā hai jo use us ke takabbur kī sazā detā hai, lekin dānishmand ke hoṅṭ use mahfūz rakhte haiṅ.
Prov UrduGeoR 14:4  Jahāṅ bail nahīṅ wahāṅ charnī ḳhālī rahtī hai, bail kī tāqat hī se kasrat kī fasleṅ paidā hotī haiṅ.
Prov UrduGeoR 14:5  Wafādār gawāh jhūṭ nahīṅ boltā, lekin jhūṭe gawāh ke muṅh se jhūṭ nikaltā hai.
Prov UrduGeoR 14:6  Tānāzan hikmat ko ḍhūṅḍtā hai, lekin befāydā. Samajhdār ke ilm meṅ āsānī se izāfā hotā hai.
Prov UrduGeoR 14:7  Ahmaq se dūr rah, kyoṅki tū us kī bātoṅ meṅ ilm nahīṅ pāegā.
Prov UrduGeoR 14:8  Zahīn kī hikmat is meṅ hai ki wuh soch-samajhkar apnī rāh par chale, lekin ahmaq kī hamāqat sarāsar dhokā hī hai.
Prov UrduGeoR 14:9  Ahmaq apne qusūr kā mazāq uṛāte haiṅ, lekin sīdhī rāh par chalne wāle Rab ko manzūr haiṅ.
Prov UrduGeoR 14:10  Har dil kī apnī hī talḳhī hotī hai jis se sirf wuhī wāqif hai, aur us kī ḳhushī meṅ bhī koī aur sharīk nahīṅ ho saktā.
Prov UrduGeoR 14:11  Bedīn kā ghar tabāh ho jāegā, lekin sīdhī rāh par chalne wāle kā ḳhaimā phale phūlegā.
Prov UrduGeoR 14:12  Aisī rāh bhī hotī hai jo deḳhne meṅ ṭhīk to lagtī hai go us kā anjām maut hai.
Prov UrduGeoR 14:13  Dil haṅste waqt bhī ranjīdā ho saktā hai, aur ḳhushī ke iḳhtitām par dukh hī bāqī rah jātā hai.
Prov UrduGeoR 14:14  Jis kā dil bewafā hai wuh jī bhar kar apne chāl-chalan kā kaṛwā phal khāegā jabki nek ādmī apne āmāl ke mīṭhe phal se ser ho jāegā.
Prov UrduGeoR 14:15  Sādālauh har ek kī bāt mān letā hai jabki zahīn ādmī apnā har qadam soch-samajhkar uṭhātā hai.
Prov UrduGeoR 14:16  Dānishmand ḍarte ḍarte ġhalat kām se dareġh kartā hai, lekin ahmaq ḳhudetimād hai aur ek dam mushta'il ho jātā hai.
Prov UrduGeoR 14:17  Ġhusīlā ādmī ahmaqānā harkateṅ kartā hai, aur log sāzishī shaḳhs se nafrat karte haiṅ.
Prov UrduGeoR 14:18  Sādālauh mīrās meṅ hamāqat pātā hai jabki zahīn ādmī kā sar ilm ke tāj se ārāstā rahtā hai.
Prov UrduGeoR 14:19  Sharīroṅ ko nekoṅ ke sāmne jhuknā paṛegā, aur bedīnoṅ ko rāstbāz ke darwāze par aundhe muṅh honā paṛegā.
Prov UrduGeoR 14:20  Ġharīb ke hamsāe bhī us se nafrat karte haiṅ jabki amīr ke beshumār dost hote haiṅ.
Prov UrduGeoR 14:21  Jo apne paṛosī ko haqīr jāne wuh gunāh kartā hai. Mubārak hai wuh jo zarūratmand par tars khātā hai.
Prov UrduGeoR 14:22  Bure mansūbe bāndhne wāle sab āwārā phirte haiṅ. Lekin achchhe mansūbe bāndhne wāle shafqat aur wafā pāeṅge.
Prov UrduGeoR 14:23  Mehnat-mashaqqat karne meṅ hameshā fāydā hotā hai, jabki ḳhālī bāteṅ karne se log ġharīb ho jāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 14:24  Dānishmandoṅ kā ajr daulat kā tāj hai jabki ahmaqoṅ kā ajr hamāqat hī hai.
Prov UrduGeoR 14:25  Sachchā gawāh jāneṅ bachātā hai jabki jhūṭā gawāh farebdeh hai.
Prov UrduGeoR 14:26  Jo Rab kā ḳhauf māne us ke pās mahfūz qilā hai jis meṅ us kī aulād bhī panāh le saktī hai.
Prov UrduGeoR 14:27  Rab kā ḳhauf zindagī kā sarchashmā hai jo insān ko mohlak phandoṅ se bachāe rakhtā hai.
Prov UrduGeoR 14:28  Jitnī ābādī mulk meṅ hai utnī hī bādshāh kī shān-o-shaukat hai. Riāyā kī kamī hukmrān ke tanazzul kā bāis hai.
Prov UrduGeoR 14:29  Tahammul karne wālā baṛī samajhdārī kā mālik hai, lekin ġhusīlā ādmī apnī hamāqat kā izhār kartā hai.
Prov UrduGeoR 14:30  Pursukūn dil jism ko zindagī dilātā jabki hasad haḍḍiyoṅ ko galne detā hai.
Prov UrduGeoR 14:31  Jo pasthāl par zulm kare wuh us ke Ḳhāliq kī tahqīr kartā hai jabki jo zarūratmand par tars khāe wuh Allāh kā ehtirām kartā hai.
Prov UrduGeoR 14:32  Bedīn kī burāī use ḳhāk meṅ milā detī hai, lekin rāstbāz marte waqt bhī Allāh meṅ panāh letā hai.
Prov UrduGeoR 14:33  Hikmat samajhdār ke dil meṅ ārām kartī hai, aur wuh ahmaqoṅ ke darmiyān bhī zāhir ho jātī hai.
Prov UrduGeoR 14:34  Rāstī se har qaum sarfarāz hotī hai jabki gunāh se ummateṅ ruswā ho jātī haiṅ.
Prov UrduGeoR 14:35  Bādshāh dānishmand mulāzim se ḳhush hotā hai, lekin sharmnāk kām karne wālā mulāzim us ke ġhusse kā nishānā ban jātā hai.