Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 13
Prov UrduGeoR 13:1  Dānishmand beṭā apne bāp kī tarbiyat qabūl kartā hai, lekin tānāzan parwā hī nahīṅ kartā agar koī use ḍānṭe.
Prov UrduGeoR 13:2  Insān apne muṅh ke achchhe phal se ḳhūb ser ho jātā hai, lekin bewafā ke dil meṅ zulm kā lālach rahtā hai.
Prov UrduGeoR 13:3  Jo apnī zabān qābū meṅ rakhe wuh apnī zindagī mahfūz rakhtā hai, jo apnī zabān ko belagām chhoṛ de wuh tabāh ho jāegā.
Prov UrduGeoR 13:4  Kāhil ādmī lālach kartā hai, lekin use kuchh nahīṅ miltā jabki mehnatī shaḳhs kī ārzū pūrī ho jātī hai.
Prov UrduGeoR 13:5  Rāstbāz jhūṭ se nafrat kartā hai, lekin bedīn sharm aur ruswāī kā bāis hai.
Prov UrduGeoR 13:6  Rāstī be'ilzām kī hifāzat kartī jabki bedīnī gunāhgār ko tabāh kar detī hai.
Prov UrduGeoR 13:7  Kuchh log amīr kā rūp bhar kar phirte haiṅ go ġharīb haiṅ. Dūsre ġharīb kā rūp bhar kar phirte haiṅ go amīrtarīn haiṅ.
Prov UrduGeoR 13:8  Kabhī amīr ko apnī jān chhuṛāne ke lie aisā tāwān denā paṛtā hai ki tamām daulat jātī rahtī hai, lekin ġharīb kī jān is qism kī dhamkī se bachī rahtī hai.
Prov UrduGeoR 13:9  Rāstbāz kī raushnī chamaktī rahtī jabki bedīn kā charāġh bujh jātā hai.
Prov UrduGeoR 13:10  Maġhrūroṅ meṅ hameshā jhagaṛā hotā hai jabki dānishmand salāh-mashware ke mutābiq hī chalte haiṅ.
Prov UrduGeoR 13:11  Jaldbāzī se hāsilshudā daulat jald hī ḳhatm ho jātī hai jabki jo raftā raftā apnā māl jamā kare wuh use baṛhātā rahegā.
Prov UrduGeoR 13:12  Jo ummīd waqt par pūrī na ho jāe wuh dil ko bīmār kar detī hai, lekin jo ārzū pūrī ho jāe wuh zindagī kā daraḳht hai.
Prov UrduGeoR 13:13  Jo achchhī hidāyat ko haqīr jāne use nuqsān pahuṅchegā, lekin jo hukm māne use ajr milegā.
Prov UrduGeoR 13:14  Dānishmand kī hidāyat zindagī kā sarchashmā hai jo insān ko mohlak phandoṅ se bachāe rakhtī hai.
Prov UrduGeoR 13:15  Achchhī samajh manzūrī atā kartī hai, lekin bewafā kī rāh abadī tabāhī kā bāis hai.
Prov UrduGeoR 13:16  Zahīn har kām soch-samajhkar kartā, lekin ahmaq tamām nazaroṅ ke sāmne hī apnī hamāqat kī numāish kartā hai.
Prov UrduGeoR 13:17  Bedīn qāsid musībat meṅ phaṅs jātā jabki wafādār qāsid shifā kā bāis hai.
Prov UrduGeoR 13:18  Jo tarbiyat kī parwā na kare use ġhurbat aur sharmindagī hāsil hogī, lekin jo dūsre kī nasīhat mān jāe us kā ehtirām kiyā jāegā.
Prov UrduGeoR 13:19  Jo ārzū pūrī ho jāe wuh dil ko tar-o-tāzā kartī hai, lekin ahmaq burāī se dareġh karne se ghin khātā hai.
Prov UrduGeoR 13:20  Jo dānishmandoṅ ke sāth chale wuh ḳhud dānishmand ho jāegā, lekin jo ahmaqoṅ ke sāth chale use nuqsān pahuṅchegā.
Prov UrduGeoR 13:21  Musībat gunāhgār kā pīchhā kartī hai jabki rāstbāzoṅ kā ajr ḳhushhālī hai.
Prov UrduGeoR 13:22  Nek ādmī ke beṭe aur pote us kī mīrās pāeṅge, lekin gunāhgār kī daulat rāstbāz ke lie mahfūz rakhī jāegī.
Prov UrduGeoR 13:23  Ġharīb kā khet kasrat kī fasleṅ muhaiyā kar saktā hai, lekin jahāṅ insāf nahīṅ wahāṅ sab kuchh chhīn liyā jātā hai.
Prov UrduGeoR 13:24  Jo apne beṭe ko tambīh nahīṅ kartā wuh us se nafrat kartā hai. Jo us se muhabbat rakhe wuh waqt par us kī tarbiyat kartā hai.
Prov UrduGeoR 13:25  Rāstbāz jī bhar kar khānā khātā hai, lekin bedīn kā peṭ ḳhālī rahtā hai.