Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 10
Prov UrduGeoR 10:1  Zail meṅ Sulemān kī amsāl qalamband haiṅ. Dānishmand beṭā apne bāp ko ḳhushī dilātā jabki ahmaq beṭā apnī māṅ ko dukh pahuṅchātā hai.
Prov UrduGeoR 10:2  Ḳhazānoṅ kā koī fāydā nahīṅ agar wuh bedīn tarīqoṅ se jamā ho gae hoṅ, lekin rāstbāzī maut se bachāe rakhtī hai.
Prov UrduGeoR 10:3  Rab rāstbāz ko bhūke marne nahīṅ detā, lekin bedīnoṅ kā lālach rok detā hai.
Prov UrduGeoR 10:4  Ḍhīle hāth ġhurbat aur mehnatī hāth daulat kī taraf le jāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 10:5  Jo garmiyoṅ meṅ fasal jamā kartā hai wuh dānishmand beṭā hai jabki jo fasal kī kaṭāī ke waqt soyā rahtā hai wuh wālidain ke lie sharm kā bāis hai.
Prov UrduGeoR 10:6  Rāstbāz kā sar barkat ke tāj se ārāstā rahtā hai jabki bedīnoṅ ke muṅh par zulm kā pardā paṛā rahtā hai.
Prov UrduGeoR 10:7  Log rāstbāz ko yād karke use mubārak kahte haiṅ, lekin bedīn kā nām saṛ kar miṭ jāegā.
Prov UrduGeoR 10:8  Jo dil se dānishmand hai wuh ahkām qabūl kartā hai, lekin bakwāsī tabāh ho jāegā.
Prov UrduGeoR 10:9  Jis kā chāl-chalan be'ilzām hai wuh sukūn se zindagī guzārtā hai, lekin jo ṭeṛhā rāstā iḳhtiyār kare use pakaṛā jāegā.
Prov UrduGeoR 10:10  Āṅkh mārne wālā dukh pahuṅchātā hai, aur bakwāsī tabāh ho jāegā.
Prov UrduGeoR 10:11  Rāstbāz kā muṅh zindagī kā sarchashmā hai, lekin bedīn ke muṅh par zulm kā pardā paṛā rahtā hai.
Prov UrduGeoR 10:12  Nafrat jhagaṛe chheṛtī rahtī jabki muhabbat tamām ḳhatāoṅ par pardā ḍāl detī hai.
Prov UrduGeoR 10:13  Samajhdār ke hoṅṭoṅ par hikmat pāī jātī hai, lekin nāsamajh sirf ḍanḍe kā paiġhām samajhtā hai.
Prov UrduGeoR 10:14  Dānishmand apnā ilm mahfūz rakhte haiṅ, lekin ahmaq kā muṅh jald hī tabāhī kī taraf le jātā hai.
Prov UrduGeoR 10:15  Amīr kī daulat qilāband shahr hai jis meṅ wuh mahfūz hai jabki ġharīb kī ġhurbat us kī tabāhī kā bāis hai.
Prov UrduGeoR 10:16  Jo kuchh rāstbāz kamā letā hai wuh zindagī kā bāis hai, lekin bedīn apnī rozī gunāh karne ke lie istemāl kartā hai.
Prov UrduGeoR 10:17  Jo tarbiyat qabūl kare wuh dūsroṅ ko zindagī kī rāh par lātā hai, jo nasīhat nazarandāz kare wuh dūsroṅ ko sahīh rāh se dūr le jātā hai.
Prov UrduGeoR 10:18  Jo apnī nafrat chhupāe rakhe wuh jhūṭ boltā hai, jo dūsroṅ ke bāre meṅ ġhalat ḳhabreṅ phailāe wuh ahmaq hai.
Prov UrduGeoR 10:19  Jahāṅ bahut bāteṅ kī jātī haiṅ wahāṅ gunāh bhī ā maujūd hotā hai, jo apnī zabān ko qābū meṅ rakhe wuh dānishmand hai.
Prov UrduGeoR 10:20  Rāstbāz kī zabān umdā chāṅdī hai jabki bedīn ke dil kī koī qadar nahīṅ.
Prov UrduGeoR 10:21  Rāstbāz kī zabān bahutoṅ kī parwarish kartī hai, lekin ahmaq apnī beaqlī ke bāis halāk ho jāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 10:22  Rab kī barkat daulat kā bāis hai, hamārī apnī mehnat-mashaqqat is meṅ izāfā nahīṅ kartī.
Prov UrduGeoR 10:23  Ahmaq ġhalat kām se apnā dil bahlātā, lekin samajhdār hikmat se lutfandoz hotā hai.
Prov UrduGeoR 10:24  Jis chīz se bedīn dahshat khātā hai wuhī us par āegī, lekin rāstbāz kī ārzū pūrī ho jāegī.
Prov UrduGeoR 10:25  Jab tūfān āte haiṅ to bedīn kā nām-o-nishān miṭ jātā jabki rāstbāz hameshā tak qāym rahtā hai.
Prov UrduGeoR 10:26  Jis tarah dāṅt sirke se aur āṅkheṅ dhueṅ se tang ā jātī haiṅ usī tarah wuh tang ā jātā hai jo sust ādmī se kām karwātā hai.
Prov UrduGeoR 10:27  Jo Rab kā ḳhauf māne us kī zindagī ke dinoṅ meṅ izāfā hotā hai jabki bedīn kī zindagī waqt se pahle hī ḳhatm ho jātī hai.
Prov UrduGeoR 10:28  Rāstbāz āḳhirkār ḳhushī manāeṅge, kyoṅki un kī ummīd bar āegī. Lekin bedīnoṅ kī ummīd jātī rahegī.
Prov UrduGeoR 10:29  Rab kī rāh be'ilzām shaḳhs ke lie panāhgāh, lekin badkār ke lie tabāhī kā bāis hai.
Prov UrduGeoR 10:30  Rāstbāz kabhī ḍāṅwāṅḍol nahīṅ hogā, lekin bedīn mulk meṅ ābād nahīṅ raheṅge.
Prov UrduGeoR 10:31  Rāstbāz kā muṅh hikmat kā phal lātā rahtā hai, lekin kajgo zabān ko kāṭ ḍālā jāegā.
Prov UrduGeoR 10:32  Rāstbāz ke hoṅṭ jānte haiṅ ki Allāh ko kyā pasand hai, lekin bedīn kā muṅh ṭeṛhī bāteṅ hī jāntā hai.