Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 28
Prov UrduGeoR 28:1  Bedīn farār ho jātā hai hālāṅki tāqqub karne wālā koī nahīṅ hotā, lekin rāstbāz apne āp ko jawān sherbabar kī tarah mahfūz samajhtā hai.
Prov UrduGeoR 28:2  Mulk kī ḳhatākārī ke sabab se us kī hukūmat kī yagāngat qāym nahīṅ rahegī, lekin samajhdār aur dānishmand ādmī use baṛī der tak qāym rakhegā.
Prov UrduGeoR 28:3  Jo ġharīb ġharīboṅ par zulm kare wuh us mūslādhār bārish kī mānind hai jo sailāb lā kar fasloṅ ko tabāh kar detī hai.
Prov UrduGeoR 28:4  Jis ne sharīat ko tark kiyā wuh bedīn kī tārīf kartā hai, lekin jo sharīat ke tābe rahtā hai wuh us kī muḳhālafat kartā hai.
Prov UrduGeoR 28:5  Sharīr insāf nahīṅ samajhte, lekin Rab ke tālib sab kuchh samajhte haiṅ.
Prov UrduGeoR 28:6  Be'ilzām zindagī guzārne wālā ġharīb ṭeṛhī rāhoṅ par chalne wāle amīr se behtar hai.
Prov UrduGeoR 28:7  Jo sharīat kī pairawī kare wuh samajhdār beṭā hai, lekin aiyāshoṅ kā sāthī apne bāp kī be'izzatī kartā hai.
Prov UrduGeoR 28:8  Jo apnī daulat nājāyz sūd se baṛhāe wuh use kisī aur ke lie jamā kar rahā hai, aise shaḳhs ke lie jo ġharīboṅ par rahm karegā.
Prov UrduGeoR 28:9  Jo apne kān meṅ unglī ḍāle tāki sharīat kī bāteṅ na sune us kī duāeṅ bhī qābil-e-ghin haiṅ.
Prov UrduGeoR 28:10  Jo sīdhī rāh par chalne wāloṅ ko ġhalat rāh par lāe wuh apne hī gaṛhe meṅ gir jāegā, lekin be'ilzām achchhī mīrās pāeṅge.
Prov UrduGeoR 28:11  Amīr apne āp ko dānishmand samajhtā hai, lekin jo zarūratmand samajhdār hai wuh us kā aslī kirdār mālūm kar letā hai.
Prov UrduGeoR 28:12  Jab rāstbāz fathyāb hoṅ to mulk kī shān-o-shaukat baṛh jātī hai, lekin jab bedīn uṭh khaṛe hoṅ to log chhup jāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 28:13  Jo apne gunāh chhupāe wuh nākām rahegā, lekin jo unheṅ taslīm karke tark kare wuh rahm pāegā.
Prov UrduGeoR 28:14  Mubārak hai wuh jo har waqt Rab kā ḳhauf māne, lekin jo apnā dil saḳht kare wuh musībat meṅ phaṅs jāegā.
Prov UrduGeoR 28:15  Pasthāl qaum par hukūmat karne wālā bedīn ġhurrāte hue sherbabar aur hamlā-āwar rīchh kī mānind hai.
Prov UrduGeoR 28:16  Jahāṅ nāsamajh hukmrān hai wahāṅ zulm hotā hai, lekin jise ġhalat nafā se nafrat ho us kī umr darāz hogī.
Prov UrduGeoR 28:17  Jo kisī ko qatl kare wuh maut tak apne qusūr ke nīche dabā huā mārā mārā phiregā. Aise shaḳhs kā sahārā na ban!
Prov UrduGeoR 28:18  Jo be'ilzām zindagī guzāre wuh bachā rahegā, lekin jo ṭeṛhī rāh par chale wuh achānak hī gir jāegā.
Prov UrduGeoR 28:19  Jo apnī zamīn kī khetībāṛī kare wuh jī bhar kar roṭī khāegā, lekin jo fuzūl chīzoṅ ke pīchhe paṛ jāe wuh ġhurbat se ser ho jāegā.
Prov UrduGeoR 28:20  Qābil-e-etamād ādmī ko kasrat kī barkateṅ hāsil hoṅgī, lekin jo bhāg bhāg kar daulat jamā karne meṅ masrūf rahe wuh sazā se nahīṅ bachegā.
Prov UrduGeoR 28:21  Jānibdārī burī bāt hai, lekin insān roṭī kā ṭukṛā hāsil karne ke lie mujrim ban jātā hai.
Prov UrduGeoR 28:22  Lālchī bhāg bhāg kar daulat jamā kartā hai, use mālūm hī nahīṅ ki is kā anjām ġhurbat hī hai.
Prov UrduGeoR 28:23  Āḳhirkār nasīhat dene wālā chāplūsī karne wāle se zyādā manzūr hotā hai.
Prov UrduGeoR 28:24  Jo apne bāp yā māṅ ko lūṭ kar kahe, “Yih jurm nahīṅ hai” wuh mohlak qātil kā sharīk-e-kār hotā hai.
Prov UrduGeoR 28:25  Lālchī jhagaṛoṅ kā mambā rahtā hai, lekin jo Rab par bharosā rakhe wuh ḳhushhāl rahegā.
Prov UrduGeoR 28:26  Jo apne dil par bharosā rakhe wuh bewuqūf hai, lekin jo hikmat kī rāh par chale wuh mahfūz rahegā.
Prov UrduGeoR 28:27  Ġharīboṅ ko dene wālā zarūratmand nahīṅ hogā, lekin jo apnī āṅkheṅ band karke unheṅ nazarandāz kare us par bahut lānateṅ āeṅgī.
Prov UrduGeoR 28:28  Jab bedīn uṭh khaṛe hoṅ to log chhup jāte haiṅ, lekin jab halāk ho jāeṅ to rāstbāzoṅ kī tādād baṛh jātī hai.