Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 22
Prov UrduGeoR 22:1  Nek nām baṛī daulat se qīmtī, aur manzūr-e-nazar honā sone-chāṅdī se behtar hai.
Prov UrduGeoR 22:2  Amīr aur ġharīb ek dūsre se milte julte haiṅ, Rab un sab kā Ḳhāliq hai.
Prov UrduGeoR 22:3  Zahīn ādmī ḳhatrā pahle se bhāṅp kar chhup jātā hai, jabki sādālauh āge baṛh kar us kī lapeṭ meṅ ā jātā hai.
Prov UrduGeoR 22:4  Farotanī aur Rab kā ḳhauf mānane kā phal daulat, ehtirām aur zindagī hai.
Prov UrduGeoR 22:5  Bedīn kī rāh meṅ kāṅṭe aur phande hote haiṅ. Jo apnī jān mahfūz rakhnā chāhe wuh un se dūr rahtā hai.
Prov UrduGeoR 22:6  Chhoṭe bachche ko sahīh rāh par chalne kī tarbiyat kar to wuh būṛhā ho kar bhī us se nahīṅ haṭegā.
Prov UrduGeoR 22:7  Amīr ġharīb par hukūmat kartā, aur qarzdār qarzḳhāh kā ġhulām hotā hai.
Prov UrduGeoR 22:8  Jo nāinsāfī kā bīj boe wuh āfat kī fasal kāṭegā, tab us kī ziyādatī kī lāṭhī ṭūṭ jāegī.
Prov UrduGeoR 22:9  Faiyāzdil ko barkat milegī, kyoṅki wuh pasthāl ko apne khāne meṅ sharīk kartā hai.
Prov UrduGeoR 22:10  Tānāzan ko bhagā de to laṛāī-jhagaṛā ghar se nikal jāegā, tū tū maiṅ maiṅ aur ek dūsre kī be'izzatī karne kā silsilā ḳhatm ho jāegā.
Prov UrduGeoR 22:11  Jo dil kī pākīzagī ko pyār kare aur mehrbān zabān kā mālik ho wuh bādshāh kā dost banegā.
Prov UrduGeoR 22:12  Rab kī āṅkheṅ ilm-o-irfān kī dekh-bhāl kartī haiṅ, lekin wuh bewafā kī bātoṅ ko tabāh hone detā hai.
Prov UrduGeoR 22:13  Kāhil kahtā hai, “Galī meṅ sher hai, agar bāhar jāūṅ to mujhe kisī chauk meṅ phāṛ khāegā.”
Prov UrduGeoR 22:14  Zinākār aurat kā muṅh gahrā gaṛhā hai. Jis se Rab nārāz ho wuh us meṅ gir jātā hai.
Prov UrduGeoR 22:15  Bachche ke dil meṅ hamāqat ṭiktī hai, lekin tarbiyat kī chhaṛī use bhagā detī hai.
Prov UrduGeoR 22:16  Ek pasthāl par zulm kartā hai tāki daulat pāe, dūsrā amīr ko tohfe detā hai lekin ġharīb ho jātā hai.
Prov UrduGeoR 22:17  Kān lagā kar dānāoṅ kī bātoṅ par dhyān de, dil se merī tālīm apnā le!
Prov UrduGeoR 22:18  Kyoṅki achchhā hai ki tū unheṅ apne dil meṅ mahfūz rakhe, wuh sab tere hoṅṭoṅ par musta'id raheṅ.
Prov UrduGeoR 22:19  Āj maiṅ tujhe, hāṅ tujhe hī tālīm de rahā hūṅ tāki terā bharosā Rab par rahe.
Prov UrduGeoR 22:20  Maiṅ ne tere lie 30 kahāwateṅ qalamband kī haiṅ, aisī bāteṅ jo mashwaroṅ aur ilm se bharī huī haiṅ.
Prov UrduGeoR 22:21  Kyoṅki maiṅ tujhe sachchāī kī qābil-e-etamād bāteṅ sikhānā chāhtā hūṅ tāki tū unheṅ qābil-e-etamād jawāb de sake jinhoṅ ne tujhe bhejā hai.
Prov UrduGeoR 22:22  Pasthāl ko is lie na lūṭ ki wuh pasthāl hai, musībatzadā ko adālat meṅ mat kuchalnā.
Prov UrduGeoR 22:23  Kyoṅki Rab ḳhud un kā difā karke unheṅ lūṭ legā jo unheṅ lūṭ rahe haiṅ.
Prov UrduGeoR 22:24  Ġhusīle shaḳhs kā dost na ban, na us se zyādā tālluq rakh jo jaldī se āg-bagūlā ho jātā hai.
Prov UrduGeoR 22:25  Aisā na ho ki tū us kā chāl-chalan apnā kar apnī jān ke lie phandā lagāe.
Prov UrduGeoR 22:26  Kabhī hāth milā kar wādā na kar ki maiṅ dūsre ke karze kā zāmin hūṅgā.
Prov UrduGeoR 22:27  Qarzdār ke paise wāpas na karne par agar tū bhī paise adā na kar sake to terī chārpāī bhī tere nīche se chhīn lī jāegī.
Prov UrduGeoR 22:28  Zamīn kī jo hudūd tere bāpdādā ne muqarrar kīṅ unheṅ āge pīchhe mat karnā.
Prov UrduGeoR 22:29  Kyā tujhe aisā ādmī nazar ātā hai jo apne kām meṅ māhir hai? Wuh nichle tabqe ke logoṅ kī ḳhidmat nahīṅ karegā balki bādshāhoṅ kī.