Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 5
Prov UrduGeoR 5:1  Mere beṭe, merī hikmat par dhyān de, merī samajh kī bātoṅ par kān dhar.
Prov UrduGeoR 5:2  Phir tū tamīz kā dāman thāme rahegā, aur tere hoṅṭ ilm-o-irfān mahfūz rakheṅge.
Prov UrduGeoR 5:3  Kyoṅki zinākār aurat ke hoṅṭoṅ se shahd ṭapaktā hai, us kī bāteṅ tel kī tarah chiknī-chupṛī hotī haiṅ.
Prov UrduGeoR 5:4  Lekin anjām meṅ wuh zahr jaisī kaṛwī aur dodhārī talwār jaisī tez sābit hotī hai.
Prov UrduGeoR 5:5  Us ke pāṅw maut kī taraf utarte, us ke qadam Pātāl kī jānib baṛhte jāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 5:6  Us ke rāste kabhī idhar kabhī idhar phirte haiṅ tāki tū zindagī kī rāh par tawajjuh na de aur us kī āwāragī ko jān na le.
Prov UrduGeoR 5:7  Chunāṅche mere beṭo, merī suno aur mere muṅh kī bātoṅ se dūr na ho jāo.
Prov UrduGeoR 5:8  Apne rāste us se dūr rakh, us ke ghar ke darwāze ke qarīb bhī na jā.
Prov UrduGeoR 5:9  Aisā na ho ki tū apnī tāqat kisī aur ke lie sarf kare aur apne sāl zālim ke lie zāe kare.
Prov UrduGeoR 5:10  Aisā na ho ki pardesī terī milkiyat se ser ho jāeṅ, ki jo kuchh tū ne mehnat-mashaqqat se hāsil kiyā wuh kisī aur ke ghar meṅ āe.
Prov UrduGeoR 5:11  Tab āḳhirkār terā badan aur gosht ghul jāeṅge, aur tū āheṅ bhar bhar kar
Prov UrduGeoR 5:12  kahegā, “Hāy, maiṅ ne kyoṅ tarbiyat se nafrat kī, mere dil ne kyoṅ sarzanish ko haqīr jānā?
Prov UrduGeoR 5:13  Hidāyat karne wāloṅ kī maiṅ ne na sunī, apne ustādoṅ kī bātoṅ par kān na dharā.
Prov UrduGeoR 5:14  Jamāt ke darmiyān hī rahte hue mujh par aisī āfat āī ki maiṅ tabāhī ke dahāne tak pahuṅch gayā hūṅ.”
Prov UrduGeoR 5:15  Apne hī hauz kā pānī aur apne hī kueṅ se phūṭne wālā pānī pī le.
Prov UrduGeoR 5:16  Kyā munāsib hai ki tere chashme galiyoṅ meṅ aur terī nadiyāṅ chaukoṅ meṅ bah nikleṅ?
Prov UrduGeoR 5:17  Jo pānī terā apnā hai wuh tujh tak mahdūd rahe, ajnabī us meṅ sharīk na ho jāe.
Prov UrduGeoR 5:18  Terā chashmā mubārak ho. Hāṅ, apnī bīwī se ḳhush rah.
Prov UrduGeoR 5:19  Wuhī terī manmohan hirnī aur dilrubā ġhazāl hai. Usī kā pyār tujhe tar-o-tāzā kare, usī kī muhabbat tujhe hameshā mast rakhe.
Prov UrduGeoR 5:20  Mere beṭe, tū ajnabī aurat se kyoṅ mast ho jāe, kisī dūsre kī bīwī se kyoṅ lipaṭ jāe?
Prov UrduGeoR 5:21  Ḳhayāl rakh, insān kī rāheṅ Rab ko sāf dikhāī detī haiṅ, jahāṅ bhī wuh chale us par wuh tawajjuh detā hai.
Prov UrduGeoR 5:22  Bedīn kī apnī hī harkateṅ use phaṅsā detī haiṅ, wuh apne hī gunāh ke rassoṅ meṅ jakaṛā rahtā hai.
Prov UrduGeoR 5:23  Wuh tarbiyat kī kamī ke sabab se halāk ho jāegā, apnī baṛī hamāqat ke bāis ḍagmagāte hue apne anjām ko pahuṅchegā.