PROVERBS
Chapter 23
Prov | UrduGeoR | 23:1 | Agar tū kisī hukmrān ke khāne meṅ sharīk ho jāe to ḳhūb dhyān de ki tū kis ke huzūr hai. | |
Prov | UrduGeoR | 23:4 | Apnī pūrī tāqat amīr banane meṅ sarf na kar, apnī hikmat aisī koshishoṅ se zāe mat kar. | |
Prov | UrduGeoR | 23:5 | Ek nazar daulat par ḍāl to wuh ojhal ho jātī hai, aur par lagā kar uqāb kī tarah āsmān kī taraf uṛ jātī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 23:7 | Kyoṅki yih gale meṅ bāl kī tarah hogā. Wuh tujh se kahegā, “Khāo, piyo!” Lekin us kā dil tere sāth nahīṅ hai. | |
Prov | UrduGeoR | 23:8 | Jo luqmā tū ne khā liyā us se tujhe qai āegī, aur terī us se dostānā bāteṅ zāe ho jāeṅgī. | |
Prov | UrduGeoR | 23:10 | Zamīn kī jo hudūd qadīm zamāne meṅ muqarrar huīṅ unheṅ āge pīchhe mat karnā, aur yatīmoṅ ke khetoṅ par qabzā na kar. | |
Prov | UrduGeoR | 23:13 | Bachche ko tarbiyat se mahrūm na rakh, chhaṛī se use sazā dene se wuh nahīṅ maregā. | |
Prov | UrduGeoR | 23:17 | Terā dil gunāhgāroṅ ko dekh kar kuṛhtā na rahe balki pūre din Rab kā ḳhauf rakhne meṅ sargarm rahe. | |
Prov | UrduGeoR | 23:22 | Apne bāp kī sun jis ne tujhe paidā kiyā, aur apnī māṅ ko haqīr na jān jab būṛhī ho jāe. | |
Prov | UrduGeoR | 23:23 | Sachchāī ḳharīd le aur kabhī faroḳht na kar, us meṅ shāmil hikmat, tarbiyat aur samajh apnā le. | |
Prov | UrduGeoR | 23:24 | Rāstbāz kā bāp baṛī ḳhushī manātā hai, aur dānishmand beṭe kā wālid us se lutfandoz hotā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 23:25 | Chunāṅche apne māṅ-bāp ke lie ḳhushī kā bāis ho, aisī zindagī guzār ki terī māṅ jashn manā sake. | |
Prov | UrduGeoR | 23:29 | Kaun āheṅ bhartā hai? Kaun hāy hāy kartā aur laṛāī-jhagaṛe meṅ mulawwas rahtā hai? Kis ko bilāwajah choṭeṅ lagtī, kis kī āṅkheṅ dhundlī-sī rahtī haiṅ? | |
Prov | UrduGeoR | 23:30 | Wuh jo rāt gae tak mai pīne aur masāledār mai se mazā lene meṅ masrūf rahtā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 23:31 | Mai ko taktā na rah, ḳhāh us kā surḳh rang kitnī ḳhūbsūratī se pyāle meṅ kyoṅ na chamke, ḳhāh use baṛe maze se kyoṅ na piyā jāe. | |
Prov | UrduGeoR | 23:34 | Tū samundar ke bīch meṅ leṭne wāle kī mānind hogā, us jaisā jo mastūl par chaṛh kar leṭ gayā ho. | |