Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 15
Prov UrduGeoR 15:1  Narm jawāb ġhussā ṭhanḍā kartā, lekin tursh bāt taish dilātī hai.
Prov UrduGeoR 15:2  Dānishmandoṅ kī zabān ilm-o-irfān phailātī hai jabki ahmaq kā muṅh hamāqat kā zor se ubalne wālā chashmā hai.
Prov UrduGeoR 15:3  Rab kī āṅkheṅ har jagah maujūd haiṅ, wuh bure aur bhale sab par dhyān detī haiṅ.
Prov UrduGeoR 15:4  Narm zabān zindagī kā daraḳht hai jabki farebdeh zabān shikastādil kar detī hai.
Prov UrduGeoR 15:5  Ahmaq apne bāp kī tarbiyat ko haqīr jāntā hai, lekin jo nasīhat māne wuh dānishmand hai.
Prov UrduGeoR 15:6  Rāstbāz ke ghar meṅ baṛā ḳhazānā hotā hai, lekin jo kuchh bedīn hāsil kartā hai wuh tabāhī kā bāis hai.
Prov UrduGeoR 15:7  Dānishmandoṅ ke hoṅṭ ilm-o-irfān kā bīj bikher dete haiṅ, lekin ahmaqoṅ kā dil aisā nahīṅ kartā.
Prov UrduGeoR 15:8  Rab bedīnoṅ kī qurbānī se ghin khātā, lekin sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī duā se ḳhush hotā hai.
Prov UrduGeoR 15:9  Rab bedīn kī rāh se ghin khātā, lekin rāstī kā pīchhā karne wāle se pyār kartā hai.
Prov UrduGeoR 15:10  Jo sahīh rāh ko tark kare us kī saḳht tādīb kī jāegī, jo nasīhat se nafrat kare wuh mar jāegā.
Prov UrduGeoR 15:11  Pātāl aur ālam-e-arwāh Rab ko sāf nazar āte haiṅ. To phir insānoṅ ke dil use kyoṅ na sāf dikhāī deṅ?
Prov UrduGeoR 15:12  Tānāzan ko dūsroṅ kī nasīhat pasand nahīṅ ātī, is lie wuh dānishmandoṅ ke pās nahīṅ jātā.
Prov UrduGeoR 15:13  Jis kā dil ḳhush hai us kā chehrā khulā rahtā hai, lekin jis kā dil pareshān hai us kī rūh shikastā rahtī hai.
Prov UrduGeoR 15:14  Samajhdār kā dil ilm-o-irfān kī talāsh meṅ rahtā, lekin ahmaq hamāqat kī charāgāh meṅ chartā rahtā hai.
Prov UrduGeoR 15:15  Musībatzadā ke tamām din bure haiṅ, lekin jis kā dil ḳhush hai wuh rozānā jashn manātā hai.
Prov UrduGeoR 15:16  Jo ġharīb Rab kā ḳhauf māntā hai us kā hāl us karoṛpati se kahīṅ behtar hai jo baṛī bechainī se zindagī guzārtā hai.
Prov UrduGeoR 15:17  Jahāṅ muhabbat hai wahāṅ sabzī kā sālan bahut hai, jahāṅ nafrat hai wahāṅ moṭe-tāze bachhṛe kī ziyāfat bhī befāydā hai.
Prov UrduGeoR 15:18  Ġhusīlā ādmī jhagaṛe chheṛtā rahtā jabki tahammul karne wālā logoṅ ke ġhusse ko ṭhanḍā kar detā hai.
Prov UrduGeoR 15:19  Kāhil kā rāstā kāṅṭedār bāṛ kī mānind hai, lekin diyānatdāroṅ kī rāh pakkī saṛak hī hai.
Prov UrduGeoR 15:20  Dānishmand beṭā apne bāp ke lie ḳhushī kā bāis hai, lekin ahmaq apnī māṅ ko haqīr jāntā hai.
Prov UrduGeoR 15:21  Nāsamajh ādmī hamāqat se lutfandoz hotā, lekin samajhdār ādmī sīdhī rāh par chaltā hai.
Prov UrduGeoR 15:22  Jahāṅ salāh-mashwarā nahīṅ hotā wahāṅ mansūbe nākām rah jāte haiṅ, jahāṅ bahut-se mushīr hote haiṅ wahāṅ kāmyābī hotī hai.
Prov UrduGeoR 15:23  Insān mauzūṅ jawāb dene se ḳhush ho jātā hai, waqt par munāsib bāt kitnī achchhī hotī hai.
Prov UrduGeoR 15:24  Zindagī kī rāh chaṛhtī rahtī hai tāki samajhdār us par chalte hue Pātāl meṅ utarne se bach jāe.
Prov UrduGeoR 15:25  Rab mutakabbir kā ghar ḍhā detā, lekin bewā kī zamīn kī hudūd mahfūz rakhtā hai.
Prov UrduGeoR 15:26  Rab bure mansūboṅ se ghin khātā hai, aur mehrbān alfāz us ke nazdīk pāk haiṅ.
Prov UrduGeoR 15:27  Jo nājāyz nafā kamāe wuh apne ghar par āfat lātā hai, lekin jo rishwat se nafrat rakhe wuh jītā rahegā.
Prov UrduGeoR 15:28  Rāstbāz kā dil soch-samajhkar jawāb detā hai, lekin bedīn kā muṅh zor se ubalne wālā chashmā hai jis se burī bāteṅ nikaltī rahtī haiṅ.
Prov UrduGeoR 15:29  Rab bedīnoṅ se dūr rahtā, lekin rāstbāz kī duā suntā hai.
Prov UrduGeoR 15:30  Chamaktī āṅkheṅ dil ko ḳhushī dilātī haiṅ, achchhī ḳhabar pūre jism ko tar-o-tāzā kar detī hai.
Prov UrduGeoR 15:31  Jo zindagībaḳhsh nasīhat par dhyān de wuh dānishmandoṅ ke darmiyān hī sukūnat karegā.
Prov UrduGeoR 15:32  Jo tarbiyat kī parwā na kare wuh apne āp ko haqīr jāntā hai, lekin jo nasīhat par dhyān de us kī samajh meṅ izāfā hotā hai.
Prov UrduGeoR 15:33  Rab kā ḳhauf hī wuh tarbiyat hai jis se insān hikmat sīkhtā hai. Pahle farotanī apnā le, kyoṅki yihī izzat pāne kā pahlā qadam hai.