Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 7
Prov UrduGeoR 7:1  Mere beṭe, mere alfāz kī pairawī kar, mere ahkām apne andar mahfūz rakh.
Prov UrduGeoR 7:2  Mere ahkām ke tābe rah to jītā rahegā. Apnī āṅkh kī putlī kī tarah merī hidāyat kī hifāzat kar.
Prov UrduGeoR 7:3  Unheṅ apnī unglī ke sāth bāndh, apne dil kī taḳhtī par kandā kar.
Prov UrduGeoR 7:4  Hikmat se kah, “Tū merī bahan hai,” aur samajh se, “Tū merī qarībī rishtedār hai.”
Prov UrduGeoR 7:5  Yihī tujhe zinākār aurat se mahfūz rakheṅgī, dūsre kī us bīwī se jo apnī chiknī-chupṛī bātoṅ se tujhe phuslāne kī koshish kartī hai.
Prov UrduGeoR 7:6  Ek din maiṅ ne apne ghar kī khiṛkī meṅ se bāhar jhāṅkā
Prov UrduGeoR 7:7  to kyā deḳhtā hūṅ ki wahāṅ kuchh sādālauh naujawān khaṛe haiṅ. Un meṅ se ek beaql jawān nazar āyā.
Prov UrduGeoR 7:8  Wuh galī meṅ se guzar kar zinākār aurat ke kone kī taraf ṭahalne lagā. Chalte chalte wuh us rāste par ā gayā jo aurat ke ghar tak le jātā hai.
Prov UrduGeoR 7:9  Shām kā dhundalkā thā, din ḍhalne aur rāt kā andherā chhāne lagā thā.
Prov UrduGeoR 7:10  Tab ek aurat kasbī kā libās pahne hue chālākī se us se milne āī.
Prov UrduGeoR 7:11  Yih aurat itnī belagām aur ḳhudsar hai ki us ke pāṅw us ke ghar meṅ nahīṅ ṭikte.
Prov UrduGeoR 7:12  Kabhī wuh galī meṅ, kabhī chaukoṅ meṅ hotī hai, har kone par wuh tāk meṅ baiṭhī rahtī hai.
Prov UrduGeoR 7:13  Ab us ne naujawān ko pakaṛ kar use bosā diyā. Behayā nazar us par ḍāl kar us ne kahā,
Prov UrduGeoR 7:14  “Mujhe salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh karnī thīṅ, aur āj hī maiṅ ne apnī mannateṅ pūrī kīṅ.
Prov UrduGeoR 7:15  Is lie maiṅ nikal kar tujh se milne āī, maiṅ ne terā patā kiyā aur ab tū mujhe mil gayā hai.
Prov UrduGeoR 7:16  Maiṅ ne apne bistar par Misr ke rangīn kambal bichhāe,
Prov UrduGeoR 7:17  us par mur, ūd aur dārchīnī kī ḳhushbū chhiṛkī hai.
Prov UrduGeoR 7:18  Āo, ham subah tak muhabbat kā pyālā tah tak pī leṅ, ham ishqbāzī se lutfandoz hoṅ!
Prov UrduGeoR 7:19  Kyoṅki merā ḳhāwind ghar meṅ nahīṅ hai, wuh lambe safr ke lie rawānā huā hai.
Prov UrduGeoR 7:20  Wuh baṭwe meṅ paise ḍāl kar chalā gayā hai aur pūre chāṅd tak wāpas nahīṅ āegā.”
Prov UrduGeoR 7:21  Aisī bāteṅ karte karte aurat ne naujawān ko tarġhīb de kar apnī chiknī-chupṛī bātoṅ se warġhalāyā.
Prov UrduGeoR 7:22  Naujawān sīdhā us ke pīchhe yoṅ ho liyā jis tarah bail zabah hone ke lie jātā yā hiran uchhal kar phande meṅ phaṅs jātā hai.
Prov UrduGeoR 7:23  Kyoṅki ek waqt āegā ki tīr us kā dil chīr ḍālegā. Lekin filhāl us kī hālat us chiṛiyā kī mānind hai jo uṛ kar jāl meṅ ā jātī aur ḳhayāl tak nahīṅ kartī ki merī jān ḳhatre meṅ hai.
Prov UrduGeoR 7:24  Chunāṅche mere beṭo, merī suno, mere muṅh kī bātoṅ par dhyān do!
Prov UrduGeoR 7:25  Terā dil bhaṭak kar us taraf ruḳh na kare jahāṅ zinākār aurat phirtī hai, aisā na ho ki tū āwārā ho kar us kī rāhoṅ meṅ ulajh jāe.
Prov UrduGeoR 7:26  Kyoṅki un kī tādād baṛī hai jinheṅ us ne girā kar maut ke ghāṭ utārā hai, us ne muta'addid logoṅ ko mār ḍālā hai.
Prov UrduGeoR 7:27  Us kā ghar Pātāl kā rāstā hai jo logoṅ ko maut kī koṭhaṛiyoṅ tak pahuṅchātā hai.