PROVERBS
Chapter 8
Prov | UrduGeoR | 8:3 | Shahr ke darwāzoṅ par jahāṅ log nikalte aur dāḳhil hote haiṅ wahāṅ hikmat zordār āwāz se pukārtī hai, | |
Prov | UrduGeoR | 8:6 | Suno, kyoṅki maiṅ sharāfat kī bāteṅ kartī hūṅ, aur mere hoṅṭ sachchāī pesh karte haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 8:9 | Samajhdār jāntā hai ki merī bāteṅ sab durust haiṅ, ilm rakhne wāle ko mālūm hai ki wuh sahīh haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 8:11 | Kyoṅki hikmat motiyoṅ se kahīṅ behtar hai, koī bhī ḳhazānā us kā muqābalā nahīṅ kar saktā. | |
Prov | UrduGeoR | 8:13 | Jo Rab kā ḳhauf māntā hai wuh burāī se nafrat kartā hai. Mujhe ġhurūr, takabbur, ġhalat chāl-chalan aur ṭeṛhī bātoṅ se nafrat hai. | |
Prov | UrduGeoR | 8:14 | Mere pās achchhā mashwarā aur kāmyābī hai. Merā dūsrā nām samajh hai, aur mujhe quwwat hāsil hai. | |
Prov | UrduGeoR | 8:17 | Jo mujhe pyār karte haiṅ unheṅ maiṅ pyār kartī hūṅ, aur jo mujhe ḍhūṅḍte haiṅ wuh mujhe pā lete haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 8:19 | Merā phal sone balki ḳhālis sone se kahīṅ behtar hai, merī paidāwār ḳhālis chāṅdī par sabqat rakhtī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 8:21 | Jo mujh se muhabbat rakhte haiṅ unheṅ maiṅ mīrās meṅ daulat muhaiyā kartī hūṅ. Un ke godām bhare rahte haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 8:22 | Jab Rab taḳhlīq kā silsilā amal meṅ lāyā to pahle us ne mujhe hī banāyā. Qadīm zamāne meṅ maiṅ us ke dīgar kāmoṅ se pahle hī wujūd meṅ āī. | |
Prov | UrduGeoR | 8:23 | Mujhe azal se muqarrar kiyā gayā, ibtidā hī se jab duniyā abhī paidā nahīṅ huī thī. | |
Prov | UrduGeoR | 8:24 | Na samundar kī gahrāiyāṅ, na kasrat se phūṭne wāle chashme the jab maiṅ ne janm liyā. | |
Prov | UrduGeoR | 8:26 | Us waqt Allāh ne na zamīn, na us ke maidān, aur na duniyā ke pahle ḍhele banāe the. | |
Prov | UrduGeoR | 8:27 | Jab us ne āsmān ko us kī jagah par lagāyā aur samundar kī gahrāiyoṅ par zamīn kā ilāqā muqarrar kiyā to maiṅ sāth thī. | |
Prov | UrduGeoR | 8:28 | Jab us ne āsmān par bādaloṅ aur gahrāiyoṅ meṅ sarchashmoṅ kā intazām mazbūt kiyā to maiṅ sāth thī. | |
Prov | UrduGeoR | 8:29 | Jab us ne samundar kī haddeṅ muqarrar kīṅ aur hukm diyā ki pānī un se tajāwuz na kare, jab us ne zamīn kī buniyādeṅ apnī apnī jagah par rakhīṅ | |
Prov | UrduGeoR | 8:30 | to maiṅ māhir kārīgar kī haisiyat se us ke sāth thī. Roz baroz maiṅ lutf kā bāis thī, har waqt us ke huzūr rangraliyāṅ manātī rahī. | |
Prov | UrduGeoR | 8:31 | Maiṅ us kī zamīn kī satah par rangraliyāṅ manātī aur insān se lutfandoz hotī rahī. | |
Prov | UrduGeoR | 8:32 | Chunāṅche mere beṭo, merī suno, kyoṅki mubārak haiṅ wuh jo merī rāhoṅ par chalte haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 8:34 | Mubārak hai wuh jo merī sune, jo roz baroz mere darwāze par chaukas khaṛā rahe, rozānā merī chaukhaṭ par hāzir rahe. | |