Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 16
Prov UrduGeoR 16:1  Insān dil meṅ mansūbe bāndhtā hai, lekin zabān kā jawāb Rab kī taraf se ātā hai.
Prov UrduGeoR 16:2  Insān kī nazar meṅ us kī tamām rāheṅ pāk-sāf haiṅ, lekin Rab hī rūhoṅ kī jāṅch-paṛtāl kartā hai.
Prov UrduGeoR 16:3  Jo kuchh bhī tū karnā chāhe use Rab ke sapurd kar. Tab hī tere mansūbe kāmyāb hoṅge.
Prov UrduGeoR 16:4  Rab ne sab kuchh apne hī maqāsid pūre karne ke lie banāyā hai. Wuh din bhī pahle se muqarrar hai jab bedīn par āfat āegī.
Prov UrduGeoR 16:5  Rab har maġhrūr dil se ghin khātā hai. Yaqīnan wuh sazā se nahīṅ bachegā.
Prov UrduGeoR 16:6  Shafqat aur wafādārī gunāh kā kaffārā detī haiṅ. Rab kā ḳhauf mānane se insān burāī se dūr rahtā hai.
Prov UrduGeoR 16:7  Agar Rab kisī insān kī rāhoṅ se ḳhush ho to wuh us ke dushmanoṅ ko bhī us se sulah karāne detā hai.
Prov UrduGeoR 16:8  Insāf se thoṛā-bahut kamānā nāinsāfī se bahut daulat jamā karne se kahīṅ behtar hai.
Prov UrduGeoR 16:9  Insān apne dil meṅ mansūbe bāndhtā rahtā hai, lekin Rab hī muqarrar kartā hai ki wuh āḳhirkār kis rāh par chal paṛe.
Prov UrduGeoR 16:10  Bādshāh ke hoṅṭ goyā ilāhī faisle pesh karte haiṅ, us kā muṅh adālat karte waqt bewafā nahīṅ hotā.
Prov UrduGeoR 16:11  Rab durust tarāzū kā mālik hai, usī ne tamām bāṭoṅ kā intazām qāym kiyā.
Prov UrduGeoR 16:12  Bādshāh bedīnī se ghin khātā hai, kyoṅki us kā taḳht rāstbāzī kī buniyād par mazbūt rahtā hai.
Prov UrduGeoR 16:13  Bādshāh rāstbāz hoṅṭoṅ se ḳhush hotā aur sāf bāt karne wāle se muhabbat rakhtā hai.
Prov UrduGeoR 16:14  Bādshāh kā ġhussā maut kā peshḳhaimā hai, lekin dānishmand use ṭhanḍā karne ke tarīqe jāntā hai.
Prov UrduGeoR 16:15  Jab bādshāh kā chehrā khil uṭhe to matlab zindagī hai. Us kī manzūrī mausam-e-bahār ke tar-o-tāzā karne wāle bādal kī mānind hai.
Prov UrduGeoR 16:16  Hikmat kā husūl sone se kahīṅ behtar aur samajh pānā chāṅdī se kahīṅ baṛh kar hai.
Prov UrduGeoR 16:17  Diyānatdār kī mazbūt rāh bure kām se dūr rahtī hai, jo apnī rāh kī pahrādārī kare wuh apnī jān bachāe rakhtā hai.
Prov UrduGeoR 16:18  Tabāhī se pahle ġhurūr aur girne se pahle takabbur ātā hai.
Prov UrduGeoR 16:19  Farotanī se zarūratmandoṅ ke darmiyān basnā ghamanḍiyoṅ ke lūṭe hue māl meṅ sharīk hone se kahīṅ behtar hai.
Prov UrduGeoR 16:20  Jo kalām par dhyān de wuh ḳhushhāl hogā, mubārak hai wuh jo Rab par bharosā rakhe.
Prov UrduGeoR 16:21  Jo dil se dānishmand hai use samajhdār qarār diyā jātā hai, aur mīṭhe alfāz tālīm meṅ izāfā karte haiṅ.
Prov UrduGeoR 16:22  Fahm apne mālik ke lie zindagī kā sarchashmā hai, lekin ahmaq kī apnī hī hamāqat use sazā detī hai.
Prov UrduGeoR 16:23  Dānishmand kā dil samajh kī bāteṅ zabān par lātā aur tālīm dene meṅ hoṅṭoṅ kā sahārā bantā hai.
Prov UrduGeoR 16:24  Mehrbān alfāz ḳhālis shahd haiṅ, wuh jān ke lie shīrīṅ aur pūre jism ko tar-o-tāzā kar dete haiṅ.
Prov UrduGeoR 16:25  Aisī rāh bhī hotī hai jo deḳhne meṅ to ṭhīk lagtī hai go us kā anjām maut hai.
Prov UrduGeoR 16:26  Mazdūr kā ḳhālī peṭ use kām karne par majbūr kartā, us kī bhūk use hāṅktī rahtī hai.
Prov UrduGeoR 16:27  Sharīr kured kured kar ġhalat kām nikāl letā, us ke hoṅṭoṅ par jhulsāne wālī āg rahtī hai.
Prov UrduGeoR 16:28  Kajrau ādmī jhagaṛe chheṛtā rahtā, aur tohmat lagāne wālā dilī dostoṅ meṅ bhī raḳhnā ḍāltā hai.
Prov UrduGeoR 16:29  Zālim apne paṛosī ko warġhalā kar ġhalat rāh par le jātā hai.
Prov UrduGeoR 16:30  Jo āṅkh māre wuh ġhalat mansūbe bāndh rahā hai, jo apne hoṅṭ chabāe wuh ġhalat kām karne par tulā huā hai.
Prov UrduGeoR 16:31  Safed bāl ek shāndār tāj haiṅ jo rāstbāz zindagī guzārne se hāsil hote haiṅ.
Prov UrduGeoR 16:32  Tahammul karne wālā sūrme se sabqat letā hai, jo apne āp ko qābū meṅ rakhe wuh shahr ko shikast dene wāle se bartar hai.
Prov UrduGeoR 16:33  Insān to qurā ḍāltā hai, lekin us kā har faislā Rab kī taraf se hai.