PROVERBS
Chapter 12
Prov | UrduGeoR | 12:1 | Jise ilm-o-irfān pyārā hai use tarbiyat bhī pyārī hai, jise nasīhat se nafrat hai wuh beaql hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:2 | Rab achchhe ādmī se ḳhush hotā hai jabki wuh sāzish karne wāle ko qusūrwār ṭhahrātā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:3 | Insān bedīnī kī buniyād par qāym nahīṅ rah saktā jabki rāstbāz kī jaṛeṅ ukhāṛī nahīṅ jā saktīṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 12:4 | Sughaṛ bīwī apne shauhar kā tāj hai, lekin jo shauhar kī ruswāī kā bāis hai wuh us kī haḍḍiyoṅ meṅ saṛāhaṭ kī mānind hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:6 | Bedīnoṅ ke alfāz logoṅ ko qatl karne kī tāk meṅ rahte haiṅ jabki sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī bāteṅ logoṅ ko chhuṛā letī haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 12:7 | Bedīnoṅ ko ḳhāk meṅ yoṅ milāyā jātā hai ki un kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahtā, lekin rāstbāz kā ghar qāym rahtā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:8 | Kisī kī jitnī aql-o-samajh hai utnā hī log us kī tārīf karte haiṅ, lekin jis ke zahan meṅ futūr hai use haqīr jānā jātā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:9 | Nichle tabqe kā jo ādmī apnī zimmedāriyāṅ adā kartā hai wuh us ādmī se kahīṅ behtar hai jo naḳhrā baghārtā hai go us ke pās roṭī bhī nahīṅ hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:10 | Rāstbāz apne maweshī kā bhī ḳhayāl kartā hai jabki bedīn kā dil zālim hī zālim hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:11 | Jo apnī zamīn kī khetībāṛī kare us ke pās kasrat kā khānā hogā, lekin jo fuzūl chīzoṅ ke pīchhe paṛ jāe wuh nāsamajh hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:12 | Bedīn dūsroṅ ko jāl meṅ phaṅsāne se apnā dil bahlātā hai, lekin rāstbāz kī jaṛ phaldār hotī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:13 | Sharīr apnī ġhalat bātoṅ ke jāl meṅ ulajh jātā jabki rāstbāz musībat se bach jātā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:14 | Insān apne muṅh ke phal se ḳhūb ser ho jātā hai, aur jo kām us ke hāthoṅ ne kiyā us kā ajr use zarūr milegā. | |
Prov | UrduGeoR | 12:15 | Ahmaq kī nazar meṅ us kī apnī rāh ṭhīk hai, lekin dānishmand dūsroṅ ke mashware par dhyān detā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:16 | Ahmaq ek dam apnī nārāzī kā izhār kartā hai, lekin dānā apnī badnāmī chhupāe rakhtā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:17 | Diyānatdār gawāh khule taur par sachchāī bayān kartā hai jabki jhūṭā gawāh dhokā hī dhokā pesh kartā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:18 | Gappeṅ hāṅkne wāle kī bāteṅ talwār kī tarah zaḳhmī kar detī haiṅ jabki dānishmand kī zabān shifā detī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:19 | Sachche hoṅṭ hameshā tak qāym rahte haiṅ jabki jhūṭī zabān ek hī lamhe ke bād ḳhatm ho jātī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:20 | Bure mansūbe bāndhne wāle kā dil dhoke se bharā rahtā jabki salāmatī ke mashware dene wāle kā dil ḳhushī se chhalaktā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:21 | Koī bhī āfat rāstbāz par nahīṅ āegī jabki dukh taklīf bedīnoṅ kā dāman kabhī nahīṅ chhoṛegī. | |
Prov | UrduGeoR | 12:22 | Rab farebdeh hoṅṭoṅ se ghin khātā hai, lekin jo wafādārī se zindagī guzārte haiṅ un se wuh ḳhush hotā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:23 | Samajhdār apnā ilm chhupāe rakhtā jabki ahmaq apne dil kī hamāqat buland āwāz se sab ko pesh kartā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:24 | Jis ke hāth mehnatī haiṅ wuh hukūmat karegā, lekin jis ke hāth ḍhīle haiṅ use begār meṅ kām karnā paṛegā. | |
Prov | UrduGeoR | 12:25 | Jis ke dil meṅ pareshānī hai wuh dabā rahtā hai, lekin koī bhī achchhī bāt use ḳhushī dilātī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:26 | Rāstbāz apnī charāgāh mālūm kar letā hai, lekin bedīnoṅ kī rāh unheṅ āwārā phirne detī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 12:27 | Ḍhīlā ādmī apnā shikār nahīṅ pakaṛ saktā jabki mehnatī shaḳhs kasrat kā māl hāsil kar letā hai. | |