PROVERBS
Chapter 31
Prov | UrduGeoR | 31:1 | Zail meṅ Massā ke bādshāh Lamuel kī kahāwateṅ haiṅ. Us kī māṅ ne use yih tālīm dī, | |
Prov | UrduGeoR | 31:2 | Ai mere beṭe, mere peṭ ke phal, jo merī mannatoṅ se paidā huā, maiṅ tujhe kyā batāūṅ? | |
Prov | UrduGeoR | 31:3 | Apnī pūrī tāqat auratoṅ par zāe na kar, un par jo bādshāhoṅ kī tabāhī kā bāis haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 31:4 | Ai Lamuel, bādshāhoṅ ke lie mai pīnā munāsib nahīṅ, hukmrānoṅ ke lie sharāb kī ārzū rakhnā mauzūṅ nahīṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 31:9 | Apnā muṅh khol kar insāf se adālat kar aur musībatzadā aur ġharīboṅ ke huqūq mahfūz rakh. | |
Prov | UrduGeoR | 31:15 | Wuh pau phaṭne se pahle hī jāg uṭhtī hai tāki apne ghar wāloṅ ke lie khānā aur apnī naukarāniyoṅ ke lie un kā hissā taiyār kare. | |
Prov | UrduGeoR | 31:16 | Soch-bichār ke bād wuh khet ḳharīd letī, apne kamāe hue paisoṅ se angūr kā bāġh lagā letī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 31:18 | Wuh mahsūs kartī hai, “Merā kārobār fāydāmand hai,” is lie us kā charāġh rāt ke waqt bhī nahīṅ bujhtā. | |
Prov | UrduGeoR | 31:20 | Wuh apnī muṭṭhī musībatzadoṅ aur ġharīboṅ ke lie khol kar un kī madad kartī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 31:21 | Jab barf paṛe to use ghar wāloṅ ke bāre meṅ koī ḍar nahīṅ, kyoṅki sab garm garm kapṛe pahne hue haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 31:22 | Apne bistar ke lie wuh achchhe kambal banā letī, aur ḳhud wuh bārīk katān aur arġhawānī rang ke libās pahne phirtī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 31:23 | Shahr ke darwāze meṅ baiṭhe mulk ke buzurg us ke shauhar se ḳhūb wāqif haiṅ, aur jab kabhī koī faislā karnā ho to wuh bhī shūrā meṅ sharīk hotā hai. | |
Prov | UrduGeoR | 31:24 | Bīwī kapṛoṅ kī silāī karke unheṅ faroḳht kartī hai, saudāgar us ke kamarband ḳharīd lete haiṅ. | |
Prov | UrduGeoR | 31:25 | Wuh tāqat aur waqār se mulabbas rahtī aur haṅs kar āne wāle dinoṅ kā sāmnā kartī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 31:27 | Wuh sustī kī roṭī nahīṅ khātī balki apne ghar meṅ har muāmale kī dekh-bhāl kartī hai. | |
Prov | UrduGeoR | 31:28 | Us ke beṭe khaṛe ho kar use mubārak kahte haiṅ, us kā shauhar bhī us kī tārīf karke kahtā hai, | |
Prov | UrduGeoR | 31:29 | “Bahut-sī aurateṅ sughaṛ sābit huī haiṅ, lekin tū un sab par sabqat rakhtī hai!” | |
Prov | UrduGeoR | 31:30 | Dilfarebī, dhokā aur husn pal-bhar kā hai, lekin jo aurat Allāh kā ḳhauf māne wuh qābil-e-tārīf hai. | |