Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 6
Prov UrduGeoR 6:1  Mere beṭe, kyā tū apne paṛosī kā zāmin banā hai? Kyā tū ne hāth milā kar wādā kiyā hai ki maiṅ kisī dūsre kā zimmedār ṭhahrūṅga?
Prov UrduGeoR 6:2  Kyā tū apne wāde se bandhā huā, apne muṅh ke alfāz se phaṅsā huā hai?
Prov UrduGeoR 6:3  Aisā karne se tū apne paṛosī ke hāth meṅ ā gayā hai, is lie apnī jān ko chhuṛāne ke lie us ke sāmne aundhe muṅh ho kar use apnī minnat-samājat se tang kar.
Prov UrduGeoR 6:4  Apnī āṅkhoṅ ko sone na de, apne papoṭoṅ ko ūṅghne na de jab tak tū is zimmedārī se fāriġh na ho jāe.
Prov UrduGeoR 6:5  Jis tarah ġhazāl shikārī ke hāth se aur parindā chiṛīmār ke hāth se chhūṭ jātā hai usī tarah sirtoṛ koshish kar tāki terī jān chhūṭ jāe.
Prov UrduGeoR 6:6  Ai kāhil, chiyūṅṭī ke pās jā kar us kī rāhoṅ par ġhaur kar! Us ke namūne se hikmat sīkh le.
Prov UrduGeoR 6:7  Us par na sardār, na afsar yā hukmrān muqarrar hai,
Prov UrduGeoR 6:8  to bhī wuh garmiyoṅ meṅ sardiyoṅ ke lie khāne kā zaḳhīrā kar rakhtī, fasal ke dinoṅ meṅ ḳhūb ḳhurāk ikaṭṭhī kartī hai.
Prov UrduGeoR 6:9  Ai kāhil, tū mazīd kab tak soyā rahegā, kab jāg uṭhegā?
Prov UrduGeoR 6:10  Tū kahtā hai, “Mujhe thoṛī der sone de, thoṛī der ūṅghne de, thoṛī der hāth par hāth dhare baiṭhne de tāki ārām kar sakūṅ.”
Prov UrduGeoR 6:11  Lekin ḳhabardār, jald hī ġhurbat rāhzan kī tarah tujh par āegī, muflisī hathiyār se lais ḍākū kī tarah tujh par ṭūṭ paṛegī.
Prov UrduGeoR 6:12  Badmāsh aur kamīnā kis tarah pahchānā jātā hai? Wuh muṅh meṅ jhūṭ lie phirtā hai,
Prov UrduGeoR 6:13  apnī āṅkhoṅ, pāṅwoṅ aur ungliyoṅ se ishārā karke tujhe fareb ke jāl meṅ phaṅsāne kī koshish kartā hai.
Prov UrduGeoR 6:14  Us ke dil meṅ kajī hai, aur wuh har waqt bure mansūbe bāndhne meṅ lagā rahtā hai. Jahāṅ bhī jāe wahāṅ jhagaṛe chhiṛ jāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 6:15  Lekin aise shaḳhs par achānak hī āfat āegī. Ek hī lamhe meṅ wuh pāsh pāsh ho jāegā. Tab us kā ilāj nāmumkin hogā.
Prov UrduGeoR 6:16  Rab chhih chīzoṅ se nafrat balki sāt chīzoṅ se ghin khātā hai,
Prov UrduGeoR 6:17  wuh āṅkheṅ jo ġhurūr se deḳhtī haiṅ, wuh zabān jo jhūṭ boltī hai, wuh hāth jo begunāhoṅ ko qatl karte haiṅ,
Prov UrduGeoR 6:18  wuh dil jo bure mansūbe bāndhtā hai, wuh pāṅw jo dūsroṅ ko nuqsān pahuṅchāne ke lie bhāgte haiṅ,
Prov UrduGeoR 6:19  wuh gawāh jo adālat meṅ jhūṭ boltā aur wuh jo bhāiyoṅ meṅ jhagaṛā paidā kartā hai.
Prov UrduGeoR 6:20  Mere beṭe, apne bāp ke hukm se lipṭā rah, aur apnī māṅ kī hidāyat nazarandāz na kar.
Prov UrduGeoR 6:21  Unheṅ yoṅ apne dil ke sāth bāndhe rakh ki kabhī dūr na ho jāeṅ. Unheṅ hār kī tarah apne gale meṅ ḍāl le.
Prov UrduGeoR 6:22  Chalte waqt wuh terī rāhnumāī kareṅ, ārām karte waqt terī pahrādārī kareṅ, jāgte waqt tujh se hamkalām hoṅ.
Prov UrduGeoR 6:23  Kyoṅki bāp kā hukm charāġh aur māṅ kī hidāyat raushnī hai, tarbiyat kī ḍānṭ-ḍapaṭ zindagībaḳhsh rāh hai.
Prov UrduGeoR 6:24  Yoṅ tū badkār aurat aur dūsre kī zinākār bīwī kī chiknī-chupṛī bātoṅ se mahfūz rahegā.
Prov UrduGeoR 6:25  Dil meṅ us ke husn kā lālach na kar, aisā na ho ki wuh palak mār mār kar tujhe pakaṛ le.
Prov UrduGeoR 6:26  Kyoṅki go kasbī ādmī ko us ke paise se mahrūm kartī hai, lekin dūsre kī zinākār bīwī us kī qīmtī jān kā shikār kartī hai.
Prov UrduGeoR 6:27  Kyā insān apnī jholī meṅ bhaṛaktī āg yoṅ uṭhā kar phir saktā hai ki us ke kapṛe na jaleṅ?
Prov UrduGeoR 6:28  Yā kyā koī dahakte koeloṅ par yoṅ phir saktā hai ki us ke pāṅw jhulas na jāeṅ?
Prov UrduGeoR 6:29  Isī tarah jo kisī dūsre kī bīwī se hambistar ho jāe us kā anjām burā hai, jo bhī dūsre kī bīwī ko chheṛe use sazā milegī.
Prov UrduGeoR 6:30  Jo bhūk ke māre apnā peṭ bharne ke lie chorī kare use log had se zyādā haqīr nahīṅ jānte,
Prov UrduGeoR 6:31  hālāṅki use chorī kie hue māl ko sāt gunā wāpas karnā hai aur us ke ghar kī daulat jātī rahegī.
Prov UrduGeoR 6:32  Lekin jo kisī dūsre kī bīwī ke sāth zinā kare wuh beaql hai. Jo apnī jān ko tabāh karnā chāhe wuhī aisā kartā hai.
Prov UrduGeoR 6:33  Us kī piṭāī aur be'izzatī kī jāegī, aur us kī sharmindagī kabhī nahīṅ miṭegī.
Prov UrduGeoR 6:34  Kyoṅki shauhar ġhairat khā kar aur taish meṅ ā kar berahmī se badlā legā.
Prov UrduGeoR 6:35  Na wuh koī muāwazā qabūl karegā, na rishwat legā, ḳhāh kitnī zyādā kyoṅ na ho.