Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 8
Job UrduGeoR 8:2  “Tū kab tak is qism kī bāteṅ karegā? Kab tak tere muṅh se āṅdhī ke jhoṅke nikleṅge?
Job UrduGeoR 8:3  Kyā Allāh insāf kā ḳhūn kar saktā, kyā Qādir-e-mutlaq rāstī ko āge pīchhe kar saktā hai?
Job UrduGeoR 8:4  Tere beṭoṅ ne us kā gunāh kiyā hai, is lie us ne unheṅ un ke jurm ke qabze meṅ chhoṛ diyā.
Job UrduGeoR 8:5  Ab tere lie lāzim hai ki tū Allāh kā tālib ho aur Qādir-e-mutlaq se iltijā kare,
Job UrduGeoR 8:6  ki tū pāk ho aur sīdhī rāh par chale. Phir wuh ab bhī terī ḳhātir josh meṅ ā kar terī rāstbāzī kī sukūnatgāh ko bahāl karegā.
Job UrduGeoR 8:7  Tab terā mustaqbil nihāyat azīm hogā, ḳhāh terī ibtidāī hālat kitnī past kyoṅ na ho.
Job UrduGeoR 8:8  Guzashtā nasl se zarā pūchh le, us par dhyān de jo un ke bāpdādā ne tahqīqāt ke bād mālūm kiyā.
Job UrduGeoR 8:9  Kyoṅki ham ḳhud kal hī paidā hue aur kuchh nahīṅ jānte, zamīn par hamāre din sāy jaise ārizī haiṅ.
Job UrduGeoR 8:10  Lekin yih tujhe tālīm de kar bāt batā sakte haiṅ, yih tujhe apne dil meṅ jamāshudā ilm pesh kar sakte haiṅ.
Job UrduGeoR 8:11  Kyā ābī narsal wahāṅ ugtā hai jahāṅ daldal nahīṅ? Kyā sarkanḍā wahāṅ phaltā-phūltā hai jahāṅ pānī nahīṅ?
Job UrduGeoR 8:12  Us kī koṅpleṅ abhī nikal rahī haiṅ aur use toṛā nahīṅ gayā ki agar pānī na mile to bāqī hariyālī se pahle hī sūkh jātā hai.
Job UrduGeoR 8:13  Yih hai un kā anjām jo Allāh ko bhūl jāte haiṅ, isī tarah bedīn kī ummīd jātī rahtī hai.
Job UrduGeoR 8:14  Jis par wuh etamād kartā hai wuh nihāyat hī nāzuk hai, jis par us kā bharosā hai wuh makaṛī ke jāle jaisā kamzor hai.
Job UrduGeoR 8:15  Jab wuh jāle par ṭek lagāe to khaṛā nahīṅ rahtā, jab use pakaṛ le to qāym nahīṅ rahtā.
Job UrduGeoR 8:16  Bedīn dhūp meṅ shādāb bel kī mānind hai. Us kī koṅpleṅ chāroṅ taraf phail jātī,
Job UrduGeoR 8:17  us kī jaṛeṅ patthar ke ḍher par chhā kar un meṅ ṭik jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 8:18  Lekin agar use ukhāṛā jāe to jis jagah pahle ug rahī thī wuh us kā inkār karke kahegī, ‘Maiṅ ne tujhe kabhī dekhā bhī nahīṅ.’
Job UrduGeoR 8:19  Yih hai us kī rāh kī nām-nihād ḳhushī! Jahāṅ pahle thā wahāṅ dīgar paude zamīn se phūṭ nikleṅge.
Job UrduGeoR 8:20  Yaqīnan Allāh be'ilzām ādmī ko mustarad nahīṅ kartā, yaqīnan wuh sharīr ādmī ke hāth mazbūt nahīṅ kartā.
Job UrduGeoR 8:21  Wuh ek bār phir tujhe aisī ḳhushī baḳhshegā ki tū haṅs uṭhegā aur shādmānī ke nāre lagāegā.
Job UrduGeoR 8:22  Jo tujh se nafrat karte haiṅ wuh sharm se mulabbas ho jāeṅge, aur bedīnoṅ ke ḳhaime nest-o-nābūd hoṅge.”