Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
NUMBERS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 14
Numb UrduGeoR 14:1  Us rāt tamām log chīḳheṅ mār mār kar rote rahe.
Numb UrduGeoR 14:2  Sab Mūsā aur Hārūn ke ḳhilāf buṛbuṛāne lage. Pūrī jamāt ne un se kahā, “Kāsh ham Misr yā is registān meṅ mar gae hote!
Numb UrduGeoR 14:3  Rab hameṅ kyoṅ us mulk meṅ le jā rahā hai? Kyā is lie ki dushman hameṅ talwār se qatl kare aur hamāre bāl-bachchoṅ ko lūṭ le? Kyā behtar nahīṅ hogā ki ham Misr wāpas jāeṅ?”
Numb UrduGeoR 14:4  Unhoṅ ne ek dūsre se kahā, “Āo, ham rāhnumā chun kar Misr wāpas chale jāeṅ.”
Numb UrduGeoR 14:5  Tab Mūsā aur Hārūn pūrī jamāt ke sāmne muṅh ke bal gire.
Numb UrduGeoR 14:6  Lekin Yashua bin Nūn aur Kālib bin Yafunnā bāqī das jāsūsoṅ se farq the. Pareshānī ke ālam meṅ unhoṅ ne apne kapṛe phāṛ kar
Numb UrduGeoR 14:7  pūrī jamāt se kahā, “Jis mulk meṅ se ham guzare aur jis kī taftīsh ham ne kī wuh nihāyat hī achchhā hai.
Numb UrduGeoR 14:8  Agar Rab ham se ḳhush hai to wuh zarūr hameṅ us mulk meṅ le jāegā jis meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. Wuh hameṅ zarūr yih mulk degā.
Numb UrduGeoR 14:9  Rab se baġhāwat mat karnā. Us mulk ke rahne wāloṅ se na ḍareṅ. Ham unheṅ haṛap kar jāeṅge. Un kī panāh un se jātī rahī hai jabki Rab hamāre sāth hai. Chunāṅche un se mat ḍareṅ.”
Numb UrduGeoR 14:10  Yih sun kar pūrī jamāt unheṅ sangsār karne ke lie taiyār huī. Lekin achānak Rab kā jalāl mulāqāt ke ḳhaime par zāhir huā, aur tamām Isrāīliyoṅ ne use dekhā.
Numb UrduGeoR 14:11  Rab ne Mūsā se kahā, “Yih log mujhe kab tak haqīr jāneṅge? Wuh kab tak mujh par īmān rakhne se inkār kareṅge agarche maiṅ ne un ke darmiyān itne mojize kie haiṅ?
Numb UrduGeoR 14:12  Maiṅ unheṅ wabā se mār ḍālūṅgā aur unheṅ rū-e-zamīn par se miṭā dūṅgā. Un kī jagah maiṅ tujh se ek qaum banāūṅgā jo un se baṛī aur tāqatwar hogī.”
Numb UrduGeoR 14:13  Lekin Mūsā ne Rab se kahā, “Phir Misrī yih sun leṅge! Kyoṅki tū ne apnī qudrat se in logoṅ ko Misr se nikāl kar yahāṅ tak pahuṅchāyā hai.
Numb UrduGeoR 14:14  Misrī yih bāt Kanān ke bāshindoṅ ko batāeṅge. Yih log pahle se sun chuke haiṅ ki Rab is qaum ke sāth hai, ki tujhe rūbarū dekhā jātā hai, ki terā bādal un ke ūpar ṭhahrā rahtā hai, aur ki tū din ke waqt bādal ke satūn meṅ aur rāt ko āg ke satūn meṅ in ke āge āge chaltā hai.
Numb UrduGeoR 14:15  Agar tū ek dam is pūrī qaum ko tabāh kar ḍāle to bāqī qaumeṅ yih sun kar kaheṅgī,
Numb UrduGeoR 14:16  ‘Rab in logoṅ ko us mulk meṅ le jāne ke qābil nahīṅ thā jis kā wādā us ne un se qasam khā kar kiyā thā. Isī lie us ne unheṅ registān meṅ halāk kar diyā.’
Numb UrduGeoR 14:17  Ai Rab, ab apnī qudrat yoṅ zāhir kar jis tarah tū ne farmāyā hai. Kyoṅki tū ne kahā,
Numb UrduGeoR 14:18  ‘Rab tahammul aur shafqat se bharpūr hai. Wuh gunāh aur nāfarmānī muāf kartā hai, lekin har ek ko us kī munāsib sazā bhī detā hai. Jab wālidain gunāh kareṅ to un kī aulād ko bhī tīsrī aur chauthī pusht tak sazā ke natāyj bhugatne paṛeṅge.’
Numb UrduGeoR 14:19  In logoṅ kā qusūr apnī azīm shafqat ke mutābiq muāf kar. Unheṅ us tarah muāf kar jis tarah tū unheṅ Misr se nikalte waqt ab tak muāf kartā rahā hai.”
Numb UrduGeoR 14:20  Rab ne jawāb diyā, “Tere kahne par maiṅ ne unheṅ muāf kar diyā hai.
Numb UrduGeoR 14:21  Is ke bāwujūd merī hayāt kī qasam aur mere jalāl kī qasam jo pūrī duniyā ko māmūr kartā hai,
Numb UrduGeoR 14:22  in logoṅ meṅ se koī bhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hogā. Unhoṅ ne merā jalāl aur mere mojize dekhe haiṅ jo maiṅ ne Misr aur registān meṅ kar dikhāe haiṅ. To bhī unhoṅ ne das dafā mujhe āzmāyā aur merī na sunī.
Numb UrduGeoR 14:23  Un meṅ se ek bhī us mulk ko nahīṅ dekhegā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar un ke bāpdādā se kiyā thā. Jis ne bhī mujhe haqīr jānā hai wuh kabhī use nahīṅ dekhegā.
Numb UrduGeoR 14:24  Sirf merā ḳhādim Kālib muḳhtalif hai. Us kī rūh farq hai. Wuh pūre dil se merī pairawī kartā hai, is lie maiṅ use us mulk meṅ le jāūṅgā jis meṅ us ne safr kiyā hai. Us kī aulād mulk mīrās meṅ pāegī.
Numb UrduGeoR 14:25  Lekin filhāl Amālīqī aur Kanānī us kī wādiyoṅ meṅ ābād raheṅge. Chunāṅche kal muṛ kar wāpas chalo. Registān meṅ Bahr-e-Qulzum kī taraf rawānā ho jāo.”
Numb UrduGeoR 14:27  “Yih sharīr jamāt kab tak mere ḳhilāf buṛbuṛātī rahegī? Un ke gile-shikwe mujh tak pahuṅch gae haiṅ.
Numb UrduGeoR 14:28  Is lie unheṅ batāo, ‘Rab farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, maiṅ tumhāre sāth wuhī kuchh karūṅga jo tum ne mere sāmne kahā hai.
Numb UrduGeoR 14:29  Tum is registān meṅ mar kar yihīṅ paṛe rahoge, har ek jo 20 sāl yā is se zāyd kā hai, jo mardumshumārī meṅ ginā gayā aur jo mere ḳhilāf buṛbuṛāyā.
Numb UrduGeoR 14:30  Go maiṅ ne hāth uṭhā kar qasam khāī thī ki maiṅ tujhe us meṅ basāūṅgā tum meṅ se koī bhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hogā. Sirf Kālib bin Yafunnā aur Yashua bin Nūn dāḳhil hoṅge.
Numb UrduGeoR 14:31  Tum ne kahā thā ki dushman hamāre bachchoṅ ko lūṭ leṅge. Lekin unhīṅ ko maiṅ us mulk meṅ le jāūṅgā jise tum ne radd kiyā hai.
Numb UrduGeoR 14:32  Lekin tum ḳhud dāḳhil nahīṅ hoge. Tumhārī lāsheṅ is registān meṅ paṛī raheṅgī.
Numb UrduGeoR 14:33  Tumhāre bachche 40 sāl tak yahāṅ registān meṅ gallābān hoṅge. Unheṅ tumhārī bewafāī ke sabab se us waqt tak taklīf uṭhānī paṛegī jab tak tum meṅ se āḳhirī shaḳhs mar na gayā ho.
Numb UrduGeoR 14:34  Tum ne chālīs din ke daurān us mulk kā jāyzā liyā. Ab tumheṅ chālīs sāl tak apne gunāhoṅ kā natījā bhugatnā paṛegā. Tab tumheṅ patā chalegā ki is kā kyā matlab hai ki maiṅ tumhārī muḳhālafat kartā hūṅ.
Numb UrduGeoR 14:35  Maiṅ, Rab ne yih bāt farmāī hai. Maiṅ yaqīnan yih sab kuchh us sārī sharīr jamāt ke sāth karūṅga jis ne mil kar merī muḳhālafat kī hai. Isī registān meṅ wuh ḳhatm ho jāeṅge, yihīṅ mar jāeṅge.’”
Numb UrduGeoR 14:36  Jin ādmiyoṅ ko Mūsā ne mulk kā jāyzā lene ke lie bhejā thā, Rab ne unheṅ fauran mohlak wabā se mār ḍālā, kyoṅki un ke ġhalat afwāheṅ phailāne se pūrī jamāt buṛbuṛāne lagī thī.
Numb UrduGeoR 14:37  Jin ādmiyoṅ ko Mūsā ne mulk kā jāyzā lene ke lie bhejā thā, Rab ne unheṅ fauran mohlak wabā se mār ḍālā, kyoṅki un ke ġhalat afwāheṅ phailāne se pūrī jamāt buṛbuṛāne lagī thī.
Numb UrduGeoR 14:38  Sirf Yashua bin Nūn aur Kālib bin Yafunnā zindā rahe.
Numb UrduGeoR 14:39  Jab Mūsā ne Rab kī yih bāteṅ Isrāīliyoṅ ko batāīṅ to wuh ḳhūb mātam karne lage.
Numb UrduGeoR 14:40  Aglī subah-sawere wuh uṭhe aur yih kahte hue ūṅche pahāṛī ilāqe ke lie rawānā hue ki ham se ġhaltī huī hai, lekin ab ham hāzir haiṅ aur us jagah kī taraf jā rahe haiṅ jis kā zikr Rab ne kiyā hai.
Numb UrduGeoR 14:41  Lekin Mūsā ne kahā, “Tum kyoṅ Rab kī ḳhilāfwarzī kar rahe ho? Tum kāmyāb nahīṅ hoge.
Numb UrduGeoR 14:42  Wahāṅ na jāo, kyoṅki Rab tumhāre sāth nahīṅ hai. Tum dushmanoṅ ke hāthoṅ shikast khāoge,
Numb UrduGeoR 14:43  kyoṅki wahāṅ Amālīqī aur Kanānī tumhārā sāmnā kareṅge. Chūṅki tum ne apnā muṅh Rab se pher liyā hai is lie wuh tumhāre sāth nahīṅ hogā, aur dushman tumheṅ talwār se mār ḍālegā.”
Numb UrduGeoR 14:44  To bhī wuh apne ġhurūr meṅ jurrat karke ūṅche pahāṛī ilāqe kī taraf baṛhe, hālāṅki na Mūsā aur na ahd ke sandūq hī ne ḳhaimāgāh ko chhoṛā.
Numb UrduGeoR 14:45  Phir us pahāṛī ilāqe meṅ rahne wāle Amālīqī aur Kanānī un par ān paṛe aur unheṅ mārte mārte Hurmā tak titar-bitar kar diyā.