Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LEVITICUS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 25
Levi UrduGeoR 25:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā to lāzim hai ki Rab kī tāzīm meṅ zamīn ek sāl ārām kare.
Levi UrduGeoR 25:3  Chhih sāl ke daurān apne khetoṅ meṅ bīj bonā, apne angūr ke bāġhoṅ kī kāṅṭ-chhāṅṭ karnā aur un kī fasleṅ jamā karnā.
Levi UrduGeoR 25:4  Lekin sātwāṅ sāl zamīn ke lie ārām kā sāl hai, Rab kī tāzīm meṅ Sabat kā sāl. Us sāl na apne khetoṅ meṅ bīj bonā, na apne angūr ke bāġhoṅ kī kāṅṭ-chhāṅṭ karnā.
Levi UrduGeoR 25:5  Jo anāj ḳhud baḳhud ugtā hai us kī kaṭāī na karnā aur jo angūr us sāl lagte haiṅ un ko toṛ kar jamā na karnā, kyoṅki zamīn ko ek sāl ke lie ārām karnā hai.
Levi UrduGeoR 25:6  Albattā jo bhī yih zamīn ārām ke sāl meṅ paidā karegī us se tum apnī rozānā kī zarūriyāt pūrī kar sakte ho yānī tū, tere ġhulām aur launḍiyāṅ, tere mazdūr, tere ġhairshahrī, tere sāth rahne wāle pardesī,
Levi UrduGeoR 25:7  tere maweshī aur terī zamīn par rahne wāle janglī jānwar. Jo kuchh bhī yih zamīn paidā kartī hai wuh khāyā jā saktā hai.
Levi UrduGeoR 25:8  Sāt Sabat ke sāl yānī 49 sāl ke bād ek aur kām karnā hai.
Levi UrduGeoR 25:9  Pachāsweṅ sāl ke sātweṅ mahīne ke dasweṅ din yānī Kaffārā ke din apne mulk kī har jagah narsingā bajānā.
Levi UrduGeoR 25:10  Pachāswāṅ sāl maḳhsūs-o-muqaddas karo aur pūre mulk meṅ elān karo ki tamām bāshindoṅ ko āzād kar diyā jāe. Yih bahālī kā sāl ho jis meṅ har shaḳhs ko us kī milkiyat wāpas kī jāe aur har ġhulām ko āzād kiyā jāe tāki wuh apne rishtedāroṅ ke pās wāpas jā sake.
Levi UrduGeoR 25:11  Yih pachāswāṅ sāl bahālī kā sāl ho, is lie na apne khetoṅ meṅ bīj bonā, na ḳhud baḳhud ugne wāle anāj kī kaṭāī karnā, aur na angūr toṛ kar jamā karnā.
Levi UrduGeoR 25:12  Kyoṅki yih bahālī kā sāl hai jo tumhāre lie maḳhsūs-o-muqaddas hai. Rozānā utnī hī paidāwār lenā ki ek din kī zarūriyāt pūrī ho jāeṅ.
Levi UrduGeoR 25:13  Bahālī ke sāl meṅ har shaḳhs ko us kī milkiyat wāpas kī jāe.
Levi UrduGeoR 25:14  Chunāṅche jab kabhī tum apne kisī hamwatan bhāī ko zamīn bechte yā us se ḳharīdte ho to us se nājāyz fāydā na uṭhānā.
Levi UrduGeoR 25:15  Zamīn kī qīmat is hisāb se muqarrar kī jāe ki wuh agle bahālī ke sāl tak kitne sāl fasleṅ paidā karegī.
Levi UrduGeoR 25:16  Agar bahut sāl rah gae hoṅ to us kī qīmat zyādā hogī, aur agar kam sāl rah gae hoṅ to us kī qīmat kam hogī. Kyoṅki un fasloṅ kī tādād bik rahī hai jo zamīn agle bahālī ke sāl tak paidā kar saktī hai.
Levi UrduGeoR 25:17  Apne hamwatan se nājāyz fāydā na uṭhānā balki Rab apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā, kyoṅki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 25:18  Merī hidāyāt par amal karnā aur mere ahkām ko mān kar un ke mutābiq chalnā. Tab tum apne mulk meṅ mahfūz rahoge.
Levi UrduGeoR 25:19  Zamīn apnī pūrī paidāwār degī, tum ser ho jāoge aur mahfūz rahoge.
Levi UrduGeoR 25:20  Ho saktā hai koī pūchhe, ‘Ham sātweṅ sāl meṅ kyā khāeṅge jabki ham bīj nahīṅ boeṅge aur fasal nahīṅ kāṭeṅge?’
Levi UrduGeoR 25:21  Jawāb yih hai ki maiṅ chhaṭe sāl meṅ zamīn ko itnī barkat dūṅgā ki us sāl kī paidāwār tīn sāl ke lie kāfī hogī.
Levi UrduGeoR 25:22  Jab tum āṭhweṅ sāl bīj bo'oge to tumhāre pās chhaṭe sāl kī itnī paidāwār bāqī hogī ki tum fasal kī kaṭāī tak guzārā kar sakoge.
Levi UrduGeoR 25:23  Koī zamīn bhī hameshā ke lie na bechī jāe, kyoṅki mulk kī tamām zamīn merī hī hai. Tum mere huzūr sirf pardesī aur ġhairshahrī ho.
Levi UrduGeoR 25:24  Mulk meṅ jahāṅ bhī zamīn bik jāe wahāṅ maurūsī mālik kā yih haq mānā jāe ki wuh apnī zamīn wāpas ḳharīd saktā hai.
Levi UrduGeoR 25:25  Agar terā koī hamwatan bhāī ġharīb ho kar apnī kuchh zamīn bechne par majbūr ho jāe to lāzim hai ki us kā sab se qarībī rishtedār use wāpas ḳharīd le.
Levi UrduGeoR 25:26  Ho saktā hai ki aise shaḳhs kā koī qarībī rishtedār na ho jo us kī zamīn wāpas ḳharīd sake, lekin wuh ḳhud kuchh der ke bād itne paise jamā kartā hai ki wuh apnī zamīn wāpas ḳharīd saktā hai.
Levi UrduGeoR 25:27  Is sūrat meṅ wuh hisāb kare ki ḳharīdne wāle ke lie agle bahālī ke sāl tak kitne sāl rah gae haiṅ. Jitnā nuqsān ḳharīdne wāle ko zamīn ko bahālī ke sāl se pahle wāpas dene se pahuṅchegā utne hī paise use dene haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:28  Lekin agar us ke pās itne paise na hoṅ to zamīn agle bahālī ke sāl tak ḳharīdne wāle ke hāth meṅ rahegī. Phir use maurūsī mālik ko wāpas diyā jāegā.
Levi UrduGeoR 25:29  Agar kisī kā ghar fasīldār shahr meṅ hai to jab wuh use bechegā to apnā ghar wāpas ḳharīdne kā haq sirf ek sāl tak rahegā.
Levi UrduGeoR 25:30  Agar pahlā mālik use pahle sāl ke andar andar na ḳharīde to wuh hameshā ke lie ḳharīdne wāle kī maurūsī milkiyat ban jāegā. Wuh bahālī ke sāl meṅ bhī wāpas nahīṅ kiyā jāegā.
Levi UrduGeoR 25:31  Lekin jo ghar aisī ābādī meṅ hai jis kī fasīl na ho wuh dehāt meṅ shumār kiyā jātā hai. Us ke maurūsī mālik ko haq hāsil hai ki har waqt apnā ghar wāpas ḳharīd sake. Bahālī ke sāl meṅ is ghar ko lāziman wāpas kar denā hai.
Levi UrduGeoR 25:32  Lekin Lāwiyoṅ ko yih haq hāsil hai ki wuh apne wuh ghar har waqt ḳharīd sakte haiṅ jo un ke lie muqarrar kie hue shahroṅ meṅ haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:33  Agar aisā ghar kisī Lāwī ke hāth faroḳht kiyā jāe aur wāpas na ḳharīdā jāe to use lāziman bahālī ke sāl meṅ wāpas karnā hai. Kyoṅki Lāwī ke jo ghar un ke muqarrarā shahroṅ meṅ hote haiṅ wuh Isrāīliyoṅ meṅ un kī maurūsī milkiyat haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:34  Lekin jo zamīneṅ shahroṅ ke irdgird maweshī charāne ke lie muqarrar haiṅ unheṅ bechne kī ijāzat nahīṅ hai. Wuh un kī dāymī milkiyat haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:35  Agar terā koī hamwatan bhāī ġharīb ho jāe aur guzārā na kar sake to us kī madad kar. Us tarah us kī madad karnā jis tarah pardesī yā ġhairshahrī kī madad karnī hotī hai tāki wuh tere sāth rahte hue zindagī guzār sake.
Levi UrduGeoR 25:36  Us se kisī tarah kā sūd na lenā balki apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā tāki terā bhāī tere sāth zindagī guzār sake.
Levi UrduGeoR 25:37  Agar wuh terā qarzdār ho to us se sūd na lenā. Isī tarah ḳhurāk bechte waqt us se nafā na lenā.
Levi UrduGeoR 25:38  Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ tumheṅ is lie Misr se nikāl lāyā ki tumheṅ Mulk-e-Kanān dūṅ aur tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 25:39  Agar terā koī Isrāīlī bhāī ġharīb ho kar apne āp ko tere hāth bech ḍāle to us se ġhulām kā-sā kām na karānā.
Levi UrduGeoR 25:40  Us ke sāth mazdūr yā ġhairshahrī kā-sā sulūk karnā. Wuh tere lie bahālī ke sāl tak kām kare.
Levi UrduGeoR 25:41  Phir wuh aur us ke bāl-bachche āzād ho kar apne rishtedāroṅ aur maurūsī zamīn ke pās wāpas jāeṅ.
Levi UrduGeoR 25:42  Chūṅki Isrāīlī mere ḳhādim haiṅ jinheṅ maiṅ Misr se nikāl lāyā is lie unheṅ ġhulāmī meṅ na bechā jāe.
Levi UrduGeoR 25:43  Aise logoṅ par saḳhtī se hukmrānī na karnā balki apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā.
Levi UrduGeoR 25:44  Tum paṛosī mamālik se apne lie ġhulām aur launḍiyāṅ hāsil kar sakte ho.
Levi UrduGeoR 25:45  Jo pardesī ġhairshahrī ke taur par tumhāre mulk meṅ ābād haiṅ unheṅ bhī tum ḳharīd sakte ho. Un meṅ wuh bhī shāmil haiṅ jo tumhāre mulk meṅ paidā hue haiṅ. Wuhī tumhārī milkiyat ban kar
Levi UrduGeoR 25:46  tumhāre beṭoṅ kī mīrās meṅ ā jāeṅ aur wuhī hameshā tumhāre ġhulām raheṅ. Lekin apne hamwatan bhāiyoṅ par saḳht hukmrānī na karnā.
Levi UrduGeoR 25:47  Agar tere mulk meṅ rahne wālā koī pardesī yā ġhairshahrī amīr ho jāe jabki terā koī hamwatan bhāī ġharīb ho kar apne āp ko us pardesī yā ġhairshahrī yā us ke ḳhāndān ke kisī fard ko bech ḍāle
Levi UrduGeoR 25:48  to bik jāne ke bād use āzādī ḳharīdne kā haq hāsil hai. Koī bhāī,
Levi UrduGeoR 25:49  chachā, tāyā, chachā yā tāyā kā beṭā yā koī aur qarībī rishtedār use wāpas ḳharīd saktā hai. Wuh ḳhud bhī apnī āzādī ḳharīd saktā hai agar us ke pās paise kāfī hoṅ.
Levi UrduGeoR 25:50  Is sūrat meṅ wuh apne mālik se mil kar wuh sāl gine jo us ke ḳharīdne se le kar agle bahālī ke sāl tak bāqī haiṅ. Us kī āzādī ke paise us qīmat par mabnī hoṅ jo mazdūr ko itne sāloṅ ke lie die jāte haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:51  Jitne sāl bāqī rah gae haiṅ un ke mutābiq us kī bik jāne kī qīmat meṅ se paise wāpas kar die jāeṅ.
Levi UrduGeoR 25:52  Jitne sāl bāqī rah gae haiṅ un ke mutābiq us kī bik jāne kī qīmat meṅ se paise wāpas kar die jāeṅ.
Levi UrduGeoR 25:53  Us ke sāth sāl basāl mazdūr kā-sā sulūk kiyā jāe. Us kā mālik us par saḳht hukmrānī na kare.
Levi UrduGeoR 25:54  Agar wuh is tarah ke kisī tarīqe se āzād na ho jāe to use aur us ke bachchoṅ ko har hālat meṅ agle bahālī ke sāl meṅ āzād kar denā hai,
Levi UrduGeoR 25:55  kyoṅki Isrāīlī mere hī ḳhādim haiṅ. Wuh mere hī ḳhādim haiṅ jinheṅ maiṅ Misr se nikāl lāyā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.