Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 24
Prov UrduGeoR 24:1  Sharīroṅ se hasad na kar, na un se sohbat rakhne kī ārzū rakh,
Prov UrduGeoR 24:2  kyoṅki un kā dil zulm karne par tulā rahtā hai, un ke hoṅṭ dūsroṅ ko dukh pahuṅchāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 24:3  Hikmat ghar ko tāmīr kartī, samajh use mazbūt buniyād par khaṛā kar detī,
Prov UrduGeoR 24:4  aur ilm-o-irfān us ke kamroṅ ko beshqīmat aur manmohan chīzoṅ se bhar detā hai.
Prov UrduGeoR 24:5  Dānishmand ko tāqat hāsil hotī aur ilm rakhne wāle kī quwwat baṛhtī rahtī hai,
Prov UrduGeoR 24:6  kyoṅki jang karne ke lie hidāyat aur fatah pāne ke lie muta'addid mushīroṅ kī zarūrat hotī hai.
Prov UrduGeoR 24:7  Hikmat itnī buland-o-bālā hai ki ahmaq use pā nahīṅ saktā. Jab buzurg shahr ke darwāze meṅ faislā karne ke lie jamā hote haiṅ to wuh kuchh nahīṅ kah saktā.
Prov UrduGeoR 24:8  Bure mansūbe bāndhne wālā sāzishī kahlātā hai.
Prov UrduGeoR 24:9  Ahmaq kī chālākiyāṅ gunāh haiṅ, aur log tānāzan se ghin khāte haiṅ.
Prov UrduGeoR 24:10  Agar tū musībat ke din himmat hār kar ḍhīlā ho jāe to terī tāqat jātī rahegī.
Prov UrduGeoR 24:11  Jinheṅ maut ke hawāle kiyā jā rahā hai unheṅ chhuṛā, jo qasāī kī taraf ḍagmagāte hue jā rahe haiṅ unheṅ rok de.
Prov UrduGeoR 24:12  Shāyad tū kahe, “Hameṅ to is ke bāre meṅ ilm nahīṅ thā.” Lekin yaqīn jān, jo dil kī jāṅch-paṛtāl kartā hai wuh bāt samajhtā hai, jo terī jān kī dekh-bhāl kartā hai use mālūm hai. Wuh insān ko us ke āmāl kā badlā detā hai.
Prov UrduGeoR 24:13  Mere beṭe, shahd khā kyoṅki wuh achchhā hai, chhatte kā ḳhālis shahd mīṭhā hai.
Prov UrduGeoR 24:14  Jān le ki hikmat isī tarah terī jān ke lie mīṭhī hai. Agar tū use pāe to terī ummīd jātī nahīṅ rahegī balki terā mustaqbil achchhā hogā.
Prov UrduGeoR 24:15  Ai bedīn, rāstbāz ke ghar kī tāk lagāe mat baiṭhnā, us kī rihāishgāh tabāh na kar.
Prov UrduGeoR 24:16  Kyoṅki go rāstbāz sāt bār gir jāe to bhī har bār dubārā uṭh khaṛā hogā jabki bedīn ek bār ṭhokar khā kar musībat meṅ phaṅsā rahegā.
Prov UrduGeoR 24:17  Agar terā dushman gir jāe to ḳhush na ho, agar wuh ṭhokar khāe to terā dil jashn na manāe.
Prov UrduGeoR 24:18  Aisā na ho ki Rab yih dekh kar terā rawaiyā pasand na kare aur apnā ġhussā dushman par utārne se bāz āe.
Prov UrduGeoR 24:19  Badkāroṅ ko dekh kar mushta'il na ho jā, bedīnoṅ ke bāis kuṛhtā na rah.
Prov UrduGeoR 24:20  Kyoṅki sharīroṅ kā koī mustaqbil nahīṅ, bedīnoṅ kā charāġh bujh jāegā.
Prov UrduGeoR 24:21  Mere beṭe, Rab aur bādshāh kā ḳhauf mān, aur sarkashoṅ meṅ sharīk na ho.
Prov UrduGeoR 24:22  Kyoṅki achānak hī un par āfat āegī, kisī ko patā hī nahīṅ chalegā jab donoṅ un par hamlā karke unheṅ tabāh kar deṅge.
Prov UrduGeoR 24:23  Zail meṅ dānishmandoṅ kī mazīd kahāwateṅ qalamband haiṅ. Adālat meṅ jānibdārī dikhānā burī bāt hai.
Prov UrduGeoR 24:24  Jo qusūrwār se kahe, “Tū bequsūr hai” us par qaumeṅ lānat bhejeṅgī, us kī sarzanish ummateṅ kareṅgī.
Prov UrduGeoR 24:25  Lekin jo qusūrwār ko mujrim ṭhahrāe wuh ḳhushhāl hogā, use kasrat kī barkat milegī.
Prov UrduGeoR 24:27  Pahle bāhar kā kām mukammal karke apne khetoṅ ko taiyār kar, phir hī apnā ghar tāmīr kar.
Prov UrduGeoR 24:28  Bilāwajah apne paṛosī ke ḳhilāf gawāhī mat de. Yā kyā tū apne hoṅṭoṅ se dhokā denā chāhtā hai?
Prov UrduGeoR 24:29  Mat kahnā, “Jis tarah us ne mere sāth kiyā usī tarah maiṅ us ke sāth karūṅga, maiṅ us ke har fel kā munāsib jawāb dūṅgā.”
Prov UrduGeoR 24:30  Ek din maiṅ sust aur nāsamajh ādmī ke khet aur angūr ke bāġh meṅ se guzarā.
Prov UrduGeoR 24:31  Har jagah kāṅṭedār jhāṛiyāṅ phailī huī thīṅ, ḳhudrau paude pūrī zamīn par chhā gae the. Us kī chārdīwārī bhī gir gaī thī.
Prov UrduGeoR 24:32  Yih dekh kar maiṅ ne dil se dhyān diyā aur sabaq sīkh liyā,
Prov UrduGeoR 24:33  agar tū kahe, “Mujhe thoṛī der sone de, thoṛī der ūṅghne de, thoṛī der hāth par hāth dhare baiṭhne de tāki maiṅ ārām kar sakūṅ”
Prov UrduGeoR 24:34  to ḳhabardār, jald hī ġhurbat rāhzan kī tarah tujh par āegī, muflisī hathiyār se lais ḍākū kī tarah tujh par ā paṛegī.