Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
II SAMUEL
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 22
II S UrduGeoR 22:1  Jis din Rab ne Dāūd ko tamām dushmanoṅ aur Sāūl ke hāth se bachāyā us din bādshāh ne gīt gāyā,
II S UrduGeoR 22:2  “Rab merī chaṭān, merā qilā aur merā najātdahindā hai.
II S UrduGeoR 22:3  Merā Ḳhudā merī chaṭān hai jis meṅ maiṅ panāh letā hūṅ. Wuh merī ḍhāl, merī najāt kā pahāṛ, merā buland hisār aur merī panāhgāh hai. Tū merā najātdahindā hai jo mujhe zulm-o-tashaddud se bachātā hai.
II S UrduGeoR 22:4  Maiṅ Rab ko pukārtā hūṅ, us kī tamjīd ho! Tab wuh mujhe dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai.
II S UrduGeoR 22:5  Maut kī maujoṅ ne mujhe gher liyā, halākat ke sailāb ne mere dil par dahshat tārī kī.
II S UrduGeoR 22:6  Pātāl ke rassoṅ ne mujhe jakaṛ liyā, maut ne mere rāste meṅ apne phande ḍāl die.
II S UrduGeoR 22:7  Jab maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā to maiṅ ne Rab ko pukārā. Maiṅ ne madad ke lie apne Ḳhudā se fariyād kī to us ne apnī sukūnatgāh se merī āwāz sunī, merī chīḳheṅ us ke kān tak pahuṅch gaīṅ.
II S UrduGeoR 22:8  Tab zamīn laraz uṭhī aur thartharāne lagī, āsmān kī buniyādeṅ Rab ke ġhazab ke sāmne kāṅpne aur jhūlne lagīṅ.
II S UrduGeoR 22:9  Us kī nāk se dhuāṅ nikal āyā, us ke muṅh se bhasm karne wāle shole aur dahakte koele bhaṛak uṭhe.
II S UrduGeoR 22:10  Āsmān ko jhukā kar wuh nāzil huā. Jab utar āyā to us ke pāṅwoṅ ke nīche andherā hī andherā thā.
II S UrduGeoR 22:11  Wuh karūbī farishte par sawār huā aur uṛ kar hawā ke paroṅ par manḍlāne lagā.
II S UrduGeoR 22:12  Us ne andhere ko apnī chhupne kī jagah banāyā, bārish ke kāle aur ghane bādal ḳhaime kī tarah apne irdgird lagāe.
II S UrduGeoR 22:13  Us ke huzūr kī tez raushnī se sholāzan koele phūṭ nikle.
II S UrduGeoR 22:14  Rab āsmān se kaṛakne lagā, Allāh T'ālā kī āwāz gūṅj uṭhī.
II S UrduGeoR 22:15  Us ne apne tīr chalā die to dushman titar-bitar ho gae. Us kī bijlī idhar-udhar girtī gaī to un meṅ halchal mach gaī.
II S UrduGeoR 22:16  Rab ne ḍānṭā to samundar kī wādiyāṅ zāhir huīṅ, jab wuh ġhusse meṅ garjā to us ke dam ke jhoṅkoṅ se zamīn kī buniyādeṅ nazar āīṅ.
II S UrduGeoR 22:17  Bulandiyoṅ par se apnā hāth baṛhā kar us ne mujhe pakaṛ liyā, gahre pānī meṅ se khīṅch kar mujhe nikāl lāyā.
II S UrduGeoR 22:18  Us ne mujhe mere zabardast dushman se bachāyā, un se jo mujh se nafrat karte haiṅ, jin par maiṅ ġhālib na ā sakā.
II S UrduGeoR 22:19  Jis din maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā us din unhoṅ ne mujh par hamlā kiyā, lekin Rab merā sahārā banā rahā.
II S UrduGeoR 22:20  Us ne mujhe tang jagah se nikāl kar chhuṭkārā diyā, kyoṅki wuh mujh se ḳhush thā.
II S UrduGeoR 22:21  Rab mujhe merī rāstbāzī kā ajr detā hai. Mere hāth sāf haiṅ, is lie wuh mujhe barkat detā hai.
II S UrduGeoR 22:22  Kyoṅki maiṅ Rab kī rāhoṅ par chaltā rahā hūṅ, maiṅ badī karne se apne Ḳhudā se dūr nahīṅ huā.
II S UrduGeoR 22:23  Us ke tamām ahkām mere sāmne rahe haiṅ, maiṅ us ke farmānoṅ se nahīṅ haṭā.
II S UrduGeoR 22:24  Us ke sāmne hī maiṅ be'ilzām rahā, gunāh karne se bāz rahā hūṅ.
II S UrduGeoR 22:25  Is lie Rab ne mujhe merī rāstbāzī kā ajr diyā, kyoṅki us kī āṅkhoṅ ke sāmne hī maiṅ pāk-sāf sābit huā.
II S UrduGeoR 22:26  Ai Allāh, jo wafādār hai us ke sāth terā sulūk wafādārī kā hai, jo be'ilzām hai us ke sāth terā sulūk be'ilzām hai.
II S UrduGeoR 22:27  Jo pāk hai us ke sāth terā sulūk pāk hai. Lekin jo kajrau hai us ke sāth terā sulūk bhī kajrawī kā hai.
II S UrduGeoR 22:28  Tū pasthāloṅ ko najāt detā hai, aur terī āṅkheṅ maġhrūroṅ par lagī rahtī haiṅ tāki unheṅ past kareṅ.
II S UrduGeoR 22:29  Ai Rab, tū hī merā charāġh hai, Rab hī mere andhere ko raushan kartā hai.
II S UrduGeoR 22:30  Kyoṅki tere sāth maiṅ faujī daste par hamlā kar saktā, apne Ḳhudā ke sāth dīwār ko phalāṅg saktā hūṅ.
II S UrduGeoR 22:31  Allāh kī rāh kāmil hai, Rab kā farmān ḳhālis hai. Jo bhī us meṅ panāh le us kī wuh ḍhāl hai.
II S UrduGeoR 22:32  Kyoṅki Rab ke siwā kaun Ḳhudā hai? Hamāre Ḳhudā ke siwā kaun chaṭān hai?
II S UrduGeoR 22:33  Allāh mujhe quwwat se kamarbastā kartā, wuh merī rāh ko kāmil kar detā hai.
II S UrduGeoR 22:34  Wuh mere pāṅwoṅ ko hiran kī-sī phurtī atā kartā, mujhe mazbūtī se merī bulandiyoṅ par khaṛā kartā hai.
II S UrduGeoR 22:35  Wuh mere hāthoṅ ko jang karne kī tarbiyat detā hai. Ab mere bāzū pītal kī kamān ko bhī tān lete haiṅ.
II S UrduGeoR 22:36  Ai Rab, tū ne mujhe apnī najāt kī ḍhāl baḳhsh dī hai, terī narmī ne mujhe baṛā banā diyā hai.
II S UrduGeoR 22:37  Tū mere qadmoṅ ke lie rāstā banā detā hai, is lie mere ṭaḳhne nahīṅ ḍagmagāte.
II S UrduGeoR 22:38  Maiṅ ne apne dushmanoṅ kā tāqqub karke unheṅ kuchal diyā, maiṅ bāz na āyā jab tak wuh ḳhatm na ho gae.
II S UrduGeoR 22:39  Maiṅ ne unheṅ tabāh karke yoṅ pāsh pāsh kar diyā ki dubārā uṭh na sake balki gir kar mere pāṅwoṅ tale paṛe rahe.
II S UrduGeoR 22:40  Kyoṅki tū ne mujhe jang karne ke lie quwwat se kamarbastā kar diyā, tū ne mere muḳhālifoṅ ko mere sāmne jhukā diyā.
II S UrduGeoR 22:41  Tū ne mere dushmanoṅ ko mere sāmne se bhagā diyā, aur maiṅ ne nafrat karne wāloṅ ko tabāh kar diyā.
II S UrduGeoR 22:42  Wuh madad ke lie chīḳhte-chillāte rahe, lekin bachāne wālā koī nahīṅ thā. Wuh Rab ko pukārte rahe, lekin us ne jawāb na diyā.
II S UrduGeoR 22:43  Maiṅ ne unheṅ chūr chūr karke gard kī tarah hawā meṅ uṛā diyā. Maiṅ ne unheṅ galī meṅ miṭṭī kī tarah pāṅwoṅ tale raund kar rezā rezā kar diyā.
II S UrduGeoR 22:44  Tū ne mujhe merī qaum ke jhagaṛoṅ se bachā kar aqwām par merī hukūmat qāym rakhī hai. Jis qaum se maiṅ nāwāqif thā wuh merī ḳhidmat kartī hai.
II S UrduGeoR 22:45  Pardesī dabak kar merī ḳhushāmad karte haiṅ. Jyoṅ hī maiṅ bāt kartā hūṅ to wuh merī sunte haiṅ.
II S UrduGeoR 22:46  Wuh himmat hār kar kāṅpte hue apne qiloṅ se nikal āte haiṅ.
II S UrduGeoR 22:47  Rab zindā hai! Merī chaṭān kī tamjīd ho! Mere Ḳhudā kī tāzīm ho jo merī najāt kī chaṭān hai.
II S UrduGeoR 22:48  Wuhī Ḳhudā hai jo merā intaqām letā, aqwām ko mere tābe kar detā
II S UrduGeoR 22:49  aur mujhe mere dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai. Yaqīnan tū mujhe mere muḳhālifoṅ par sarfarāz kartā, mujhe zālimoṅ se bachāe rakhtā hai.
II S UrduGeoR 22:50  Ai Rab, is lie maiṅ aqwām meṅ terī hamd-o-sanā karūṅga, tere nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.
II S UrduGeoR 22:51  Kyoṅki Rab apne bādshāh ko baṛī najāt detā hai, wuh apne masah kie hue bādshāh Dāūd aur us kī aulād par hameshā tak mehrbān rahegā.”