Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PROVERBS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 3
Prov UrduGeoR 3:1  Mere beṭe, merī hidāyat mat bhūlnā. Mere ahkām tere dil meṅ mahfūz raheṅ.
Prov UrduGeoR 3:2  Kyoṅki inhīṅ se terī zindagī ke dinoṅ aur sāloṅ meṅ izāfā hogā aur terī ḳhushhālī baṛhegī.
Prov UrduGeoR 3:3  Shafqat aur wafā terā dāman na chhoṛeṅ. Unheṅ apne gale se bāndhnā, apne dil kī taḳhtī par kandā karnā.
Prov UrduGeoR 3:4  Tab tujhe Allāh aur insān ke sāmne mehrbānī aur qabūliyat hāsil hogī.
Prov UrduGeoR 3:5  Pūre dil se Rab par bharosā rakh, aur apnī aql par takiyā na kar.
Prov UrduGeoR 3:6  Jahāṅ bhī tū chale sirf usī ko jān le, phir wuh ḳhud terī rāhoṅ ko hamwār karegā.
Prov UrduGeoR 3:7  Apne āp ko dānishmand mat samajhnā balki Rab kā ḳhauf mān kar burāī se dūr rah.
Prov UrduGeoR 3:8  Is se terā badan sehhat pāegā aur terī haḍḍiyāṅ tar-o-tāzā ho jāeṅgī.
Prov UrduGeoR 3:9  Apnī milkiyat aur apnī tamām paidāwār ke pahle phal se Rab kā ehtirām kar,
Prov UrduGeoR 3:10  phir tere godām anāj se bhar jāeṅge aur tere bartan mai se chhalak uṭheṅge.
Prov UrduGeoR 3:11  Mere beṭe, Rab kī tarbiyat ko radd na kar, jab wuh tujhe ḍānṭe to ranjīdā na ho.
Prov UrduGeoR 3:12  Kyoṅki jo Rab ko pyārā hai us kī wuh tādīb kartā hai, jis tarah bāp us beṭe ko tambīh kartā hai jo use pasand hai.
Prov UrduGeoR 3:13  Mubārak hai wuh jo hikmat pātā hai, jise samajh hāsil hotī hai.
Prov UrduGeoR 3:14  Kyoṅki hikmat chāṅdī se kahīṅ zyādā sūdmand hai, aur us se sone se kahīṅ zyādā qīmtī chīzeṅ hāsil hotī haiṅ.
Prov UrduGeoR 3:15  Hikmat motiyoṅ se zyādā nafīs hai, tere tamām ḳhazāne us kā muqābalā nahīṅ kar sakte.
Prov UrduGeoR 3:16  Us ke dahne hāth meṅ umr kī darāzī aur bāeṅ hāth meṅ daulat aur izzat hai.
Prov UrduGeoR 3:17  Us kī rāheṅ ḳhushgawār, us ke tamām rāste puramn haiṅ.
Prov UrduGeoR 3:18  Jo us kā dāman pakaṛ le us ke lie wuh zindagī kā daraḳht hai. Mubārak hai wuh jo us se lipṭā rahe.
Prov UrduGeoR 3:19  Rab ne hikmat ke wasīle se hī zamīn kī buniyād rakhī, samajh ke zariye hī āsmān ko mazbūtī se lagāyā.
Prov UrduGeoR 3:20  Us ke irfān se hī gahrāiyoṅ kā pānī phūṭ niklā aur āsmān se shabnam ṭapak kar zamīn par paṛtī hai.
Prov UrduGeoR 3:21  Mere beṭe, dānāī aur tamīz apne pās mahfūz rakh aur unheṅ apnī nazar se dūr na hone de.
Prov UrduGeoR 3:22  Un se terī jān tar-o-tāzā aur terā galā ārāstā rahegā.
Prov UrduGeoR 3:23  Tab tū chalte waqt mahfūz rahegā, aur terā pāṅw ṭhokar nahīṅ khāegā.
Prov UrduGeoR 3:24  Tū pāṅw phailā kar so sakegā, koī sadmā tujhe nahīṅ pahuṅchegā balki tū leṭ kar gahrī nīnd soegā.
Prov UrduGeoR 3:25  Nāgahāṅ āfat se mat ḍarnā, na us tabāhī se jo bedīn par ġhālib ātī hai,
Prov UrduGeoR 3:26  kyoṅki Rab par terā etamād hai, wuhī tere pāṅwoṅ ko phaṅs jāne se mahfūz rakhegā.
Prov UrduGeoR 3:27  Agar koī zarūratmand ho aur tū us kī madad kar sake to us ke sāth bhalāī karne se inkār na kar.
Prov UrduGeoR 3:28  Agar tū āj kuchh de sake to apne paṛosī se mat kahnā, “Kal ānā to maiṅ āp ko kuchh de dūṅgā.”
Prov UrduGeoR 3:29  Jo paṛosī befikr tere sāth rahtā hai us ke ḳhilāf bure mansūbe mat bāndhnā.
Prov UrduGeoR 3:30  Jis ne tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchāyā adālat meṅ us par bebuniyād ilzām na lagānā.
Prov UrduGeoR 3:31  Na zālim se hasad kar, na us kī koī rāh iḳhtiyār kar.
Prov UrduGeoR 3:32  Kyoṅki burī rāh par chalne wāle se Rab ghin khātā hai jabki sīdhī rāh par chalne wāloṅ ko wuh apne rāzoṅ se āgāh kartā hai.
Prov UrduGeoR 3:33  Bedīn ke ghar par Rab kī lānat ātī jabki rāstbāz ke ghar ko wuh barkat detā hai.
Prov UrduGeoR 3:34  Mazāq uṛāne wāloṅ kā wuh mazāq uṛātā, lekin farotanoṅ par mehrbānī kartā hai.
Prov UrduGeoR 3:35  Dānishmand mīrās meṅ izzat pāeṅge jabki ahmaq ke nasīb meṅ sharmindagī hogī.