Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOEL
Up
1 2 3
Toggle notes
Chapter 1
Joel UrduGeoR 1:1  Zail meṅ Rab kā wuh kalām hai jo Yoel bin fatuel par nāzil huā.
Joel UrduGeoR 1:2  Ai buzurgo, suno! Ai mulk ke tamām bāshindo, tawajjuh do! Jo kuchh in dinoṅ meṅ tumheṅ pesh āyā hai kyā wuh pahle kabhī tumheṅ yā tumhāre bāpdādā ko pesh āyā?
Joel UrduGeoR 1:3  Apne bachchoṅ ko is ke bāre meṅ batāo, jo kuchh pesh āyā hai us kī yād nasl-dar-nasl tāzā rahe.
Joel UrduGeoR 1:4  Jo kuchh ṭiḍḍī ke lārwe ne chhoṛ diyā use bāliġh ṭiḍḍī khā gaī, jo bāliġh ṭiḍḍī chhoṛ gaī use ṭiḍḍī kā bachchā khā gayā, aur jo ṭiḍḍī kā bachchā chhoṛ gayā use jawān ṭiḍḍī khā gaī.
Joel UrduGeoR 1:5  Ai nashe meṅ dhut logo, jāg uṭho aur ro paṛo! Ai mai pīne wālo, wāwailā karo! Kyoṅki naī mai tumhāre muṅh se chhīn lī gaī hai.
Joel UrduGeoR 1:6  Ṭiḍḍiyoṅ kī zabardast aur anginat qaum mere mulk par ṭūṭ paṛī hai. Un ke sher ke-se dāṅt aur shernī kā-sā jabṛā hai.
Joel UrduGeoR 1:7  Natīje meṅ mere angūr kī beleṅ tabāh, mere anjīr ke daraḳht zāe ho gae haiṅ. Ṭiḍḍiyoṅ ne chhāl ko bhī utār liyā, ab shāḳheṅ safed safed nazar ātī haiṅ.
Joel UrduGeoR 1:8  Āh-o-zārī karo, ṭāṭ se mulabbas us kuṅwārī kī tarah giryā karo jis kā mangetar intaqāl kar gayā ho.
Joel UrduGeoR 1:9  Rab ke ghar meṅ ġhallā aur mai kī nazareṅ band ho gaī haiṅ. Imām jo Rab ke ḳhādim haiṅ mātam kar rahe haiṅ.
Joel UrduGeoR 1:10  Khet tabāh hue, zamīn jhulas gaī hai. Anāj ḳhatm, angūr ḳhatm, zaitūn ḳhatm.
Joel UrduGeoR 1:11  Ai kāshtkāro, sharmsār ho jāo! Ai angūr ke bāġhbāno, āh-o-bukā karo! Kyoṅki khet kī fasal barbād ho gaī hai, gandum aur jau kī fasal ḳhatm hī hai.
Joel UrduGeoR 1:12  Angūr kī bel sūkh gaī, anjīr kā daraḳht murjhā gayā hai. Anār, khajūr, seb balki phal lāne wāle tamām daraḳht pazhmurdā ho gae haiṅ. Insān kī tamām ḳhushī ḳhāk meṅ milāī gaī hai.
Joel UrduGeoR 1:13  Ai imāmo, ṭāṭ kā libās oṛh kar mātam karo! Ai qurbāngāh ke ḳhādimo, wāwailā karo! Ai mere Ḳhudā ke ḳhādimo, āo, rāt ko bhī ṭāṭ oṛh kar guzāro! Kyoṅki tumhāre Ḳhudā kā ghar ġhallā aur mai kī nazaroṅ se mahrūm ho gayā hai.
Joel UrduGeoR 1:14  Muqaddas roze kā elān karo. Logoṅ ko ḳhās ijtimā ke lie bulāo. Buzurgoṅ aur mulk ke tamām bāshindoṅ ko Rab apne Ḳhudā ke ghar meṅ jamā karke buland āwāz se Rab se iltijā karo.
Joel UrduGeoR 1:15  Us din par afsos! Kyoṅki Rab kā wuh din qarīb hī hai jab Qādir-e-mutlaq ham par tabāhī nāzil karegā.
Joel UrduGeoR 1:16  Kyā aisā nahīṅ huā ki hamāre deḳhte deḳhte ham se ḳhurāk chhīn lī gaī, ki Allāh ke ghar meṅ ḳhushī-o-shādmānī band ho gaī hai?
Joel UrduGeoR 1:17  Ḍheloṅ meṅ chhupe bīj jhulas gae haiṅ, is lie ḳhālī godām ḳhastāhāl aur anāj ko mahfūz rakhne ke makān ṭūṭ phūṭ gae haiṅ. Un kī zarūrat nahīṅ rahī, kyoṅki ġhallā sūkh gayā hai.
Joel UrduGeoR 1:18  Hāy, maweshī kaisī dardnāk āwāz nikāl rahe haiṅ! Gāy-bail pareshānī se idhar-udhar phir rahe haiṅ, kyoṅki kahīṅ bhī charāgāh nahīṅ miltī. Bheṛ-bakriyoṅ ko bhī taklīf hai.
Joel UrduGeoR 1:19  Ai Rab, maiṅ tujhe pukārtā hūṅ, kyoṅki khule maidān kī charāgāheṅ nazar-e-ātish ho gaī haiṅ, tamām daraḳht bhasm ho gae haiṅ.
Joel UrduGeoR 1:20  Janglī jānwar bhī hāṅpte hāṅpte tere intazār meṅ haiṅ, kyoṅki nadiyāṅ sūkh gaī haiṅ, aur khule maidān kī charāgāheṅ nazar-e-ātish ho gaī haiṅ.
Chapter 2
Joel UrduGeoR 2:1  Koh-e-Siyyūn par narsingā phūṅko, mere muqaddas pahāṛ par jang kā nārā lagāo. Mulk ke tamām bāshinde laraz uṭheṅ, kyoṅki Rab kā din āne wālā hai balki qarīb hī hai.
Joel UrduGeoR 2:2  Zulmat aur tārīkī kā din, ghane bādaloṅ aur ghup andhere kā din hogā. Jis tarah pau phaṭte hī raushnī pahāṛoṅ par phail jātī hai usī tarah ek baṛī aur tāqatwar qaum ā rahī hai, aisī qaum jaisī na māzī meṅ kabhī thī, na mustaqbil meṅ kabhī hogī.
Joel UrduGeoR 2:3  Us ke āge āge ātish sab kuchh bhasm kartī hai, us ke pīchhe pīchhe jhulsāne wālā sholā chaltā hai. Jahāṅ bhī wuh pahuṅche wahāṅ mulk wīrān-o-sunsān ho jātā hai, ḳhāh wuh Bāġh-e-Adan kyoṅ na hotā. Us se kuchh nahīṅ bachtā.
Joel UrduGeoR 2:4  Deḳhne meṅ wuh ghoṛe jaise lagte haiṅ, faujī ghoṛoṅ kī tarah sarpā dauṛte haiṅ.
Joel UrduGeoR 2:5  Rathoṅ kā-sā shor machāte hue wuh uchhal uchhal kar pahāṛ kī choṭiyoṅ par se guzarte haiṅ. Bhūse ko bhasm karne wālī āg kī chaṭaḳhtī āwāz sunāī detī hai jab wuh jang ke lie taiyār baṛī baṛī fauj kī tarah āge baṛhte haiṅ.
Joel UrduGeoR 2:6  Unheṅ dekh kar qaumeṅ ḍar ke māre pech-o-tāb khāne lagtī haiṅ, har chehrā māṅd paṛ jātā hai.
Joel UrduGeoR 2:7  Wuh sūrmāoṅ kī tarah hamlā karte, faujiyoṅ kī tarah dīwāroṅ par chhalāṅg lagāte haiṅ. Sab saf bāndh kar āge baṛhte haiṅ, ek bhī muqarrarā rāste se nahīṅ haṭtā.
Joel UrduGeoR 2:8  Wuh ek dūsre ko dhakkā nahīṅ dete balki har ek sīdhā apnī rāh par āge baṛhtā hai. Yoṅ safbastā ho kar wuh dushman kī difāī safoṅ meṅ se guzar jāte haiṅ
Joel UrduGeoR 2:9  aur shahr par jhapaṭṭā mār kar fasīl par chhalāṅg lagāte haiṅ, gharoṅ kī dīwāroṅ par chaṛh kar chor kī tarah khiṛkiyoṅ meṅ se ghus āte haiṅ.
Joel UrduGeoR 2:10  Un ke āge āge zamīn kāṅp uṭhtī, āsmān thartharātā, sūraj aur chāṅd tārīk ho jāte aur sitāroṅ kī chamak-damak jātī rahtī hai.
Joel UrduGeoR 2:11  Rab ḳhud apnī fauj ke āge āge garajtā rahtā hai. Us kā lashkar nihāyat baṛā hai, aur jo faujī us ke hukm par chalte haiṅ wuh tāqatwar haiṅ. Kyoṅki Rab kā din azīm aur nihāyat haulnāk hai, kaun use bardāsht kar saktā hai?
Joel UrduGeoR 2:12  Rab farmātā hai, “Ab bhī tum taubā kar sakte ho. Pūre dil se mere pās wāpas āo! Rozā rakho, āh-o-zārī karo, mātam karo!
Joel UrduGeoR 2:13  Ranjish kā izhār karne ke lie apne kapṛoṅ ko mat phāṛo balki apne dil ko.” Rab apne Ḳhudā ke pās wāpas āo, kyoṅki wuh mehrbān aur rahīm hai. Wuh tahammul aur shafqat se bharpūr hai aur jald hī sazā dene se pachhtātā hai.
Joel UrduGeoR 2:14  Kaun jāne, shāyad wuh is bār bhī pachhtā kar apne pīchhe barkat chhoṛ jāe aur tum nae sire se Rab apne Ḳhudā ko ġhallā aur mai kī nazareṅ pesh kar sako.
Joel UrduGeoR 2:15  Koh-e-Siyyūn par narsingā phūṅko, muqaddas roze kā elān karo, logoṅ ko ḳhās ijtimā ke lie bulāo!
Joel UrduGeoR 2:16  Logoṅ ko jamā karo, phir jamāt ko maḳhsūs-o-muqaddas karo. Na sirf buzurgoṅ ko balki bachchoṅ ko bhī shīrḳhāroṅ samet ikaṭṭhā karo. Dūlhā aur dulhan bhī apne apne urūsī kamroṅ se nikal kar āeṅ.
Joel UrduGeoR 2:17  Lāzim hai ki imām jo Allāh ke ḳhādim haiṅ Rab ke ghar ke barāmde aur qurbāngāh ke darmiyān khaṛe ho kar āh-o-zārī kareṅ. Wuh iqrār kareṅ, “Ai Rab, apnī qaum par tars kī nigāh ḍāl! Apnī maurūsī milkiyat ko lān-tān kā nishānā banane na de. Aisā na ho ki dīgar aqwām us kā mazāq uṛā kar kaheṅ, ‘Un kā Ḳhudā kahāṅ hai’?”
Joel UrduGeoR 2:18  Tab Rab apne mulk ke lie ġhairat khā kar apnī qaum par tars khāegā.
Joel UrduGeoR 2:19  Wuh apnī qaum se wādā karegā, “Maiṅ tumheṅ itnā anāj, angūr aur zaitūn bhej detā hūṅ ki tum ser ho jāoge. Āindā maiṅ tumheṅ dīgar aqwām ke mazāq kā nishānā nahīṅ banāūṅgā.
Joel UrduGeoR 2:20  Maiṅ shimāl se āe hue dushman ko tum se dūr karke wīrān-o-sunsān mulk meṅ bhagā dūṅgā. Wahāṅ us ke agle daste mashriqī samundar meṅ aur us ke pichhle daste maġhribī samundar meṅ ḍūb jāeṅge. Tab un kī galī saṛī nāshoṅ kī badbū chāroṅ taraf phail jāegī.” Kyoṅki us ne azīm kām kie haiṅ.
Joel UrduGeoR 2:21  Ai mulk, mat ḍarnā balki shādiyānā bajā kar ḳhushī manā! Kyoṅki Rab ne azīm kām kie haiṅ.
Joel UrduGeoR 2:22  Ai janglī jānwaro, mat ḍarnā, kyoṅki khule maidān kī hariyālī dubārā ugne lagī hai. Daraḳht nae sire se phal lā rahe haiṅ, anjīr aur angūr kī baṛī fasal pak rahī hai.
Joel UrduGeoR 2:23  Ai Siyyūn ke bāshindo, tum bhī shādiyānā bajā kar Rab apne Ḳhudā kī ḳhushī manāo. Kyoṅki wuh apnī rāstī ke mutābiq tum par meṅh barsātā, pahle kī tarah ḳhizāṅ aur bahār kī bārisheṅ baḳhsh detā hai.
Joel UrduGeoR 2:24  Anāj kī kasrat se gāhne kī jagheṅ bhar jāeṅgī, angūr aur zaitūn kī kasrat se hauz chhalak uṭheṅge.
Joel UrduGeoR 2:25  Rab farmātā hai, “Maiṅ tumheṅ sab kuchh wāpas kar dūṅgā jo ṭiḍḍiyoṅ kī baṛī fauj ne khā liyā hai. Tumheṅ sab kuchh wāpas mil jāegā jo bāliġh ṭiḍḍī, ṭiḍḍī ke bachche, jawān ṭiḍḍī aur ṭiḍḍiyoṅ ke lārwoṅ ne khā liyā jab maiṅ ne unheṅ tumhāre ḳhilāf bhejā thā.
Joel UrduGeoR 2:26  Tum dubārā jī bhar kar khā sakoge. Tab tum Rab apne Ḳhudā ke nām kī satāish karoge jis ne tumhārī ḳhātir itne baṛe mojize kie haiṅ. Āindā merī qaum kabhī sharmindā na hogī.
Joel UrduGeoR 2:27  Tab tum jān loge ki maiṅ Isrāīl ke darmiyān maujūd hūṅ, ki maiṅ, Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ aur mere siwā aur koī nahīṅ hai. Āindā merī qaum kabhī bhī sharmsār nahīṅ hogī.
Joel UrduGeoR 2:28  Is ke bād maiṅ apne Rūh ko tamām insānoṅ par unḍel dūṅgā. Tumhāre beṭe-beṭiyāṅ nabuwwat kareṅge, tumhāre buzurg ḳhāb aur tumhāre naujawān royāeṅ dekheṅge.
Joel UrduGeoR 2:29  Un dinoṅ meṅ maiṅ apne Rūh ko ḳhādimoṅ aur ḳhādimāoṅ par bhī unḍel dūṅgā.
Joel UrduGeoR 2:30  Maiṅ āsmān par mojize dikhāūṅgā aur zamīn par ilāhī nishān zāhir karūṅga, ḳhūn, āg aur dhueṅ ke bādal.
Joel UrduGeoR 2:31  Sūraj tārīk ho jāegā, chāṅd kā rang ḳhūn-sā ho jāegā, aur phir Rab kā azīm aur jalālī din āegā.
Joel UrduGeoR 2:32  Us waqt jo bhī Rab kā nām legā najāt pāegā. Kyoṅki Koh-e-Siyyūn par aur Yarūshalam meṅ najāt milegī, bilkul usī tarah jis tarah Rab ne farmāyā hai. Jin bache huoṅ ko Rab ne bulāyā hai unhīṅ meṅ najāt pāī jāegī.
Chapter 3
Joel UrduGeoR 3:1  Un dinoṅ meṅ, hāṅ us waqt jab maiṅ Yahūdāh aur Yarūshalam ko bahāl karūṅga
Joel UrduGeoR 3:2  maiṅ tamām dīgar aqwām ko jamā karke Wādī-e-Yahūsafat meṅ le jāūṅgā. Wahāṅ maiṅ apnī qaum aur maurūsī milkiyat kī ḳhātir un se muqaddamā laṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne merī qaum ko dīgar aqwām meṅ muntashir karke mere mulk ko āpas meṅ taqsīm kar liyā,
Joel UrduGeoR 3:3  qurā ḍāl kar merī qaum ko āpas meṅ bāṅṭ liyā hai. Unhoṅ ne Isrāīlī laṛkoṅ ko kasbiyoṅ ke badle meṅ de diyā aur Isrāīlī laṛkiyoṅ ko faroḳht kiyā tāki mai ḳharīd kar pī sakeṅ.
Joel UrduGeoR 3:4  Ai Sūr, Saidā aur tamām Filistī ilāqo, merā tum se kyā wāstā? Kyā tum mujh se intaqām lenā yā mujhe sazā denā chāhte ho? Jald hī maiṅ tezī se tumhāre sāth wuh kuchh karūṅga jo tum ne dūsroṅ ke sāth kiyā hai.
Joel UrduGeoR 3:5  Kyoṅki tum ne merī sonā-chāṅdī aur mere beshqīmat ḳhazāne lūṭ kar apne mandiroṅ meṅ rakh lie haiṅ.
Joel UrduGeoR 3:6  Yahūdāh aur Yarūshalam ke bāshindoṅ ko tum ne Yūnāniyoṅ ke hāth bech ḍālā tāki wuh apne watan se dūr raheṅ.
Joel UrduGeoR 3:7  Lekin maiṅ unheṅ jagā kar un maqāmoṅ se wāpas lāūṅgā jahāṅ tum ne unheṅ faroḳht kar diyā thā. Sāth sāth maiṅ tumhāre sāth wuh kuchh karūṅga jo tum ne un ke sāth kiyā thā.
Joel UrduGeoR 3:8  Rab farmātā hai ki maiṅ tumhāre beṭe-beṭiyoṅ ko Yahūdāh ke bāshindoṅ ke hāth bech ḍālūṅgā, aur wuh unheṅ dūr-darāz qaum Sabā ke hawāle karke faroḳht kareṅge.
Joel UrduGeoR 3:9  Buland āwāz se dīgar aqwām meṅ elān karo ki jang kī taiyāriyāṅ karo. Apne behtarīn faujiyoṅ ko khaṛā karo. Laṛne ke qābil tamām mard ā kar hamlā kareṅ.
Joel UrduGeoR 3:10  Apne hal kī phāliyoṅ ko kūṭ kūṭ kar talwāreṅ banā lo, kāṅṭ-chhāṅṭ ke auzāroṅ ko nezoṅ meṅ tabdīl karo. Kamzor ādmī bhī kahe, ‘Maiṅ sūrmā hūṅ!’
Joel UrduGeoR 3:11  Ai tamām aqwām, chāroṅ taraf se ā kar wādī meṅ jamā ho jāo! Jaldī karo.” Ai Rab, apne sūrmāoṅ ko wahāṅ utarne de!
Joel UrduGeoR 3:12  “Dīgar aqwām harkat meṅ ā kar Wādī-e-Yahūsafat meṅ ā jāeṅ. Kyoṅki wahāṅ maiṅ taḳht par baiṭh kar irdgird kī tamām aqwām kā faislā karūṅga.
Joel UrduGeoR 3:13  Āo, darāntī chalāo, kyoṅki fasal pak gaī hai. Āo, angūr ko kuchal do, kyoṅki us kā ras nikālne kā hauz bharā huā hai, aur tamām bartan ras se chhalakne lage haiṅ. Kyoṅki un kī burāī bahut hai.”
Joel UrduGeoR 3:14  Faisle kī Wādī meṅ hangāmā hī hangāmā hai, kyoṅki faisle kī Wādī meṅ Rab kā din qarīb ā gayā hai.
Joel UrduGeoR 3:15  Sūraj aur chāṅd tārīk ho jāeṅge, sitāroṅ kī chamak-damak jātī rahegī.
Joel UrduGeoR 3:16  Rab Koh-e-Siyyūn par se dahāṛegā, Yarūshalam se us kī garajtī āwāz yoṅ sunāī degī ki āsmān-o-zamīn laraz uṭheṅge. Lekin Rab apnī qaum kī panāhgāh aur Isrāīliyoṅ kā qilā hogā.
Joel UrduGeoR 3:17  “Tab tum jān loge ki maiṅ, Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ aur apne muqaddas pahāṛ Siyyūn par sukūnat kartā hūṅ. Yarūshalam muqaddas hogā, aur āindā pardesī us meṅ se nahīṅ guzareṅge.
Joel UrduGeoR 3:18  Us din har chīz kasrat se dastyāb hogī. Pahāṛoṅ se angūr kā ras ṭapkegā, pahāṛiyoṅ se dūdh kī nadiyāṅ baheṅgī, aur Yahūdāh ke tamām nadī-nāle pānī se bhare raheṅge. Nīz, Rab ke ghar meṅ se ek chashmā phūṭ niklegā aur bahtā huā Wādī-e-Shittīm kī ābpāshī karegā.
Joel UrduGeoR 3:19  Lekin Misr tabāh aur Adom wīrān-o-sunsān ho jāegā, kyoṅki unhoṅ ne Yahūdāh ke bāshindoṅ par zulm-o-tashaddud kiyā, un ke apne hī mulk meṅ bequsūr logoṅ ko qatl kiyā hai.
Joel UrduGeoR 3:20  Lekin Yahūdāh hameshā tak ābād rahegā, Yarūshalam nasl-dar-nasl qāym rahegā.
Joel UrduGeoR 3:21  Jo qatl-o-ġhārat un ke darmiyān huī hai us kī sazā maiṅ zarūr dūṅgā.” Rab Koh-e-Siyyūn par sukūnat kartā hai.!