Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 126
Psal UrduGeoR 126:1  Ziyārat kā gīt. Jab Rab ne Siyyūn ko bahāl kiyā to aisā lag rahā thā ki ham ḳhāb dekh rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 126:2  Tab hamārā muṅh haṅsī-ḳhushī se bhar gayā, aur hamārī zabān shādmānī ke nāre lagāne se ruk na sakī. Tab dīgar qaumoṅ meṅ kahā gayā, “Rab ne un ke lie zabardast kām kiyā hai.”
Psal UrduGeoR 126:3  Rab ne wāqaī hamāre lie zabardast kām kiyā hai. Ham kitne ḳhush the, kitne ḳhush!
Psal UrduGeoR 126:4  Ai Rab, hameṅ bahāl kar. Jis tarah mausam-e-barsāt meṅ Dasht-e-Najab ke ḳhushk nāle pānī se bhar jāte haiṅ usī tarah hameṅ bahāl kar.
Psal UrduGeoR 126:5  Jo āṅsū bahā bahā kar bīj boeṅ wuh ḳhushī ke nāre lagā kar fasal kāṭeṅge.
Psal UrduGeoR 126:6  Wuh rote hue bīj bone ke lie nikleṅge, lekin jab fasal pak jāe to ḳhushī ke nāre lagā kar pūle uṭhāe apne ghar lauṭeṅge.