Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 85
Psal UrduGeoR 85:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, pahle tū ne apne mulk ko pasand kiyā, pahle Yāqūb ko bahāl kiyā.
Psal UrduGeoR 85:2  Pahle tū ne apnī qaum kā qusūr muāf kiyā, us kā tamām gunāh ḍhāṅp diyā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 85:3  Jo ġhazab ham par nāzil ho rahā thā us kā silsilā tū ne rok diyā, jo qahr hamāre ḳhilāf bhaṛak rahā thā use chhoṛ diyā.
Psal UrduGeoR 85:4  Ai hamārī najāt ke Ḳhudā, hameṅ dubārā bahāl kar. Ham se nārāz hone se bāz ā.
Psal UrduGeoR 85:5  Kyā tū hameshā tak ham se ġhusse rahegā? Kyā tū apnā qahr pusht-dar-pusht qāym rakhegā?
Psal UrduGeoR 85:6  Kyā tū dubārā hamārī jān ko tāzādam nahīṅ karegā tāki terī qaum tujh se ḳhush ho jāe?
Psal UrduGeoR 85:7  Ai Rab, apnī shafqat ham par zāhir kar, apnī najāt hameṅ atā farmā.
Psal UrduGeoR 85:8  Maiṅ wuh kuchh sunūṅgā jo Ḳhudā Rab farmāegā. Kyoṅki wuh apnī qaum aur apne īmāndāroṅ se salāmatī kā wādā karegā, albattā lāzim hai ki wuh dubārā hamāqat meṅ ulajh na jāeṅ.
Psal UrduGeoR 85:9  Yaqīnan us kī najāt un ke qarīb hai jo us kā ḳhauf mānte haiṅ tāki jalāl hamāre mulk meṅ sukūnat kare.
Psal UrduGeoR 85:10  Shafqat aur wafādārī ek dūsre ke gale lag gae haiṅ, rāstī aur salāmatī ne ek dūsre ko bosā diyā hai.
Psal UrduGeoR 85:11  Sachchāī zamīn se phūṭ niklegī aur rāstī āsmān se zamīn par nazar ḍālegī.
Psal UrduGeoR 85:12  Allāh zarūr wuh kuchh degā jo achchhā hai, hamārī zamīn zarūr apnī fasleṅ paidā karegī.
Psal UrduGeoR 85:13  Rāstī us ke āge āge chal kar us ke qadmoṅ ke lie rāstā taiyār karegī.