Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 76
Psal UrduGeoR 76:1  Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Allāh Yahūdāh meṅ mashhūr hai, us kā nām Isrāīl meṅ azīm hai.
Psal UrduGeoR 76:2  Us ne apnī mānd Sālim meṅ aur apnā bhaṭ Koh-e-Siyyūn par banā liyā hai.
Psal UrduGeoR 76:3  Wahāṅ us ne jalte hue tīroṅ ko toṛ ḍālā aur ḍhāl, talwār aur jang ke hathiyāroṅ ko chūr chūr kar diyā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 76:4  Ai Allāh, tū daraḳhshāṅ hai, tū shikār ke pahāṛoṅ se āyā huā azīmush-shān sūrmā hai.
Psal UrduGeoR 76:5  Bahāduroṅ ko lūṭ liyā gayā hai, wuh maut kī nīnd so gae haiṅ. Faujiyoṅ meṅ se ek bhī hāth nahīṅ uṭhā saktā.
Psal UrduGeoR 76:6  Ai Yāqūb ke Ḳhudā, tere ḍānṭne par ghoṛe aur rathbān behis-o-harkat ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 76:7  Tū hī mahīb hai. Jab tū jhiṛke to kaun tere huzūr qāym rahegā?
Psal UrduGeoR 76:8  Tū ne āsmān se faisle kā elān kiyā. Zamīn saham kar chup ho gaī
Psal UrduGeoR 76:9  jab Allāh adālat karne ke lie uṭhā, jab wuh tamām musībatzadoṅ ko najāt dene ke lie āyā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 76:10  Kyoṅki insān kā taish bhī terī tamjīd kā bāis hai. Us ke taish kā āḳhirī natījā terā jalāl hī hai.
Psal UrduGeoR 76:11  Rab apne Ḳhudā ke huzūr mannateṅ mān kar unheṅ pūrā karo. Jitne bhī us ke irdgird haiṅ wuh purjalāl Ḳhudā ke huzūr hadiye lāeṅ.
Psal UrduGeoR 76:12  Wuh hukmrānoṅ ko shikastā rūh kar detā hai, usī se duniyā ke bādshāh dahshat khāte haiṅ.