Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 35
Psal UrduGeoR 35:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, un se jhagaṛ jo mere sāth jhagaṛte haiṅ, un se laṛ jo mere sāth laṛte haiṅ.
Psal UrduGeoR 35:2  Lambī aur chhoṭī ḍhāl pakaṛ le aur uṭh kar merī madad karne ā.
Psal UrduGeoR 35:3  Neze aur barchhī ko nikāl kar unheṅ rok de jo merā tāqqub kar rahe haiṅ! Merī jān se farmā, “Maiṅ terī najāt hūṅ!”
Psal UrduGeoR 35:4  Jo merī jān ke lie koshāṅ haiṅ un kā muṅh kālā ho jāe, wuh ruswā ho jāeṅ. Jo mujhe musībat meṅ ḍālne ke mansūbe bāndh rahe haiṅ wuh pīchhe haṭ kar sharmindā hoṅ.
Psal UrduGeoR 35:5  Wuh hawā meṅ bhūse kī tarah uṛ jāeṅ jab Rab kā farishtā unheṅ bhagā de.
Psal UrduGeoR 35:6  Un kā rāstā tārīk aur phisalnā ho jab Rab kā farishtā un ke pīchhe paṛ jāe.
Psal UrduGeoR 35:7  Kyoṅki unhoṅ ne besabab aur chupke se mere rāste meṅ jāl bichhāyā, bilāwajah mujhe pakaṛne kā gaṛhā khodā hai.
Psal UrduGeoR 35:8  Is lie tabāhī achānak hī un par ā paṛe, pahle unheṅ patā hī na chale. Jo jāl unhoṅ ne chupke se bichhāyā us meṅ wuh ḳhud ulajh jāeṅ, jis gaṛhe ko unhoṅ ne khodā us meṅ wuh ḳhud gir kar tabāh ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 35:9  Tab merī jān Rab kī ḳhushī manāegī aur us kī najāt ke bāis shādmān hogī.
Psal UrduGeoR 35:10  Mere tamām āzā kah uṭheṅge, “Ai Rab, kaun terī mānind hai? Koī bhī nahīṅ! Kyoṅki tū hī musībatzadā ko zabardast ādmī se chhuṭkārā detā, tū hī nāchār aur ġharīb ko lūṭne wāle ke hāth se bachā letā hai.”
Psal UrduGeoR 35:11  Zālim gawāh mere ḳhilāf uṭh khaṛe ho rahe haiṅ. Wuh aisī bātoṅ ke bāre meṅ merī pūchh-gachh kar rahe haiṅ jin se maiṅ wāqif hī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 35:12  Wuh merī nekī ke ewaz mujhe nuqsān pahuṅchā rahe haiṅ. Ab merī jān tan-e-tanhā hai.
Psal UrduGeoR 35:13  Jab wuh bīmār hue to maiṅ ne ṭāṭ oṛh kar aur rozā rakh kar apnī jān ko dukh diyā. Kāsh merī duā merī god meṅ wāpas āe!
Psal UrduGeoR 35:14  Maiṅ ne yoṅ mātam kiyā jaise merā koī dost yā bhāī ho. Maiṅ mātamī libās pahan kar yoṅ ḳhāk meṅ jhuk gayā jaise apnī māṅ kā janāzā ho.
Psal UrduGeoR 35:15  Lekin jab maiṅ ḳhud ṭhokar khāne lagā to wuh ḳhush ho kar mere ḳhilāf jamā hue. Wuh mujh par hamlā karne ke lie ikaṭṭhe hue, aur mujhe mālūm hī nahīṅ thā. Wuh mujhe phāṛte rahe aur bāz na āe.
Psal UrduGeoR 35:16  Musalsal kufr bak bak kar wuh merā mazāq uṛāte, mere ḳhilāf dāṅt pīste the.
Psal UrduGeoR 35:17  Ai Rab, tū kab tak ḳhāmoshī se deḳhtā rahegā? Merī jān ko un kī tabāhkun harkatoṅ se bachā, merī zindagī ko jawān sheroṅ se chhuṭkārā de.
Psal UrduGeoR 35:18  Tab maiṅ baṛī jamāt meṅ terī satāish aur baṛe hujūm meṅ terī tārīf karūṅga.
Psal UrduGeoR 35:19  Unheṅ mujh par baġhleṅ bajāne na de jo besabab mere dushman haiṅ. Unheṅ mujh par nāk-bhauṅ chaṛhāne na de jo bilāwajah mujh se kīnā rakhte haiṅ.
Psal UrduGeoR 35:20  Kyoṅki wuh ḳhair aur salāmatī kī bāteṅ nahīṅ karte balki un ke ḳhilāf farebdeh mansūbe bāndhte haiṅ jo amn aur sukūn se mulk meṅ rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 35:21  Wuh muṅh phāṛ kar kahte haiṅ, “Lo jī, ham ne apnī āṅkhoṅ se us kī harkateṅ dekhī haiṅ!”
Psal UrduGeoR 35:22  Ai Rab, tujhe sab kuchh nazar āyā hai. Ḳhāmosh na rah! Ai Rab, mujh se dūr na ho.
Psal UrduGeoR 35:23  Ai Rab mere Ḳhudā, jāg uṭh. Mere difā meṅ uṭh kar un se laṛ!
Psal UrduGeoR 35:24  Ai Rab mere Ḳhudā, apnī rāstī ke mutābiq merā insāf kar. Unheṅ mujh par baġhleṅ bajāne na de.
Psal UrduGeoR 35:25  Wuh dil meṅ na socheṅ, “Lo jī, hamārā irādā pūrā huā hai!” Wuh na boleṅ, “Ham ne use haṛap kar liyā hai.”
Psal UrduGeoR 35:26  Jo merā nuqsān dekh kar ḳhush hue un sab kā muṅh kālā ho jāe, wuh sharmindā ho jāeṅ. Jo mujhe dabā kar apne āp par faḳhr karte haiṅ wuh sharmindagī aur ruswāī se mulabbas ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 35:27  Lekin jo mere insāf ke ārzūmand haiṅ wuh ḳhush hoṅ aur shādiyānā bajāeṅ. Wuh kaheṅ, “Rab kī baṛī tārīf ho, jo apne ḳhādim kī ḳhairiyat chāhtā hai.”
Psal UrduGeoR 35:28  Tab merī zabān terī rāstī bayān karegī, wuh sārā din terī tamjīd kartī rahegī.