PSALMS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
Chapter 132
Psal | UrduGeoR | 132:2 | Us ne qasam khā kar Rab se wādā kiyā aur Yāqūb ke qawī Ḳhudā ke huzūr mannat mānī, | |
Psal | UrduGeoR | 132:6 | Ham ne Ifrātā meṅ ahd ke sandūq kī ḳhabar sunī aur yār ke khule maidān meṅ use pā liyā. | |
Psal | UrduGeoR | 132:7 | Āo, ham us kī sukūnatgāh meṅ dāḳhil ho kar us ke pāṅwoṅ kī chaukī ke sāmne sijdā kareṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 132:8 | Ai Rab, uṭh kar apnī ārāmgāh ke pās ā, tū aur ahd kā sandūq jo terī qudrat kā izhār hai. | |
Psal | UrduGeoR | 132:10 | Ai Allāh, apne ḳhādim Dāūd kī ḳhātir apne masah kie hue bande ke chehre ko radd na kar. | |
Psal | UrduGeoR | 132:11 | Rab ne qasam khā kar Dāūd se wādā kiyā hai, aur wuh us se kabhī nahīṅ phiregā, “Maiṅ terī aulād meṅ se ek ko tere taḳht par biṭhāūṅgā. | |
Psal | UrduGeoR | 132:12 | Agar tere beṭe mere ahd ke wafādār raheṅ aur un ahkām kī pairawī kareṅ jo maiṅ unheṅ sikhāūṅgā to un ke beṭe bhī hameshā tak tere taḳht par baiṭheṅge.” | |
Psal | UrduGeoR | 132:13 | Kyoṅki Rab ne Koh-e-Siyyūn ko chun liyā hai, aur wuhī wahāṅ sukūnat karne kā ārzūmand thā. | |
Psal | UrduGeoR | 132:14 | Us ne farmāyā, “Yih hameshā tak merī ārāmgāh hai, aur yahāṅ maiṅ sukūnat karūṅga, kyoṅki maiṅ is kā ārzūmand hūṅ. | |
Psal | UrduGeoR | 132:15 | Maiṅ Siyyūn kī ḳhurāk ko kasrat kī barkat de kar us ke ġharīboṅ ko roṭī se ser karūṅga. | |
Psal | UrduGeoR | 132:16 | Maiṅ us ke imāmoṅ ko najāt se mulabbas karūṅga, aur us ke īmāndār ḳhushī se zordār nāre lagāeṅge. | |
Psal | UrduGeoR | 132:17 | Yahāṅ maiṅ Dāūd kī tāqat baṛhā dūṅgā, aur yahāṅ maiṅ ne apne masah kie hue ḳhādim ke lie charāġh taiyār kar rakhā hai. | |