Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 46
Psal UrduGeoR 46:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Gīt kā tarz: Kuṅwāriyāṅ. Allāh hamārī panāhgāh aur quwwat hai. Musībat ke waqt wuh hamārā mazbūt sahārā sābit huā hai.
Psal UrduGeoR 46:2  Is lie ham ḳhauf nahīṅ khāeṅge, go zamīn laraz uṭhe aur pahāṛ jhūm kar samundar kī gahrāiyoṅ meṅ gir jāeṅ,
Psal UrduGeoR 46:3  go samundar shor machā kar ṭhāṭheṅ māre aur pahāṛ us kī dahāṛoṅ se kāṅp uṭheṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 46:4  Dariyā kī shāḳheṅ Allāh ke shahr ko ḳhush kartī haiṅ, us shahr ko jo Allāh T'ālā kī muqaddas sukūnatgāh hai.
Psal UrduGeoR 46:5  Allāh us ke bīch meṅ hai, is lie shahr nahīṅ ḍagmagāegā. Subah-sawere hī Allāh us kī madad karegā.
Psal UrduGeoR 46:6  Qaumeṅ shor machāne, saltanateṅ laṛkhaṛāne lagīṅ. Allāh ne āwāz dī to zamīn laraz uṭhī.
Psal UrduGeoR 46:7  Rabbul-afwāj hamāre sāth hai, Yāqūb kā Ḳhudā hamārā qilā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 46:8  Āo, Rab ke azīm kāmoṅ par nazar ḍālo! Usī ne zamīn par haulnāk tabāhī nāzil kī hai.
Psal UrduGeoR 46:9  Wuhī duniyā kī intahā tak jangeṅ rok detā, wuhī kamān ko toṛ detā, neze ko ṭukṛe ṭukṛe kartā aur ḍhāl ko jalā detā hai.
Psal UrduGeoR 46:10  Wuh farmātā hai, “Apnī harkatoṅ se bāz āo! Jān lo ki maiṅ Ḳhudā hūṅ. Maiṅ aqwām meṅ sarbuland aur duniyā meṅ sarfarāz hūṅgā.”
Psal UrduGeoR 46:11  Rabbul-afwāj hamāre sāth hai. Yāqūb kā Ḳhudā hamārā qilā hai. (Silāh)