Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 96
Psal UrduGeoR 96:1  Rab kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, ai pūrī duniyā, Rab kī madahsarāī karo.
Psal UrduGeoR 96:2  Rab kī tamjīd meṅ gīt gāo, us ke nām kī satāish karo, roz baroz us kī najāt kī ḳhushḳhabrī sunāo.
Psal UrduGeoR 96:3  Qaumoṅ meṅ us kā jalāl aur tamām ummatoṅ meṅ us ke ajāyb bayān karo.
Psal UrduGeoR 96:4  Kyoṅki Rab azīm aur satāish ke bahut lāyq hai. Wuh tamām mābūdoṅ se mahīb hai.
Psal UrduGeoR 96:5  Kyoṅki dīgar qaumoṅ ke tamām mābūd but hī haiṅ jabki Rab ne āsmān ko banāyā.
Psal UrduGeoR 96:6  Us ke huzūr shān-o-shaukat, us ke maqdis meṅ qudrat aur jalāl hai.
Psal UrduGeoR 96:7  Ai qaumoṅ ke qabīlo, Rab kī tamjīd karo, Rab ke jalāl aur qudrat kī satāish karo.
Psal UrduGeoR 96:8  Rab ke nām ko jalāl do. Qurbānī le kar us kī bārgāhoṅ meṅ dāḳhil ho jāo.
Psal UrduGeoR 96:9  Muqaddas libās se ārāstā ho kar Rab ko sijdā karo. Pūrī duniyā us ke sāmne laraz uṭhe.
Psal UrduGeoR 96:10  Qaumoṅ meṅ elān karo, “Rab hī Bādshāh hai! Yaqīnan duniyā mazbūtī se qāym hai aur nahīṅ ḍagmagāegī. Wuh insāf se qaumoṅ kī adālat karegā.”
Psal UrduGeoR 96:11  Āsmān ḳhush ho, zamīn jashn manāe! Samundar aur jo kuchh us meṅ hai ḳhushī se garaj uṭhe.
Psal UrduGeoR 96:12  Maidān aur jo kuchh us meṅ hai bāġh bāġh ho. Phir jangal ke daraḳht shādiyānā bajāeṅge.
Psal UrduGeoR 96:13  Wuh Rab ke sāmne shādiyānā bajāeṅge, kyoṅki wuh ā rahā hai, wuh duniyā kī adālat karne ā rahā hai. Wuh insāf se duniyā kī adālat karegā aur apnī sadāqat se aqwām kā faislā karegā.