Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 89
Psal UrduGeoR 89:1  Aitān Izrāhī kā hikmat kā gīt. Maiṅ abad tak Rab kī mehrbāniyoṅ kī madahsarāī karūṅga, pusht-dar-pusht muṅh se terī wafā kā elān karūṅga.
Psal UrduGeoR 89:2  Kyoṅki maiṅ bolā, “Terī shafqat hameshā tak qāym hai, tū ne apnī wafā kī mazbūt buniyād āsmān par hī rakhī hai.”
Psal UrduGeoR 89:3  Tū ne farmāyā, “Maiṅ ne apne chune hue bande se ahd bāndhā, apne ḳhādim Dāūd se qasam khā kar wādā kiyā hai,
Psal UrduGeoR 89:4  ‘Maiṅ terī nasl ko hameshā tak qāym rakhūṅgā, terā taḳht hameshā tak mazbūt rakhūṅgā.’” (Silāh)
Psal UrduGeoR 89:5  Ai Rab, āsmān tere mojizoṅ kī satāish kareṅge, muqaddasīn kī jamāt meṅ hī terī wafādārī kī tamjīd kareṅge.
Psal UrduGeoR 89:6  Kyoṅki bādaloṅ meṅ kaun Rab kī mānind hai? Ilāhī hastiyoṅ meṅ se kaun Rab kī mānind hai?
Psal UrduGeoR 89:7  Jo bhī muqaddasīn kī majlis meṅ shāmil haiṅ wuh Allāh se ḳhauf khāte haiṅ. Jo bhī us ke irdgird hote haiṅ un par us kī azmat aur rob chhāyā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 89:8  Ai Rab, ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, kaun terī mānind hai? Ai Rab, tū qawī aur apnī wafā se ghirā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 89:9  Tū ṭhāṭheṅ mārte hue samundar par hukūmat kartā hai. Jab wuh maujzan ho to tū use thamā detā hai.
Psal UrduGeoR 89:10  Tū ne samundarī azhdahe Rahab ko kuchal diyā, aur wuh maqtūl kī mānind ban gayā. Apne qawī bāzū se tū ne apne dushmanoṅ ko titar-bitar kar diyā.
Psal UrduGeoR 89:11  Āsmān-o-zamīn tere hī haiṅ. Duniyā aur jo kuchh us meṅ hai tū ne qāym kiyā.
Psal UrduGeoR 89:12  Tū ne shimāl-o-junūb ko ḳhalaq kiyā. Tabūr aur Harmūn tere nām kī ḳhushī meṅ nāre lagāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 89:13  Terā bāzū qawī aur terā hāth tāqatwar hai. Terā dahnā hāth azīm kām karne ke lie taiyār hai.
Psal UrduGeoR 89:14  Rāstī aur insāf tere taḳht kī buniyād haiṅ. Shafqat aur wafā tere āge āge chaltī haiṅ.
Psal UrduGeoR 89:15  Mubārak hai wuh qaum jo terī ḳhushī ke nāre lagā sake. Ai Rab, wuh tere chehre ke nūr meṅ chaleṅge.
Psal UrduGeoR 89:16  Rozānā wuh tere nām kī ḳhushī manāeṅge aur terī rāstī se sarfarāz hoṅge.
Psal UrduGeoR 89:17  Kyoṅki tū hī un kī tāqat kī shān hai, aur tū apne karm se hameṅ sarfarāz karegā.
Psal UrduGeoR 89:18  Kyoṅki hamārī ḍhāl Rab hī kī hai, hamārā bādshāh Isrāīl ke Quddūs hī kā hai.
Psal UrduGeoR 89:19  Māzī meṅ tū royā meṅ apne īmāndāroṅ se hamkalām huā. Us waqt tū ne farmāyā, “Maiṅ ne ek sūrme ko tāqat se nawāzā hai, qaum meṅ se ek ko chun kar sarfarāz kiyā hai.
Psal UrduGeoR 89:20  Maiṅ ne apne ḳhādim Dāūd ko pā liyā aur use apne muqaddas tel se masah kiyā hai.
Psal UrduGeoR 89:21  Merā hāth use qāym rakhegā, merā bāzū use taqwiyat degā.
Psal UrduGeoR 89:22  Dushman us par ġhālib nahīṅ āegā, sharīr use ḳhāk meṅ nahīṅ milāeṅge.
Psal UrduGeoR 89:23  Us ke āge āge maiṅ us ke dushmanoṅ ko pāsh pāsh karūṅga. Jo us se nafrat rakhte haiṅ unheṅ zamīn par paṭaḳh dūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:24  Merī wafā aur merī shafqat us ke sāth raheṅgī, mere nām se wuh sarfarāz hogā.
Psal UrduGeoR 89:25  Maiṅ us ke hāth ko samundar par aur us ke dahne hāth ko dariyāoṅ par hukūmat karne dūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:26  Wuh mujhe pukār kar kahegā, ‘Tū merā Bāp, merā Ḳhudā aur merī najāt kī Chaṭān hai.’
Psal UrduGeoR 89:27  Maiṅ use apnā pahlauṭhā aur duniyā kā sab se ālā bādshāh banāūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:28  Maiṅ use hameshā tak apnī shafqat se nawāztā rahūṅgā, merā us ke sāth ahd kabhī tamām nahīṅ hogā.
Psal UrduGeoR 89:29  Maiṅ us kī nasl hameshā tak qāym rakhūṅgā, jab tak āsmān qāym hai us kā taḳht qāym rakhūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:30  Agar us ke beṭe merī sharīat tark karke mere ahkām par amal na kareṅ,
Psal UrduGeoR 89:31  agar wuh mere farmānoṅ kī behurmatī karke merī hidāyāt ke mutābiq zindagī na guzāreṅ
Psal UrduGeoR 89:32  to maiṅ lāṭhī le kar un kī tādīb karūṅga aur mohlak wabāoṅ se un ke gunāhoṅ kī sazā dūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:33  Lekin maiṅ use apnī shafqat se mahrūm nahīṅ karūṅga, apnī wafā kā inkār nahīṅ karūṅga.
Psal UrduGeoR 89:34  Na maiṅ apne ahd kī behurmatī karūṅga, na wuh kuchh tabdīl karūṅga jo maiṅ ne farmāyā hai.
Psal UrduGeoR 89:35  Maiṅ ne ek bār sadā ke lie apnī quddūsiyat kī qasam khā kar wādā kiyā hai, aur maiṅ Dāūd ko kabhī dhokā nahīṅ dūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:36  Us kī nasl abad tak qāym rahegī, us kā taḳht āftāb kī tarah mere sāmne khaṛā rahegā.
Psal UrduGeoR 89:37  Chāṅd kī tarah wuh hameshā tak barqarār rahegā, aur jo gawāh bādaloṅ meṅ hai wuh wafādār hai.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 89:38  Lekin ab tū ne apne masah kie hue ḳhādim ko ṭhukrā kar radd kiyā, tū us se ġhazabnāk ho gayā hai.
Psal UrduGeoR 89:39  Tū ne apne ḳhādim kā ahd nāmanzūr kiyā aur us kā tāj ḳhāk meṅ milā kar us kī behurmatī kī hai.
Psal UrduGeoR 89:40  Tū ne us kī tamām fasīleṅ ḍhā kar us ke qiloṅ ko malbe ke ḍher banā diyā hai.
Psal UrduGeoR 89:41  Jo bhī wahāṅ se guzare wuh use lūṭ letā hai. Wuh apne paṛosiyoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hai.
Psal UrduGeoR 89:42  Tū ne us ke muḳhālifoṅ kā dahnā hāth sarfarāz kiyā, us ke tamām dushmanoṅ ko ḳhush kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 89:43  Tū ne us kī talwār kī tezī beasar karke use jang meṅ fatah pāne se rok diyā hai.
Psal UrduGeoR 89:44  Tū ne us kī shān ḳhatm karke us kā taḳht zamīn par paṭaḳh diyā hai.
Psal UrduGeoR 89:45  Tū ne us kī jawānī ke din muḳhtasar karke use ruswāī kī chādar meṅ lapeṭā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 89:46  Ai Rab, kab tak? Kyā tū apne āp ko hameshā tak chhupāe rakhegā? Kyā terā qahr abad tak āg kī tarah bhaṛaktā rahegā?
Psal UrduGeoR 89:47  Yād rahe ki merī zindagī kitnī muḳhtasar hai, ki tū ne tamām insān kitne fānī ḳhalaq kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 89:48  Kaun hai jis kā maut se wāstā na paṛe, kaun hai jo hameshā zindā rahe? Kaun apnī jān ko maut ke qabze se bachāe rakh saktā hai? (Silāh)
Psal UrduGeoR 89:49  Ai Rab, terī wuh purānī mehrbāniyāṅ kahāṅ haiṅ jin kā wādā tū ne apnī wafā kī qasam khā kar Dāūd se kiyā?
Psal UrduGeoR 89:50  Ai Rab, apne ḳhādimoṅ kī ḳhajālat yād kar. Merā Sīnā muta'addid qaumoṅ kī lān-tān se dukhtā hai,
Psal UrduGeoR 89:51  kyoṅki ai Rab, tere dushmanoṅ ne mujhe lān-tān kī, unhoṅ ne tere masah kie hue ḳhādim ko har qadam par lān-tān kī hai!