Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 101
Psal UrduGeoR 101:1  Dāūd kā zabūr. Maiṅ shafqat aur insāf kā gīt gāūṅgā. Ai Rab, maiṅ terī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 101:2  Maiṅ baṛī ehtiyāt se be'ilzām rāh par chalūṅgā. Lekin tū kab mere pās āegā? Maiṅ ḳhulūsdilī se apne ghar meṅ zindagī guzārūṅga.
Psal UrduGeoR 101:3  Maiṅ sharārat kī bāt apne sāmne nahīṅ rakhtā aur burī harkatoṅ se nafrat kartā hūṅ. Aisī chīzeṅ mere sāth lipaṭ na jāeṅ.
Psal UrduGeoR 101:4  Jhūṭā dil mujh se dūr rahe. Maiṅ burāī ko jānanā hī nahīṅ chāhtā.
Psal UrduGeoR 101:5  Jo chupke se apne paṛosī par tohmat lagāe use maiṅ ḳhāmosh karāūṅgā, jis kī āṅkheṅ maġhrūr aur dil mutakabbir ho use bardāsht nahīṅ karūṅga.
Psal UrduGeoR 101:6  Merī āṅkheṅ mulk ke wafādāroṅ par lagī rahtī haiṅ tāki wuh mere sāth raheṅ. Jo be'ilzām rāh par chale wuhī merī ḳhidmat kare.
Psal UrduGeoR 101:7  Dhokebāz mere ghar meṅ na ṭhahre, jhūṭ bolne wālā merī maujūdagī meṅ qāym na rahe.
Psal UrduGeoR 101:8  Har subah ko maiṅ mulk ke tamām bedīnoṅ ko ḳhāmosh karāūṅgā tāki tamām badkāroṅ ko Rab ke shahr meṅ se miṭāyā jāe.